Hijr ki raaten
Related Nazm
tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se
Zubair Ali Tabish
117 likes
dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai
Ali Zaryoun
70 likes
meraa sansaar mere man ka sukoon bhi tum ho tum hi meri manzil uskaa junoon bhi tum ho meraa din bhi tum ho meri raat bhi tum ho meri neend bhi tum ho mere jazbaat bhi tum ho meraa har lamha tum ho mere haalaat bhi tum ho meraa jeevan bhi tum ho iski masti bhi tum ho hooñ agar main majhdhaar to phir iski kashtii bhi tum ho agar hooñ main shareer to iski asthi bhi tum ho aur hooñ agar main aatma to iski mukti bhi tum ho meraa vairaagya bhi tum ho meri aasakti bhi tum ho meraa eeshwar bhi tum ho meri bhakti bhi tum ho main agar dil hooñ to iski dhadkan bhi tum ho meri har baat tum ho meri tardpan bhi tum ho meri swatantrata bhi tum ho meraa bandhan bhi tum ho meraa sukh bhi tum ho meri muskaan bhi tum ho meraa dukh bhi tum ho meraa sammaan bhi tum ho meraa bal bhi tum ho meraa swaabhimaaan bhi tum ho meri praarthana bhi tum ho meraa abhimaan bhi tum ho meraa har kaam bhi tum ho thak jaaun to aaraam bhi tum ho bheje hain tujhko chaand ke haathon vo saare paigaam bhi tum ho saanson men bas teraa naam hai meraa to anjaam bhi tum ho meraa to aadhaar hi tum ho meri to sarkaar hi tum ho meri to faqeeri bhi tum ho khazane ka ambaar bhi tum ho mere labon ka maun bhi tum ho mere dil ki pukaar bhi tum ho meri to kutiya bhi tum ho meraa raaj-darbaar bhi tum ho meraa har vikaar bhi tum ho meraa to shrungaar bhi tum ho meri jeet-haar bhi tum ho meraa gussa-pyaar bhi tum ho meraa to ghar baar hi tum ho jeene ke aasaar hi tum ho kaise main bataau tujhe tumhaare bin main kuchh bhi nahin meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
rahne ko sadaa dehr men aata nahin koi tum jaise ga.e aise bhi jaata nahin koi dartaa hoon kahii khushk na ho jaa.e samundar raakh apni kabhi aap bahaata nahin koi ik baar to KHud maut bhi ghabra gaii hogii yoon maut ko seene se lagata nahin koi maana ki ujaalon ne tumhein daagh diye the be-raat dhale shama bujhaata nahin koi saaqi se gilaa tha tumhein may-khaane se shikwa ab zahar se bhi pyaas bujhaata nahin koi har subh hila deta tha zanjeer zamaana kyun aaj deewane ko jagaata nahin koi ar thii to utha lete hain sab ashk baha ke naaz-e-dil-e-betaab uthaata nahin koi
Kaifi Azmi
42 likes
haal-e-dil meri dilruba tum khoobsurat ho soorat se nahin seerat se mujhe tumhaari seerat se muhabbat hai isi li.e seerat ka jaanta hooñ sharm dahshat pareshaani jinhen sukhnavaron kaviyaan ne ishq kii lazzat bataaya hai filhaal ye mere darmiyaañ aa rahe hain bahaal meri chahten tumhaare nafs men dhadkati hain zinda rahtii hain maine tumhein dekha hai dekhte hue mujhe chahte hue mujhe sochte hue aur mere li.e pareshaan hote hue vaise chaahat ho to kehna laazmi hota hai zaroori hota hai lekin ishq kii qaaynaat men lafz KHaamosh rahte hain aur nigaahein baat kar letii hain mujhe pata hai ek din tum meri nigahon se baat kar logi pooch logi aur tumhein javaab milega haan main bhi chahta hooñ khoob chahta hooñ vaise main bhi apne nagmon apni ghazlon men muhabbat khoob likhta hooñ haalaanki sadaqat ye hai ki main bhi kehne men khauf khaata hooñ vaise bura na maanna ki maine tumse kabhi izhaar nahin kiya soch lena ki theory aur practical men farq hota hai khairab jo meraa maujooda haal hai vo ye hai ki aa.e din dil aur dimaagh mas'ala khada kar dete hain dil kahtaa hai tum khoobsurat ho dimaagh kahtaa hai manzil pe ikhtiyaar karo bahaal tum khoobsurat ho tum ziyaada khoobsurat ho tum sabse ziyaada khoobsurat ho tum hi khoobsurat ho
Rakesh Mahadiuree
25 likes
More from Navneet Vatsal Sahil
