rahne ko sadaa dehr men aata nahin koi tum jaise ga.e aise bhi jaata nahin koi dartaa hoon kahii khushk na ho jaa.e samundar raakh apni kabhi aap bahaata nahin koi ik baar to KHud maut bhi ghabra gaii hogii yoon maut ko seene se lagata nahin koi maana ki ujaalon ne tumhein daagh diye the be-raat dhale shama bujhaata nahin koi saaqi se gilaa tha tumhein may-khaane se shikwa ab zahar se bhi pyaas bujhaata nahin koi har subh hila deta tha zanjeer zamaana kyun aaj deewane ko jagaata nahin koi ar thii to utha lete hain sab ashk baha ke naaz-e-dil-e-betaab uthaata nahin koi
Related Nazm
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
meraa sansaar mere man ka sukoon bhi tum ho tum hi meri manzil uskaa junoon bhi tum ho meraa din bhi tum ho meri raat bhi tum ho meri neend bhi tum ho mere jazbaat bhi tum ho meraa har lamha tum ho mere haalaat bhi tum ho meraa jeevan bhi tum ho iski masti bhi tum ho hooñ agar main majhdhaar to phir iski kashtii bhi tum ho agar hooñ main shareer to iski asthi bhi tum ho aur hooñ agar main aatma to iski mukti bhi tum ho meraa vairaagya bhi tum ho meri aasakti bhi tum ho meraa eeshwar bhi tum ho meri bhakti bhi tum ho main agar dil hooñ to iski dhadkan bhi tum ho meri har baat tum ho meri tardpan bhi tum ho meri swatantrata bhi tum ho meraa bandhan bhi tum ho meraa sukh bhi tum ho meri muskaan bhi tum ho meraa dukh bhi tum ho meraa sammaan bhi tum ho meraa bal bhi tum ho meraa swaabhimaaan bhi tum ho meri praarthana bhi tum ho meraa abhimaan bhi tum ho meraa har kaam bhi tum ho thak jaaun to aaraam bhi tum ho bheje hain tujhko chaand ke haathon vo saare paigaam bhi tum ho saanson men bas teraa naam hai meraa to anjaam bhi tum ho meraa to aadhaar hi tum ho meri to sarkaar hi tum ho meri to faqeeri bhi tum ho khazane ka ambaar bhi tum ho mere labon ka maun bhi tum ho mere dil ki pukaar bhi tum ho meri to kutiya bhi tum ho meraa raaj-darbaar bhi tum ho meraa har vikaar bhi tum ho meraa to shrungaar bhi tum ho meri jeet-haar bhi tum ho meraa gussa-pyaar bhi tum ho meraa to ghar baar hi tum ho jeene ke aasaar hi tum ho kaise main bataau tujhe tumhaare bin main kuchh bhi nahin meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar
Afkar Alvi
78 likes
mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain
Tehzeeb Hafi
161 likes
kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo
Raghav Ramkaran
42 likes
More from Kaifi Azmi
nuqoosh-e-hasrat mita ke uthna khushi ka parcham uda ke uthna mila ke sar baithna mubarak tarana-e-fath ga ke uthna ye guftugoo guftugoo nahin hai bigarne banne ka marhala hai dhadak raha hai fazaa ka seena ki zindagi ka muaamla hai khizaan rahe ya bahaar aa.e tumhaare haathon men faisla haina chain be-taab bijliyon ko na mutmain kaarwaan-e-shabnam kabhi shagoofoon ke garm tevar kabhi gulon ka mizaaj barham shagoofa o gul ke is tasaadum men gulsitaan ban gaya jahannam saja len sab apni apni jannat ab aise khaake banaa ke uthna khazana-e-rang-o-noor tareek rahguzaron men loot raha hai uroos-e-gul ka ghuroor-e-ismat siyahkaaron men loot raha hai tamaam sarmaaya-e-latafat zaleel khaaron men loot raha hai ghuti ghuti hain numoo ki saansen chhuti chhuti