nazmKuch Alfaaz

mariyam main aainon se gurez karte hue pahaadon ki kokh men saans lene waali udaas jheelon men apne chehre ka aks dekhooñ to sochta hooñ ki mujh men aisa bhi kya hai mariyam tumhaari be-sakhta mohabbat zameen pe phaile hue samandar ki wusaaton se bhi maavra hai mohabbaton ke samundaron men bas ek bahira-e-hijr hai jo bura hai mariyam khala-navardon ko jo sitaare muaawze men mile the vo unki raushni men ye sochte hain ki vaqt hi to KHuda hai mariyam aur is taalluq ki gathriyon men ruki hui saatyon se hatkar mere li.e aur kya hai mariyam abhii bahut vaqt hai ki ham vaqt de zaraa ik doosre ko magar ham ik saath rahkar bhi KHush na rah sake to muaaf karna ki maine bachpan hi dukh ki dahleez par guzaara main un charaaghon ka dukh hooñ jinki love shab-e-intezaar men bujh gaii magar unse uthne vaala dhuaan zamaan-o-makaan men faila hua hai ab tak main kohsaaron aur unke jismoon se bahne waali un aabshaaron ka dukh hooñ jinko zameen ke chehron par rengte rengte zamaane guzar ga.e hain jo log dil se utar ga.e hain kitaaben aankhoñ pe rakh ke soye the mar ga.e hain main unka dukh hooñ jo jism khud-lazzatee se ukta ke aainon ki tasalliyon men pale badhe hain main unka dukh hooñ main ghar se bhaage huo ka dukh hooñ main raat jaage huo ka dukh hooñ main sahilon se bandhi hui kashtiyon ka dukh hooñ main laapata ladkiyon ka dukh hooñ khulii hue khidkiyon ka dukh hooñ mitti hui takhtiyon ka dukh hooñ thake hue baadlon ka dukh hooñ jale hue junglon ka dukh hooñ jo khul kar barsi nahin hai main us ghatta ka dukh hooñ zameen ka dukh hooñ KHuda ka dukh hooñ bala ka dukh hooñ jo shaakh saawan men foottee hai vo shaakh tum ho jo peeng baarish ke baad ban ban ke tootti hai vo peeng tum ho tumhaare hothon se saatyon ne sama'aton ka sabq liya hai tumhaari hi shaakh-e-sandlee se samundaron ne namak liya hai tumhaara meraa muaamla hi juda hai mariyam tumhein to sab kuchh pata hai mariyam

Tehzeeb Hafi158 Likes

Related Nazm

kyuuñ hai tum nahin ho yahaañ par phir bhi tumhaare hone ka ehsaas kyuuñ hai kuchh hai nahin mere haath men phir bhi kuchh hone ki ye aas kyuuñ hai badi hairaani hai mujhe ki vo door hokar bhi itnaa paas kyuuñ hai sabne kaha ki vo to paraaya hai vo paraaya hokar bhi itnaa khaas kyuuñ hai j itnaa vo door hai mujhse vo utna hi mujh...ko raas kyuuñ hai baitha hooñ bilkul ekaant men main phir bhi kaanon men uski aawaaz kyuuñ hai khul ke nahin kahti vo kuchh bhi uski aankhoñ men itne raaz kyuuñ hain basi hai dil men vo mere ye meraa dil uskaa aavaas kyuuñ hai us..ko nahin bhula saka main ye uske naam ki har shvaas kyuuñ hai poori kaaynaat uski yaad dilaati hai ye tan-man men uskaa vaas kyuuñ hai vo meri hui nahin hai abhii us..ko khone ke dar se man itnaa badhavaas kyuuñ hai dooriyaan likhi hain jaise darmiyaan meraa naseeb mujhse itnaa naaraaz kyuuñ hai aise shabd kahaan se laaun ki vo samjhe jo gar na samjha paa.e to phir aise alfaaz kyuuñ hain rah to raha hooñ apne nivaas men uske bin lagta ye vanvaas kyuuñ hai gar mil bhi jaa.e sampatti saari duniya ki magar vo saath nahin to phir ye bhogvilaas kyuuñ hai sote hi uske khwaabon men aur jaagte hi uske khyaalon men kaise bhi uskaa ho jaane ki itni pyaas kyuuñ hai jaltee hain ye nazren ab meri in nainon ko har waqt teri talash kyuuñ hai haalaat kah rahe hain ki ye mumkin nahin phir bhi tum pukaarogi ek din mujhe itnaa vishwas kyuuñ hai ab bhi nahin samjhi kyuuñ hai tumhaari bahut yaad aati hai tum bin raha nahin jaata bas baat kuchh yoon hai tumse bepanaah mohabbat thii hai aur rahegi ye satya jyon ka tyon hai kyuuñ hai

Divya 'Kumar Sahab'

