nazmKuch Alfaaz

dekho aahista chalo aur bhi aahista zaraa dekhna soch-sambhal kar zaraa paanv rakhna zor se baj na uthe pairo'n ki awaaz kahii kaanch ke KHvaab hain bikhre hue tanhaaii men KHvaab toote ne koi jaag na jaaye dekho jaag jayega koi KHvaab to mar jayega

Gulzar3 Likes

Related Nazm

tum hamaare li.e tum hamaare li.e archana ban gaii ham tumhaare li.e ek darpan priye tum milo to sahi haal poochho meraa ham na ro den to kah dena patthar priye pyaar milnaa nahin tha agar bhaagya men devataaon ne hamse ye chhal kyuuñ kiya mere dil men bharii ret hi ret thii deke amrit ye hamko vikal kyuuñ kiya apsara ho to ho par hamaare li.e tum hi sundar sukomal sughar ho priye devataaon ke ganitiy sansaar men aisa bhi hai nahin koii achha na tha ham agar is janam bhi nahin mil sake sab kahenge yahii pyaar sachcha na tha kaaroon ko kabhi pyaar milta nahin faisla koii le lo ki datkar priye mummy kahti theen chanda bahut door hai chaand se aage hamko sitaara laga yuñ to chehre hi chehre the duniya men par ek teraa hi chehra piyaara laga palkon pe meri rakhkar qadam tum chalo pawn men chubh na jaa.e ki kankad priye

Rakesh Mahadiuree

24 likes

bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum

Tahir Faraz

54 likes

raaygaani-2 jo baat ginti ke kuchh dinon se shuroo thii vo saal-ha-saal tak chali hai kaii zamaanon men bant gaii hai main in zamaanon men lamha lamha tumhaari nazaron ke bin raha hooñ main ab talak bhi tumhaare jaane ka baaki nuksaan gin raha hooñ mujhe zamaana ye kah raha tha ki raaygaani mubaalga hai bhala tumhaari judaai ka dukh zamaan makaan ko hila raha hai bhala relativity ki science kisi ke murne se munselik hai inhen batao tumhaare jaane ka dukh utha kar faqat akela vo main nahin tha jo zarra zarra bikhar gaya tha tumhaare jaane ke kuchh dinon men hamaara hawking bhi mar gaya tha aur uski theory ke kaale gadde jinhen hamesha tumhaari aankhoñ men dekhna tha vo mere chehre pe pad ga.e hain vo meri aankhoñ men gad ga.e hain tumhaare jaane ke baad sab kuchh hi ek assee ke zaaviye par palat gaya hai ki meraa hona tumhaare hone se munselik tha tumhaari aankhoñ ki raushni thii to main bhi duniya men ho raha tha tumhaare lehje ke sur mile the to main banaa tha tumhaare haathon ka lams haathon ko mil raha tha to dekhta tha hamaare haathon men atomon ki dafa ki kuwwat kashish men kaise badal rahi hai par ab tumhaari nazar kahii hai tumhaara lahjaa bhi ab nahin hai to tum batao main kis tariqe se apni hasti ko naisti se juda karunga main dang aankhoñ se saari duniya ko dekhta hooñ aur apne hone ki koi illat talaashta hooñ ajeeb tarah ka be-nishaan be-makaam dukh hai samajhne waale samajh ga.e the ye raaygaani hai raaygaani tamaam sadiyon ka khaam dukh hai main ab haqeeqat samajh raha hooñ tamaam dukh tha tamaam dukh hai tumhein bataaun kisi ke hone ka koi maqsad koi maani kahii nahin hai agar to nietzsche nahin mara hai to us se poocha kya karenge zameen pe rah ke pale badhenge baka ki khaatir lade marengay phir apne jaise kaii janenge aur is jahaan se nikal padenge jinhe janenge vo sab ke sab bhi yahii karenge pale badhenge lade marengay phir un ke bacche aur un ke bacche ye kya tamasha-e-ha-o-hoo hai ye zindagi hai to aakh thoo hai

