Ghulam tum bhi the yaron ghulam hum bhi the
Related Nazm
mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat teraa gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai tu jo mil jaa.e to taqdeer nigoon ho jaa.e yuñ na tha main ne faqat chaaha tha yuñ ho jaa.e aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism resham o atlas o kamkhaab men bunwaaye hue jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-baazaar men jism KHaak men luthde hue KHoon men nahlaaye hue jism nikle hue amraaz ke tannooron se peep bahti hui galte hue naasooron se laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang
Faiz Ahmad Faiz
73 likes
murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar
Afkar Alvi
78 likes
kacchi umr ke pyaar ye kacchi umr ke pyaar bhi bade pakke nishaan dete hain aaj par kam dhyaan dete hain bahke bahke bayaan dete hain unko dekhe hue muddat hui aur ham ab bhi jaan dete hain kya pyaar ek baar hota hai nahin ye baar-baar hota hai to phir kyuuñ kisi ek ka intizaar hota hai vahii to saccha pyaar hota hai achha pyaar bhi kya insaan hota hai kabhi saccha kabhi jhoota be-iimaan hota hai uski ragon men bhi kya khaandaan hota hai aur maqsd-e-hayaat nafa nuqsaan hota hai pyaar to pyaar hota hai
Yasra rizvi
47 likes
mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain
Tehzeeb Hafi
161 likes
uski khushiyaan saari jheelein sookh gaii hain uski aañkhen sookh gaii hain pedon par panchi bhi chup hain us..ko koi dukh hai shaayad raaste soone soone hain sab usne tahlna chhod diya hai saari ghazlein bemaani hain usne padhna chhod diya hai vo bhi hansna bhool chuki hai gulon ne khilna chhod diya hai saawan ka mausam jaarii hai yaanii uskaa gham jaarii hai baaki mausam taal diye hain sukh kuein men daal diye hain chaand ko chhutti de dii gaii hai taaron ko madhham rakha hai aatish-daan men fenk dii khushiyaan dil men bas ik gham rakha hai khaana peena chhod diya hai sabse rishta tod diya hai haaye qayamat aane ko hai usne jeena chhod diya hai har dil KHush har chehra KHush ho vo ho KHush to duniya KHush ho vo achchhii to sab achha hai aur duniya men kya rakha hai ye sab sunkar KHuda ne bola bol teri ab KHvaahish kya hai maine bola meri KHvaahish meri KHvaahish uski khushiyaan KHuda ne bola teri KHvaahish main phir bola uski khushiyaan iske alaava pooch raha hooñ maine bola uski khushiyaan apne li.e kuchh maang le pagle maang liya na uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan
Varun Anand
30 likes
More from Ali Sardar Jafri
poochta hai to ki kab aur kis tarah aati hooñ main god men naakaamiyon ke parvarish paati hooñ main sirf vo makhsoos seene hain mirii aaraam-gaah aarzoo ki tarah rah jaati hai jin men ghut ke aah ahl-e-gham ke saath un ka dard-o-gham sahti hooñ main kaanpate honton pe ban kar bad-dua rahtii hooñ main raqs karti hain ishaaron par mire maut-o-hayaat dekhti rahtii hooñ main har-waqt nabz-e-kaayenaat khud-farebi badh ke jab banti hai ehsaas-e-shu'ur jab jawaan hota hai ahl-e-zar ke tevar men ghuroor muflisi se karte hain jab aadmiyat ko juda jab lahu peete hain tahzeeb-o-tamaddun ke KHuda bhoot ban kar naachta hai sar pe jab qaumi vaqaar le ke mazhab ki sipar aata hai jab sarmaaya-daar raaste jab band hote hain duaon ke li.e aadmi ladta hai jab jhoote KHudaaon ke li.e zindagi insaan ki kar deta hai jab insaan haraam jab use qaanoon-e-fitrat ka ata hota hai naam ahraman firta hai jab apna dehan khole hue aasmaañ se maut jab aati hai par tole hue jab kisaano ki nigaahon se tapkata hai hiraas footne lagti hai jab mazdoor ke zaKHmon se yaas sabr-e-ayyoobi ka jab labreiz hota hai suboo soz-e-gham se khaulta hai jab ghulaamon ka lahu gaasibon se badh ke jab karta hai haq apna sawaal jab nazar aata hai mazloomon ke chehron par jalaal tafarqa padta hai jab duniya men nasl-o-rang ka le ke main aati hooñ parcham inqilaab-o-jang ka haan magar jab toot jaati hai hawadis ki kamand jab kuchal deta hai har shay ko baghaavat ka samand jab nigal leta hai toofaan badh ke kashtii nooh ki ghut ke jab insaan men rah jaati hai azmat rooh ki door ho jaati hai jab mazdooron ke dil ki jalan jab tabassum ban ke honton par simatti hai thakan jab ubharta hai ufuq se zindagi ka aftaab jab nikhrta hai lahu ki aag men tap kar shabaab nasl qaumiyyat kaleesa saltanat tahzeeb-o-rang raund chukti hai jab in sab ko jawaani ki umang subh ke zarrein tabassum men ayaan hoti hooñ main rifat-e-arsh-e-bareen se par-fishaan hoti hooñ main