37 likes

meraa sansaar mere man ka sukoon bhi tum ho tum hi meri manzil uskaa junoon bhi tum ho meraa din bhi tum ho meri raat bhi tum ho meri neend bhi tum ho mere jazbaat bhi tum ho meraa har lamha tum ho mere haalaat bhi tum ho meraa jeevan bhi tum ho iski masti bhi tum ho hooñ agar main majhdhaar to phir iski kashtii bhi tum ho agar hooñ main shareer to iski asthi bhi tum ho aur hooñ agar main aatma to iski mukti bhi tum ho meraa vairaagya bhi tum ho meri aasakti bhi tum ho meraa eeshwar bhi tum ho meri bhakti bhi tum ho main agar dil hooñ to iski dhadkan bhi tum ho meri har baat tum ho meri tardpan bhi tum ho meri swatantrata bhi tum ho meraa bandhan bhi tum ho meraa sukh bhi tum ho meri muskaan bhi tum ho meraa dukh bhi tum ho meraa sammaan bhi tum ho meraa bal bhi tum ho meraa swaabhimaaan bhi tum ho meri praarthana bhi tum ho meraa abhimaan bhi tum ho meraa har kaam bhi tum ho thak jaaun to aaraam bhi tum ho bheje hain tujhko chaand ke haathon vo saare paigaam bhi tum ho saanson men bas teraa naam hai meraa to anjaam bhi tum ho meraa to aadhaar hi tum ho meri to sarkaar hi tum ho meri to faqeeri bhi tum ho khazane ka ambaar bhi tum ho mere labon ka maun bhi tum ho mere dil ki pukaar bhi tum ho meri to kutiya bhi tum ho meraa raaj-darbaar bhi tum ho meraa har vikaar bhi tum ho meraa to shrungaar bhi tum ho meri jeet-haar bhi tum ho meraa gussa-pyaar bhi tum ho meraa to ghar baar hi tum ho jeene ke aasaar hi tum ho kaise main bataau tujhe tumhaare bin main kuchh bhi nahin meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho

Divya 'Kumar Sahab'

37 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

vo log bahut KHush-qismat the jo ishq ko kaam samjhte the ya kaam se aashiqi karte the ham jeete-ji masroof rahe kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya kaam ishq ke aadhe aata raha aur ishq se kaam uljhta raha phir aaKHir tang aa kar ham ne dono ko adhoora chhod diya

Faiz Ahmad Faiz

160 likes

bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

Ahmad Faraz

111 likes

More from Tehzeeb Hafi

kitna arsa laga na-ummee dii ke parbat se patthar hataate hue ek bifri hui lehar ko raam karte hue na-khudaon men ab peeche kitne bache hain raushni aur andhere ki tafriq men kitne logon ne aañkhen ganwa deen kitnii sadiyaan safar men guzaari magar aaj phir us jagah hain jahaan se ha men apni maon ne ruksat kiya tha apne sab se bade KHvaab ko apni aankhoñ ke aage ujdate hue dekhne se bura kuchh nahin hai teri qurbat men ya tujh se doori pe jitni guzaari teri chudiyon ki qasam zindagi daayron ke siva kuchh nahin hai kuhaniyon se ha men apna munh dhanp kar khaasne ko badon ne kaha tha to ham un pe hanste the aur sochte the ki un ko tissue-papero ki mahak se allergy hai lekin ha men ye pata hi nahin tha ki un pe vo aafat tooti hain jin ka ha men ik sa dii baa'd phir saamna hai vaba ke dinon men kise hosh rehta hai kis haath ko chhodna hai kise thaamna hai ik riyaazi ke ustaad ne apne haathon men parkaar le kar ye duniya nahin dayra kheenchana tha KHair jo bhi hua tum bhi purkhon ke naqsh-e-qadam par chalo aur apni hifazat karo kuchh maheene tumhein apne tasmee nahin baandhne is se aage to tum pe hai tum apni manzil pe pahuncho ya phir raaston men raho is se pahle ki tum apne mahboob ko ventilator pe dekho gharo men raho

Tehzeeb Hafi

21 likes

main sapnon men oxygen plant install kar raha hooñ aur har marne waale ke saath mar raha hooñ main apne lafzon ke jariye tumhein saanson ke cylinder bhejoonga jo tumhein is jang men haarne nahin denge aur tumhaari dekhbhaal karne waalon ke haathon ko kaampane nahin denge oxygen stock khatm hone ki khabren gardish bhi karen to kya main tumhaare li.e apni nazmon se ventilator banaoonga aspataalon ke bistar bhar bhi jaayen kuchh log tumse bichhad bhi jaayen to hausla mat haarna kyunki raat chahe jitni marzi kaali ho guzar jaane ke li.e hoti hai rang utar jaane ke li.e hote hain aur zakham bhar jaane ke hote hain