chhute hue purush prem men chhute hue kuchh purush purush nahin rahte vo ho jaate hain stree vo KHud ko bhar lete hain bhaavukta aur aañsu se prem men chhute purush praapt kar kar lete streeatva ke us gun ko jis men hota hai meera sa paagalpan radha sa nihswaarth prem vo chunte hain meera ya radha ho jaana ya ho jaana dono hi dono ho jaana atyadhik duhkhad hai use sahan karne hoti hain tab dono hi peeda radha jiske bagair krishna naam adhoora hai parantu phir bhi radha ke hisse aata hai viyogi jeevan aur woh chun letii hai krishna ki yaadon ke saath jeevan nirvaah meera jiske bagair krishna koi bhagwaan nahin aur meera ko milta hai tiraskrit jeevan aur antim swaans tak woh chuntee hai krishna bhakti dono hi anant prem ki paryaay hain jo bataata hai athaah ya nihswaarth prem sadaiv ek tarafaa raha hai woh nahin praapt kar paata rukmani hona radha ki bhaanti meera ne nahin sveekaar kiya premika bane rahna aur usne krishna ko pati kaha radha ho jaana duhkhad to hai meera ho jaana atyant duhkhad main bhi tumhaare prem men chhoota ek purush hooñ
Navneet Vatsal Sahil
3 likes
ik jadui lafz na aap tha na tum tha na tu tha k abhii naam nahin li.e hamne ek doosre ke phir bhi kitnii baatein hoti theen ik lafz tha lafz kya tha jaan jaan aur jaan tha ye lafz mahz ik lafz nahin tha is ik lafz men kitna kuchh tha is men vo sab kuchh tha jo ha men ek doosre se chahiye tha is men vo saare waayade the jo log milte waqt karte hain vo saari kasmen theen jo bichhadte waqt ke li.e theen ye lafz mahz ik lafz nahin tha is ik lafz men kitna kuchh tha jaante ho dost ye lafz mahz kasmein-o-vaayde hi na tha ek waqyaa tha poora hamaari mohabbat ka ye ik aisa lafz tha jis men saansen theen jo akela saare thande lafzon ke beech garm tha zinda lafz tha ik vahii to gawaah tha ham mohabbat men kitne sacche the ek aisa lafz jise bolte hue apna badan khushbuoon ki qaba lagti ped naachte lagte aur hawa bahkati lagti ye lafz mahz ik lafz nahin tha is ik lafz men kitna kuchh tha ek aisa lafz jiska sukoon bolne se zyaada sunne men aata kaanon men mishri gholti uski aawaaz ke saath jab ye lafz milta badan sar-saraa uthata kaliyaan KHud hi bhanwaro se bose lene ko machal uthteen lagta maano zindagi door talak sirf chaanv hai maano saari kaaynaat sirf mujhpar mehrbaan thii ab aise aalam men k abhii jaan na paaya ye chaanv sirf mujhpar mehmaan thii par ye lafz hairaan hooñ abhii talak sunaai deta hai
Navneet Vatsal Sahil
4 likes
mukhtasar nazm ye dard-e-dil mukhtasar nahin kar saka main apni naz men mukhtasar nahin kar saka uski baahon men rahe to mukhtasar uski baatein raheen to mukhtasar apni khushiyaan bhi raheen hain mukhtasar waqt ulfat-o-wasl ka bhi to mukhtasar hi raha ab hizr ka daayraan mukhtasar nahin kar saka din rahe to mukhtasar raate raheen so mukhtasar apni zindagi bhi rahi hai mukhtasarus ke saath guzaara har ik lamha bhi to mukhtasar hi raha ab dastaan-e-mohabbat mukhtasar nahin kar saka main apni naz men mukhtasar nahin kar saka
Navneet Vatsal Sahil
3 likes
dil nahin todogi tum to ghar basa logi saath kisi ke par dekho main tanhaa rah jaaunga dekho ruk jaao na jaao maan bhi jaao kah deta hooñ main kuchh kar jaaunga jaane ko to chali jaayogi par kah deta hooñ saath tumhaare meri saari khushiyaan jaayeñgi ye rut ye bahaarein phir mujh...ko na bhaayengi barsaatein bhi guzrengi bas tan par meri ye rooh bhiga na paa.e'ngi aakhir ek khushbaash rooh ka tum qatl kar jaayogi mere bin tum bhi jaan bhala phir kaise rah paayogi yaad karo kaha tha tumne saath nahin chhodogi chahe kuchh bhi ho jaa.e par dil nahin todogi phir kyun aisi baatein karti ho maan bhi jaao kah do na jaan meri munh nahin modogi tum meraa dil nahin todogi
Navneet Vatsal Sahil
4 likes
naakaam koshish kabhi kabhi aisa bhi hota hai akshar cigarette sulagaakar bhool jaata hooñ main aur chala jaata hoonus beete hue waqt men hamaari saath bitaai yaadon ko sametne sab kuchh sametne kii naakaam koshish karta hua main bhool jaata hooñ cigarette ungli jala chuki hoti hai tab tak
Navneet Vatsal Sahil
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Navneet Vatsal Sahil.
Similar Moods
More moods that pair well with Navneet Vatsal Sahil's nazm.