nabz-e-gulistaan hai hain gursana phool tishna gunche rukhon pe zardee labon pe jaañ hai aseer hain ham-safeer jab se khizaan chaman men ravaan-davaan hai is intishaar-e-chaman ki saugand baab-e-zindaa hila ke uthna hayaat-e-geeti ki aaj badli hui nigaahen hain inqilaabi ufuq se kirnen utar rahi hain bikherthi noor-e-kaamyaabi nayi sehar chahti hai KHvaabon ki bazm men izn-e-baaryaabi ye teergii ka hujoom kab tak ye yaas ka azdahaam kab tak nifaq o ghaflat ki aad le kar jiyega murda nizaam kab tak rahenge hin dii aseer kab tak rahega bharat ghulaam kab tak gale ka tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilimila ke uthna
Kaifi Azmi
0 likes
ye andheri raat ye saari fazaa soi hui patti patti manzar-e-khaamoshi men khoi hui maujzan hai bahr-e-zulmat teergii ka josh hai shaam hi se aaj qindeel-e-falak KHaamosh hai chand taare hain bhi to be-noor patharaaye hue jaise baasi haar men hon phool kumhlaaye hue khap gaya hai yuñ ghatta men chaandni ka saaf rang jis tarah maayusiyon men dab ke rah jaa.e umang umdi hai kaali ghatta duniya dubone ke li.e ya chali hai baal khole raand rone ke li.e jitni hai gunjaan bastii utni hi veeraan hai har gali KHaamosh hai har raasta sunsaan hai ik makaan se bhi makeen ki kuchh khabar milti nahin chilmanen uthatii nahin zanjeer-e-dar hilti nahin so rahe hain mast-o-be-khud ghar ke kul peer-o-jawaan ho gaii hain band husn-o-ishq men sargoshiyaan haan magar ik samt ik goshe men koi nauhagar le rahi hai karvaton par karvatein dil thaam kar dil sambhalta hi nahin hai seena-e-sad-chaak men phool sa chehra atta hai bewagi ki KHaak men ud chali hai rang-e-rukh ban kar hayaat-e-mustaar ho raha hai qalb-e-murda men jawaani ka fishaar hasratein dam todti hain yaas ki aaghosh men saikron shikwe machalte hain lab-e-khaamosh men umr aamada nahin murda-parasti ke li.e baar hai ye zinda mayyat dosh-e-hasti ke li.e chahti hai laakh qaabu dil pe paati hi nahin haaye-re zalim jawaani bas men aati hi nahin thartharraa kar girti hai jab soone bistar par nazar le ke ik karvat patak deti hai vo takiya pe sar jab khanak uthatii hain soti ladkiyon ki choodiyaan aah ban kar uthne lagta hai kaleja se dhuaan ho gaii bewa ki khaatir neend bhi jaise haraam mukhtasar sa ahad-e-waslat de gaya soz-e-davaam dopahar ki chaanv daur-e-shaadmaani ho gaya pyaas bhi bujhne na paai khatm paani ho gaya le rahi hai karvaton par karvatein ba-iztiraar aag men paara hai ya bistar pe jism-e-be-qaraar pad gaii ik aah kar ke ro ke uth baithi kabhi ungliyon men le ke zulf-e-kham-b-kham aenthee kabhi aa ke honton par kabhi mayus aahen tham gaiin aur kabhi sooni kalaaee par nigaahen jam gaiin itni duniya men kahii apni jagah paati nahin yaas is had ki ki shauhar ki bhi yaad aati nahin aa rahe hain yaad paiham saas nandon ke sulook phat raha hai gham se seena uth rahi hai dil men hook apni maa behnon ka bhi aañkhen churaana yaad hai aisi duniya men kisi ka chhod jaana yaad hai baagbaan to qabr men hai kaun ab dekhe bahaar KHud usii ko teer us ke karne waale hain shikaar jab nazar aata nahin deta koi bekas ka saath zahar ki sheeshi ki jaanib KHud-ba-KHud badhta hai haath dil tadap kar kah raha hai jald is