Tehzeeb Hafi

46 likes

mujhe bahut hai ke main bhi shaamil hooñ teri zulfon ki zaireeno men jo amaavas ki kaali raaton ka rizq banne se bach ga.e mujhe kasam hai udaas raaton men dasne waale yateem saanpon ki zahar-aalood zindagi ki tere chhue jism bistar-e-marg par pade hain tere labon ki khifee jumbish se zalzalon ne zameen ka zevar utaar fenka teri darkhaan hateliyon par badalte mausam ke jaaykon se pata chala hai ke is talluq ki sar zameen par kheejaa bahut der tak rahegi main jaanta hooñ ke maine mamnoo shahon se ho ke aise bahut se babon ki sair ki hai jahaan se tu rokti bahut thii ye haath jinko tere badan ki chamak ne barso nidhaal rakha haraam hai ke inhonne shaakhon se phool tode ho ya kisi bhi ped ke lachakdaar bajuon se kisi bhi mausam ka fal utaara ho aur agar aisa ho bhi jaata to phir bhi teri sharisht men inteqaam kab hai abhii mohabbat ki subah roshan hai shaam kab hai ye dil ke sheeshe par padne waali malaal ki dhool saaf kar de main tujh se chhup kar agar kisi se mila to mujhe muaaf kar de

Tehzeeb Hafi

25 likes

ek saheli ki naseehat tum akeli nahin ho saheli jise apne veeraan ghar ko sajaana tha aur ek shayar ke lafzon ko sach maankar uski pooja men din kaatne the tumse pahle bhi aisa hi ik KHvaab jhooti tasalli men jaañ de chuka hai tumhein bhi vo ek din kahega ki vo tumse pahle kisi ko zabaan de chuka hai vo to shayar hai aur saaf zaahir hai shayar hawa ki hatheli pe likkhi hui vo paheli hai jisne abad aur azal ke dareechon ko uljha diya hai vo to shayar hai shayar tamannaa ke sehra men raman karne vaala hiran hai shobda saaz subh ki pahli kiran hai adbagah-e-ulfat ka memaar hai vo to shayar hai shayar ko bas fikr-e-lauh-e-kalam hai use koi dukh hai kisi ka na gham hai vo to shayar hai shayar ko kya khauf marne se shayar to KHud shehsawaar-e-ajl hai use kis tarah taal saka hai koi ke vo to atal hai main use jaanti hooñ vo samandar ki vo lehar hai jo kinaare se waapas palatte hue meri khurduri adiyon par lagii ret bhi aur mujhe bhi baha le gaya vo mere junglon ke darakhton pe baithi hui shahad ki makkhiyaan bhi uda le gaya usne mere badan ko chhua aur meri haddiyon se vo naz men kashee dii jinhen padh ke main kaanp uthatii hooñ aur sochti hooñ ki ye mas'ala dilbari ka nahin KHuda ki qasam kha ke kahti hooñ vo jo bhi kahtaa rahe vo kisi ka nahin saheli tum meri baat maano tum use jaanti hi nahin vo khuda-e-sipah-e-sukhan hai aur tum ek patthar pe naakhun. se likhi hui usii ki hi ek nazm ho

Tehzeeb Hafi

40 likes

mohabbat KHud apne li.e jism chuntee hai aur jaal bunati hai unke li.e jo ye aag apne seenon men bharne ko taiyyaar hon ghut ke jeene se bezaar hon mohabbat kabhi ek se ya kabhi ek sau ek logon se hone ka ailaan ek saath karti hai is men kaii umr jinki koi qadr nahin mohabbat kisi bench par ek mard aur aurat ne khaai hui ik adhuri qasam hai mohabbat men mar jaana marna nahin mohabbat to KHud devataaon ka punarjanam hai mohabbat kisi rahebaan ki kalaaee se utri hui choodiyon ki khanak hai mohabbat kisi ek murda sitaare ko khairaat men milne waali chamak hai mohabbat pe shak to KHud apne hi hasti pe shak hai mohabbat to mahboob ke qadd-o-kaamat se janmi hui vo alaamat hai aur tez baarish men sah men hue haathiyo par badi chhatriyon ki tarah hai mohabbat sard mulkon men waapas palatte hue apne zakhami paron se khalaon men lahu ki lakeeren banaati hui goonj hai moonj hai aur dil ki zameenon ko sairaab karti hui nahar hai qahar hai zehar hai jo ragon men utarkar badan ko udaasi ke us shahar men maar-kar khair aabaad kahti hai jo calvino ne bas zehan men tasavvur kiya tha jo masjid men sipaaron ko seenon men mahfooz karte hue bacchiyon ko KHuda se daraate hue maulvi ka makar hai mohabbat kaleesaon men roosi akhrot ki lakdiyon se banii kursiyon par buzurgon ki aankhoñ men marne ka dar hai mohabbat mohabbat zaheenon pe khulti hai isko kabhi kund zehnon se koi naaka nahin mohabbat ko kya koi apna hai ya ghair hai is men aadmi sab kuchh lutaakar bhi kahtaa hai ki khair hai

Tehzeeb Hafi

33 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's nazm.