nazmKuch Alfaaz

labreiz hai sharaab-e-haqeeqat se jaam-e-hind sab falsafi hain khitta-e-maghrib ke raam-e-hind ye hindiyo ki fikr-e-falak-ras ka hai asar rif'at men aasmaañ se bhi ooncha hai baam-e-hind is des men hue hain hazaaron malak-sarisht mashhoor jin ke dam se hai duniya men naam-e-hind hai raam ke vujood pe hindostaan ko naaz ahl-e-nazar samjhte hain is ko imaam-e-hind e'jaz is charaagh-e-hidaayat ka hai yahii raushan-tar-az-sehar hai zamaane men shaam-e-hind talwaar ka dhani tha shuja'at men fard tha paakizagi men josh-e-mohabbat men fard tha

Related Nazm

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

tumhaara phone aaya hai ajab si oob shaamil ho gayi hai roz jeene men palon ko din men din ko kaat kar jeena maheene men mahj maayusiyaan jagti hain ab kaisi bhi aahat par hazaaron uljhnon ke ghonsle latke hain chaukhat par achaanak sab ki sab ye chuppiyaan ik saath pighli hain ummeedein sab simat kar haath ban jaane ko machli hain mere kamre ke sannaate ne angadaai si to dii hai meri KHaamoshiyon ne ek naghma gungunaaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai sati ka chaitra dik jaa.e jaise roop-baari men ki jaise chhath ke mauke par jagah mil jaa.e gaa dii men meri awaaz se jaage tumhaare baam-o-dar jaise ye namumkin si hasrat hai khyaali hai magar jaise ba dii naakaamiyon ke baad himmat ki lehar jaise ba dii bechainiyon ke baad raahat ka pahar jaise ba dii gumnaamiyon ke baad shohrat ki mehr jaise subah aur shaam ko saadhe hue ik dopahar jaise bade unwaan ko baandhe hue chhoti bahar jaise nayi dulhan ke sharmate hue shaam-o-sehar jaise hatheli par rachi mehn dii achaanak muskuraai hai meri aankhoñ men aañsu ka sitaara jagmagaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai

Kumar Vishwas

81 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

mariyam main aainon se gurez karte hue pahaadon ki kokh men saans lene waali udaas jheelon men apne chehre ka aks dekhooñ to sochta hooñ ki mujh men aisa bhi kya hai mariyam tumhaari be-sakhta mohabbat zameen pe phaile hue samandar ki wusaaton se bhi maavra hai mohabbaton ke samundaron men bas ek bahira-e-hijr hai jo bura hai mariyam khala-navardon ko jo sitaare muaawze men mile the vo unki raushni men ye sochte hain ki vaqt hi to KHuda hai mariyam aur is taalluq ki gathriyon men ruki hui saatyon se hatkar mere li.e aur kya hai mariyam abhii bahut vaqt hai ki ham vaqt de zaraa ik doosre ko magar ham ik saath rahkar bhi KHush na rah sake to muaaf karna ki maine bachpan hi dukh ki dahleez par guzaara main un charaaghon ka dukh hooñ jinki love shab-e-intezaar men bujh gaii magar unse uthne vaala dhuaan zamaan-o-makaan men faila hua hai ab tak main kohsaaron aur unke jismoon se bahne waali un aabshaaron ka dukh hooñ jinko zameen ke chehron par rengte rengte zamaane guzar ga.e hain jo log dil se utar ga.e hain kitaaben aankhoñ pe rakh ke soye the mar ga.e hain main unka dukh hooñ jo jism khud-lazzatee se ukta ke aainon ki tasalliyon men pale badhe hain main unka dukh hooñ main ghar se bhaage huo ka dukh hooñ main raat jaage huo ka dukh hooñ main sahilon se bandhi hui kashtiyon ka dukh hooñ main laapata ladkiyon ka dukh hooñ khulii hue khidkiyon ka dukh hooñ mitti hui takhtiyon ka dukh hooñ thake hue baadlon ka dukh hooñ jale hue junglon ka dukh hooñ jo khul kar barsi nahin hai main us ghatta ka dukh hooñ zameen ka dukh hooñ KHuda ka dukh hooñ bala ka dukh hooñ jo shaakh saawan men foottee hai vo shaakh tum ho jo peeng baarish ke baad ban ban ke tootti hai vo peeng tum ho tumhaare hothon se saatyon ne sama'aton ka sabq liya hai tumhaari hi shaakh-e-sandlee se samundaron ne namak liya hai tumhaara meraa muaamla hi juda hai mariyam tumhein to sab kuchh pata hai mariyam

Tehzeeb Hafi

158 likes

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Allama Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Allama Iqbal's nazm.