lab pe aati hai dua ban ke tamannaa mirii zindagi shamaaki soorat ho khudaaya mirii door duniya ka mire dam se andhera ho jaa.e har jagah mire chamakne se ujaala ho jaa.e ho mire dam se yoonhi mire watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho mirii parwaane ki soorat ya-rab ilm ki shamase ho mujh ko mohabbat ya-rab ho mira kaam ghareebon ki himayat karna dard-mandon se zaifon se mohabbat karna mire allah buraai se bachaana mujh ko nek jo raah ho us rah pe chalaana mujh ko
Related Nazm
dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai
Ali Zaryoun
70 likes
yaad hai ek din meri mez pe baithe-baithe cigarette ki dibiyaa par tumne ek sketch banaya tha aakar dekhous paudhe par phool aaya hai
Gulzar
37 likes
uski khushiyaan saari jheelein sookh gaii hain uski aañkhen sookh gaii hain pedon par panchi bhi chup hain us..ko koi dukh hai shaayad raaste soone soone hain sab usne tahlna chhod diya hai saari ghazlein bemaani hain usne padhna chhod diya hai vo bhi hansna bhool chuki hai gulon ne khilna chhod diya hai saawan ka mausam jaarii hai yaanii uskaa gham jaarii hai baaki mausam taal diye hain sukh kuein men daal diye hain chaand ko chhutti de dii gaii hai taaron ko madhham rakha hai aatish-daan men fenk dii khushiyaan dil men bas ik gham rakha hai khaana peena chhod diya hai sabse rishta tod diya hai haaye qayamat aane ko hai usne jeena chhod diya hai har dil KHush har chehra KHush ho vo ho KHush to duniya KHush ho vo achchhii to sab achha hai aur duniya men kya rakha hai ye sab sunkar KHuda ne bola bol teri ab KHvaahish kya hai maine bola meri KHvaahish meri KHvaahish uski khushiyaan KHuda ne bola teri KHvaahish main phir bola uski khushiyaan iske alaava pooch raha hooñ maine bola uski khushiyaan apne li.e kuchh maang le pagle maang liya na uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan
Varun Anand
30 likes
chishti ne jis zameen men paigham-e-haq sunaaya naanak ne jis chaman men wahdat ka geet gaaya tataariyon ne jis ko apna watan banaya jis ne hijaaziyo se dast-e-arab chhudaaya meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai yunaaniyo ko jis ne hairaan kar diya tha saare jahaan ko jis ne ilm o hunar diya tha miTTi ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha turko ka jis ne daaman heero se bhar diya tha meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai toote the jo sitaare faras ke aasmaañ se phir taab de ke jis ne chamkaaye kahkashaan se wahdat ki lay sooni thii duniya ne jis makaan se meer-e-arab ko aayi thandi hawa jahaan se meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai bande kaleem jis ke parbat jahaan ke seena nooh-e-nabi ka aa kar thehra jahaan safeena rif'at hai jis zameen ki baam-e-falak ka zeena jannat ki zindagi hai jis ki fazaa men jeena meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai
Allama Iqbal
18 likes
jab vo is duniya ke shor aur khaamoshi se kata taalluq hokar english men gussa karti hai main to dar jaata hooñ lekin kamre ki deewarein hansne lagti hain vo ik aisi aag hai jis..ko sirf dahakne se matlab hai vo ek aisa KHvaab hai jis..ko dekhne vaala KHud mushkil men pad saka hai us..ko choone ki KHvaahish to theek hai lekin paani kaun pakad saka hai vo rangon se waqif hai balki har ek rang ke shajre tak se waqif hai hamne jin phoolon ko nafrat se mansoob kiya vo un peele phoolon ki izzat karti hai kabhi kabhi vo apne haath men pencil lekar aisi sataren khenchti hai sabkuchh seedha ho jaata hai vo chahe to har ik cheez ko uske asl men la sakti hai sirf usii ke haathon se duniya tarteeb men aa sakti hai har patthar us paanv se takraane ki KHvaahish men zinda lekin ye to isee adhoorepan ka jahaan hain har pinjare men aise qaidee kab hote hain har kapde ki qismat men vo jism kahaan hain meri be-maqsad baaton se tang bhi aa jaati hai to mehsoos nahin hone deti lekin apne hone se ukta jaati hai us..ko vaqt ki paaban dii se kya matlab hai vo to band gha dii bhi haath men baandh ke kaalej aa jaati hai
Tehzeeb Hafi
51 likes
More from Allama Iqbal
labreiz hai sharaab-e-haqeeqat se jaam-e-hind sab falsafi hain khitta-e-maghrib ke raam-e-hind ye hindiyo ki fikr-e-falak-ras ka hai asar rif'at men aasmaañ se bhi ooncha hai baam-e-hind is des men hue hain hazaaron malak-sarisht mashhoor jin ke dam se hai duniya men naam-e-hind hai raam ke vujood pe hindostaan ko naaz ahl-e-nazar samjhte hain is ko imaam-e-hind e'jaz is charaagh-e-hidaayat ka hai yahii raushan-tar-az-sehar hai zamaane men shaam-e-hind talwaar ka dhani tha shuja'at men fard tha paakizagi men josh-e-mohabbat men fard tha
Allama Iqbal
3 likes
chishti ne jis zameen men paigham-e-haq sunaaya naanak ne jis chaman men wahdat ka geet gaaya tataariyon ne jis ko apna watan banaya jis ne hijaaziyo se dast-e-arab chhudaaya meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai yunaaniyo ko jis ne hairaan kar diya tha saare jahaan ko jis ne ilm o hunar diya tha miTTi ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha turko ka jis ne daaman heero se bhar diya tha meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai toote the jo sitaare faras ke aasmaañ se phir taab de ke jis ne chamkaaye kahkashaan se wahdat ki lay sooni thii duniya ne jis makaan se meer-e-arab ko aayi thandi hawa jahaan se meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai bande kaleem jis ke parbat jahaan ke seena nooh-e-nabi ka aa kar thehra jahaan safeena rif'at hai jis zameen ki baam-e-falak ka zeena jannat ki zindagi hai jis ki fazaa men jeena meraa watan vahii hai meraa watan vahii hai
Allama Iqbal
18 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's nazm.







