Related Nazm

vo log bahut KHush-qismat the jo ishq ko kaam samjhte the ya kaam se aashiqi karte the ham jeete-ji masroof rahe kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya kaam ishq ke aadhe aata raha aur ishq se kaam uljhta raha phir aaKHir tang aa kar ham ne dono ko adhoora chhod diya

Faiz Ahmad Faiz

160 likes

bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

Ahmad Faraz

111 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

main cigarette to nahin peeta magar har aane waale se pooch leta hooñ ki maachis hai bahut kuchh hai jise main phoonk dena chahta hooñ

Gulzar

107 likes

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

More from Alankrat Srivastava

Kya ek bhee tumako bhaata tha

Alankrat Srivastava

8 likes

saawan ki baarish bachaane ko sabhi daanav wa devon ko dhara ke jeev jantu ko nadi pedon ko parvat ko isee saawan maheene men halaahal tha piya shiv ne isee baare men phir jab jab sati maa sochti hongi to ik do boond aañsu ki chhalk jaati hi hongi so saawan ki ye baarish kuchh nahin hai bas unhin ke aankh se tapki hui aañsu ki boonde hain ludak kar jo zameen par aa giri hain

Alankrat Srivastava

2 likes

kamaal kar gaya saawan ka mahina vo chalti suhaani hawa aur us hawa men udte gulaabi dupatte aur lehraate ghungaraale bhoore baalon ke beech se jhaankta vo khoobsurat roohani chehra aur us shyaamal deshi chehre par badi sadaakat aur nazaakat ke saath saje un makhmali gulaabi hothon ka hawle se ye kehna ajee sunte ho kamaal kar gaya

Alankrat Srivastava

6 likes

tum kuchh to kahte hain tum phoolon ka baagh ho kuchh ka kehna hai sabse madhur raag ho jo bhi dekhe tumhein vo hi pyaara kahe koi chanda kahe koi taara kahe meri maano to insey kahii khaas ho tum bahut khoobsurat sa ehsaas ho

Alankrat Srivastava

1 likes

tum meraa din bhi tumheen ho tumheen shaam bhi meraa allah bhi tum ho tumheen raam bhi tan meraa hai magar is men rahte ho tum rakt ki dhamniyon men bhi bahte ho tum dil ki dhadkan bhi tum ho tumheen saans ho tum bahut khoobsurat sa ehsaas ho mere chanchal se man ki tumheen meet ho jo baje hai hriday men vo sangeet ho din duniya ke is shor se bhag kar din dupahri men au raat men jaag kar gadh raha hooñ jise vo upanyaas ho tum bahut khoobsurat sa ehsaas ho

Alankrat Srivastava

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Alankrat Srivastava.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Alankrat Srivastava's nazm.