Sohaib Mugheera Siddiqi

23 likes

saudaai ajab dil haina jeeta hai na marta haina seene men theharta haina baahar hi nikalta hai ajab jaañ hai tarasti hai ki tu aa.e jhijhakti hai ki tu aa.e to na-maaloom kya hogaa pareshaan hai ki duniya kya kahegi pashemaan hai ki apne ba-hami rishte men vo dam hai na vo KHam hai magar phir bhi bilkhati hai ki tanhaaii ne aisa maar rakkha haina tu aayi to miraa kya banega ajab tu haina apnon men na ghairon meinna gham-andoz khilwat men na jaan-afroz jalvat men mujhe dar hai ki tujhse mel hogaa to kahaan hogaa kisi sar-sabz waa dii men ke is veeraan kutiya men isi duniya men ya phir sarhadon ke paar uqba men ajab main hooñ mufakkir bhi muhqqiq bhi musannif bhi magar afsos 'aashiq bhi gaya-guzra sa shaair bhi baid-az-aql bhi aur rasm-e-duniya se bhi be-gaana jo anjaane men tujhse dher saara pyaar kar baitha b-har-soorat agar kuchh waqiya hai to faqat ye hai miraa dil tujh pe shaida hai mirii jaañ tujh pe waari hai magar phir bhi ye hasrat hai ki koii marham-e-dil dil ko samjh aa.e koii girvida-e-jaan jaañ ko batl aa.e ki tu ik paikar-e-dilkash nahin hai ek naagan hai jo apnon hi ko dasne ke li.e betaab rahtii hai ye sab kuchh jaañ kar bhi main tire in gesuon ke pech-o-kham ka sir-fira qaai dii tadpata rehta hooñ main is li.e shaayad ke tu aa.e tu aa kar mujh...ko pahle kii tarah dobara das jaa.e

Dharmesh bashar

11 likes

lov triangle jab khayaalon men main uske peeche peeche jaata bhaav khaati dekho fir main usse ruth jaata aise vaise kaise kaise mujh...ko vo manaati jaan thii meri vo kaise main na maan paata apne lov ka triangle kaash jo na banta tu sawaal aur teraa main javaab hota kaash jo tu meri aankhoñ men vo jhaank jaati tere paas men jo mahka main gulaab hota agar ye KHvaab sach hua to sunle ai haseen main poori umr tere dil men hi guzaar doon tu jo chale to din ho jab rooke to raat ho ye kaayenaat tere qadmon men utaar doon apne lov ka triangle kaash jo na banta kaash jo tu bole teri main awaaz hota tu shabaab teri dhun men main sharaab hota sabke chehron ko to tu yuñ nihaar jaati tere nainon ka kabhi to main shikaar hota apne lov ka triangle kaash jo na banta

Rohit tewatia 'Ishq'

11 likes

More from Gulzar

kya liye jaate ho tum kandhon pe yaaro is janaaze men to koii bhi nahin hai dard hai koii na hasrat hai na gham hai muskuraahat kii alaamat hai na koii aah ka nuqta aur nigaahon kii koii tahreer na awaaz ka katara qabr men kya dafn karne ja rahe ho sirf miTTi hai ye miTTi miTTi ko miTTi men dafnaate hue rote ho kyuuñ

Gulzar

3 likes

vo pul ki saathviin seedhi pe baitha kahtaa rehta tha kisi thaile men bhar ke gar khayal apne main darwaaze pe harkaare ki soorat ja ke pahunchaata chamakti boonden baarish ki kisi ki jeb men bhar ke gale men baadlon ka ek mafalar daal kar aata vo bheega bheega sa rehta kisi ke kaan men do baaliyon se chaand pahnaata machheron ki koi ladki agar milti garjate baadlon ko baandh kar baalon ke jode men dhanak ki beeni de aata mujhe gar kahkashaan ko baantne ka haq diya hota KHuda ne to koi footpath se bola ai aulaad sha'ir ki bahut khaai hain rookhi rotiyaan main ne jo la saka hai to ik baar kuchh saalan hi la kar de

Gulzar

2 likes

vo jo shayar tha vo jo shayar tha chup-sa rehta tha bahki-bahki-si baatein karta tha aañkhen kaanon pe rakh ke sunta tha goongi khaamoshiyon ki aawaazen jama karta tha chaand ke saa.e aur geeli si noor ki boonden rukhe-rukhe se raat ke patte ook men bhar ke kharkhaata tha vaqt ke is ghanere jungle men kacche-pakke se lamhe chunta tha haan vahii vo ajeeb sa shayar raat ko uth ke kohniyon ke bal chaand ki thodi chooma karta tha chaand se gir ke mar gaya hai vo log kahte hain khudkushi ki hai

Gulzar

9 likes

ajeeb sa amal hai ye ye ek farzi guftagoo aur ektarfa ek aise shaKHs se khyaal jiski shakl hai khyaal hi saboot hai

Gulzar

4 likes

akelaa kis qadar seedha sahal saaf hai rastaa dekhona kisi shaakh ka saaya hai na deewaar ki takena kisi aankh ki aahat na kisi chehre ka shor door tak koi nahin koi nahin koi nahin chand qadmon ke nishaan haan kabhi milte hain kahii saath chalte hain jo kuchh door faqat chand qadam aur phir toot ke gir jaate hain ye kahte hue apni tanhaaii li.e aap chalo tanhaa akelaa saath aa.e jo yahaañ koi nahin koi nahin kis qadar seedha sahal saaf hai rastaa dekho

Gulzar

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gulzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gulzar's nazm.