duniya ko chhod choodiyaan toriin to phir zanjeer-e-hasti ko bhi tod dam agar niklaa to khoi zindagi mil jaayegi ye nahin to KHair tanhaa qabr hi mil jaayegi waan tujhe zillat ki nazaron se na dekhega koi chahe hansna chahe rona phir na rokega koi waan sab ahl-e-dard hain sab saahib-e-insaaf hain rahbar aage ja chuka raahen bhi teri saaf hain dil inheen baaton men uljha tha ki dam ghabra gaya haath le kar zahar ki sheeshi labon tak aa gaya tilmilati aankh jhapkaati jhijhakti haanfati pee gaii kul zahar aaKHir thartharati kaanpati maut ne jhatka diya kul uzv dhīle ho ga.e saans ukhadi nabz doobi hont neele ho ga.e aankh jhapki ashk tapka hichki aayi kho gaii maut ki aaghosh men ik aah bhar kar so gaii aur kar ik aah sulge hind ki rasmon ka daam ai jawaana-marg bewa tujh pe kaafi ka salaam
Kaifi Azmi
0 likes
ai hama-rang hama-noor hama-soz-o-gudaaz bazm-e-mehtaab se aane ki zaroorat kya thii tu jahaan thii usii jannat men nikhrta tira roop is jahannam ko basaane ki zaroorat kya thii ye khud-o-khaal ye KHvaabon se tarasha hua jism aur dil jis pe khud-o-khaal ki narmi bhi nisaar khaar hi khaar sharaare hi sharaare hain yahaañ aur tham tham ke utha paanv bahaaron ki bahaar tishnagi zahar bhi pee jaati hai amrit ki tarah jaane kis jaam pe ruk jaa.e nigaah-e-maasoom doobte dekha hai jin aankhoñ men may-khaana bhi pyaas un aankhoñ ki bujhe ya na bujhe kya maaloom hain sabhi husn-parast ahl-e-nazar saahib-e-dil koi ghar men koi mehfil men sajaayega tujhe tu faqat jism nahin she'r bhi hai geet bhi hai kaun ashkon ki ghani chaanv men gaayega tujhe tujh se ik dard ka rishta bhi hai bas pyaar nahin apne aanchal pe mujhe ashk baha lene de tu jahaan jaati hai ja rokne vaala main kaun apne raaste men magar shama' jala lene de
Kaifi Azmi
0 likes
muddaton main ik andhe kuein men aseer sar patkata raha gidgidhaata raha raushni chahiye chaandni chahiye zindagi chahiye raushni pyaar ki chaandni yaar ki zindagi daar ki apni awaaz sunta raha raat din dheere dheere yaqeen dil ko aata raha soone sansaar men be-vafa yaar men daaman-e-daar men raushni bhi nahin chaandni bhi nahin zindagi bhi nahin zindagi ek raat waahima kaayenaat aadmi be-bisaat log kotaah-qad shahar shehar-e-hasad gaav in se bhi bad in andheron ne jab pees daala mujhe phir achaanak kuein ne uchhaala mujhe apne seene se baahar nikala mujhe saikron misr the saamne saikron us ke bazaar the ek boodhi zulekha nahin jaane kitne khareedaar the badhta jaata tha yusuf ka mol log bikne ko taiyyaar the khul ga.e mah-jabeenon ke sar reshmi chadaren hat gaiin palken jhapkiin na nazrein jhuki marmariin ungaliyaan kat gaiin haath daaman tak aaya koi dhajjiyaan door tak bat gaiin main ne dar ke laga dii kuein men chhalaang sar patkane laga phir isee karb se phir isee dard se gidgidhaane laga raushni chahiye chaandni chahiye zindagi chahiye
Kaifi Azmi
0 likes
ab aur kya tira beemaar baap dega tujhe bas ik dua ki KHuda tujh ko kaamyaab kare vo taank de tire aanchal men chaand aur taare tu apne vaaste jis ko bhi intikhaab kare
Kaifi Azmi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaifi Azmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaifi Azmi's nazm.







