nazmKuch Alfaaz

vo log bahut KHush-qismat the jo ishq ko kaam samjhte the ya kaam se aashiqi karte the ham jeete-ji masroof rahe kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya kaam ishq ke aadhe aata raha aur ishq se kaam uljhta raha phir aaKHir tang aa kar ham ne dono ko adhoora chhod diya

Related Nazm

main cigarette to nahin peeta magar har aane waale se pooch leta hooñ ki maachis hai bahut kuchh hai jise main phoonk dena chahta hooñ

Gulzar

107 likes

tumhaara phone aaya hai ajab si oob shaamil ho gayi hai roz jeene men palon ko din men din ko kaat kar jeena maheene men mahj maayusiyaan jagti hain ab kaisi bhi aahat par hazaaron uljhnon ke ghonsle latke hain chaukhat par achaanak sab ki sab ye chuppiyaan ik saath pighli hain ummeedein sab simat kar haath ban jaane ko machli hain mere kamre ke sannaate ne angadaai si to dii hai meri KHaamoshiyon ne ek naghma gungunaaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai sati ka chaitra dik jaa.e jaise roop-baari men ki jaise chhath ke mauke par jagah mil jaa.e gaa dii men meri awaaz se jaage tumhaare baam-o-dar jaise ye namumkin si hasrat hai khyaali hai magar jaise ba dii naakaamiyon ke baad himmat ki lehar jaise ba dii bechainiyon ke baad raahat ka pahar jaise ba dii gumnaamiyon ke baad shohrat ki mehr jaise subah aur shaam ko saadhe hue ik dopahar jaise bade unwaan ko baandhe hue chhoti bahar jaise nayi dulhan ke sharmate hue shaam-o-sehar jaise hatheli par rachi mehn dii achaanak muskuraai hai meri aankhoñ men aañsu ka sitaara jagmagaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai

Kumar Vishwas

81 likes

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum

Tahir Faraz

54 likes

kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo

Raghav Ramkaran

42 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

yaad dast-e-tanhaai men ai jaan-e-jahaan larzaan hain teri awaaz ke saa.e tire honton ke saraab dast-e-tanhaai men doori ke khas-o-khaak tale khil rahe hain tire pahluu ke saman aur gulaab uth rahi hai kahiin qurbat se tiri saans kii aanch apni KHushboo men sulagti hui madhham madhham door ufuq paar chamakti hui qatra qatra gir rahi hai tiri dildaar nazar kii shabnam is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakkha hai dil ke rukhsaar pe is vaqt tiri yaad ne haath yuñ gumaan hota hai garche hai abhii subh-e-firaq dhal gaya hijr ka din aa bhi gaii vasl kii raat

Faiz Ahmad Faiz

3 likes

guzar rahe hain shab o roz tum nahin aati riyaaz-e-zeest hai aazurda-e-bahaar abhii mire khayal ki duniya hai sogwaar abhii jo hasratein tire gham ki kafeel hain pyaari abhii talak mirii tanhaaiyon men bastii hain taveel raatein abhii tak taveel hain pyaari udaas aañkhen tiri deed ko tarasti hain bahaar-e-husn pe paabandi-e-jafaa kab tak ye aazmaaish-e-sabr-e-gurez-paa kab tak qasam tumhaari bahut gham utha chuka hooñ main galat tha daava-e-sabr-o-shakeb aa jaao qaraar-e-khaatir-e-betaab thak gaya hooñ main

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

mira dard naghma-e-be-sada mirii zaat zarra-e-be-nishaan mere dard ko jo zabaan mile mujhe apna naam-o-nishaan mile mirii zaat ka jo nishaan mile mujhe raaz-e-nazm-e-jahaan mile jo mujhe ye raaz-e-nihaan mile mirii KHaamushi ko bayaañ mile mujhe kaayenaat ki sarvari mujhe daulat-e-do-jahaan mile

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

aaj phir dard-o-gham ke dhaage men ham piro kar tire khayal ke phool tark-e-ulft ke dasht se chun kar aashnaai ke maah o saal ke phool teri dahleez par saja aa.e phir tiri yaad par chadha aa.e baandh kar aarzoo ke palle men hijr ki raakh aur visaal ke phool

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

chalo phir se muskuraayein chalo phir se dil jalaaen jo guzar gaii hain raatein unhen phir jaga ke laayein jo bisar gaii hain baatein unhen yaad men bulaaein chalo phir se dil lagaayein chalo phir se muskuraayein kisi shah-nasheen pe jhalaki vo dhanak kisi qaba ki kisi rag men kasmasaai vo kasak kisi ada ki koi harf-e-be-muravvat kisi kunj-e-lab se foota vo chanak ke sheesha-e-dil tah-e-baam phir se toota ye milan ki na milan ki ye lagan ki aur jalan ki jo sahi hain waaradaatein jo guzar gaii hain raatein jo bisar gaii hain baatein koi un ki dhun banaayein koi un ka geet gaayein chalo phir se muskuraayein chalo phir se dil jalaaen

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's nazm.