Ali Sardar Jafri
1 likes
ye kis ne phone pe dii saal-e-nau ki tahniyat mujh ko tamannaa raqs karti hai takhayyul gungunata hai tasavvur ik naye ehsaas ki jannat men le aaya nigaahon men koi rangeen chehra muskurata hai jabeen ki chhoot padti hai falak ke maah-paaron par ziya phaili hui hai saara aalam jagmagataa hai shafaq ke noor se raushan hain mehraaben fazaaon ki surayyaa ki jabeen zohra ka aariz timtimaata hai purane saal ki thithuri hui parchaaiyaan simteen naye din ka naya suraj ufuq par uthata aata hai zameen ne phir naye sar se naya rakht-e-safar baandha khushi men har qadam par aftaab aañkhen bichaata hai hazaaron khwaahishein angadaaiyaan letii hain seene men jahaan-e-aarzoo ka zarra zarra gungunata hai umeedein daal kar aankhoñ men aañkhen muskuraati hain zamaana jumbish-e-mizgaan se afsaane sunaata hai masarrat ke jawaan mallaah kashtii le ke nikle hain ghamon ke na-khudaon ka safeena dagmagata hai khushi mujh ko bhi hai lekin main ye mehsoos karta hooñ masarrat ke is aaiine men gham bhi jhilmilata hai hamaare daur-e-mahkoomi ki muddat ghatti jaati hai ghulaami ke zamaane men izafa hota jaata hai yahii andaaz gar baaki hain apni sust-gaami kena jaane aur kitne saal aayenge ghulaami ke
Ali Sardar Jafri
4 likes
utho hind ke baagbaano utho utho inqilaabi jawaano utho kisaano utho kaam-gaaro utho nayi zindagi ke sharaaro utho utho khelte apni zanjeer se utho khaak-e-bangal-o-kashmir se utho waa dii o dasht o kohsaar se utho sindh o punjab o malbaar se utho maalve aur mevaat se maharashtra aur gujraat se awadh ke chaman se chahakte utho gulon ki tarah se mehakte utho utho khul gaya parcham-e-inqilaab nikalta hai jis tarah se aftaab utho jaise dariyaa men uthatii hai mauj utho jaise aandhi ki badhti hai fauj utho barq ki tarah hanste hue kadakte garjate barsate hue ghulaami ki zanjeer ko tod do zamaane ki raftaar ko mod do
Ali Sardar Jafri
14 likes
phir ik din aisa aayega aankhoñ ke diye bujh jaayenge haathon ke kanwal kumhlaaenge aur barg-e-zabaanse nutq o sadaa ki har titli ud jaayegi ik kaale samundar ki tah men kaliyon ki tarah se khilti hui phoolon ki tarah se hansati hui saari shaklein kho jaayengi khoonki gardish dil ki dhadkan sab raagniyaan so jaayengi aur neeli fazaa ki makhmal par hansati hui heere ki ye kani ye mirii jannat mirii zameen is ki subhen is ki shaamen be-jaane hue be-samjhe hue ik musht-e-ghubaar-e-insaanpar shabnam ki tarah ro jaayengi har cheez bhula dii jaayegi yaadon ke haseen but-khaane se har cheez utha dii jaayegi phir koi nahin ye poochhega sardaar kahaan hai mehfil men lekin main yahaan phir aaunga bacchon ke dehan se boloonga chidiyon ki zabaan se gaaunga jab beej hansenge dharti men aur kompalen apni ungli se miTTi ki tahon ko chhedenngi main patti patti kali kali apni aañkhen phir kholoonga sarsabz hatheli par le kar shabnam ke qatre taalunga main rang-e-hina aahang-e-ghazal andaaz-e-sukhan ban jaaunga rukhsar-e-uroos-e-nau ki tarah har aanchal se chin jaaunga jaadon ki hawaayendaaman men jab fasl-e-khizanko laayengi rah-rau ke jawaan qadmon ke tale sukhe hue patton se mere hansne ki sadaayenaayengi dharti ki sunhari sab nadiyaan aakaash ki neeli sab jheelein hasti se mirii bhar jaayengi aur saara zamaana dekhega har qissa mira afsaana hai har 'aashiq hai sardaar yahaan har maashooqa sultaana hai main ek gurezaanlamha hoon ayyaam ke afsun-khaane men main ek tadpata qatra hoon masroof-e-safar jo rehta hai maazi ki suraahi ke dil se mustaqbil ke paimaane men main sota hoonaur jaagta hoon aur jaag ke phir so jaata hoon sadiyon ka puraana khel hoonmain main mar ke amar ho jaata hoon
Ali Sardar Jafri
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's nazm.







