nazmKuch Alfaaz

magar tujhko iski khabar hi nahin hai tu sabse juda hai tu sabse haseen hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai zamaane men tujhsa na koii kahiin hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai tujhe dekh kar hi nikalta hai suraj tujhe dekhkar roz dhalta hai suraj tu ik ba-wazoo apsara hai mirii jaañ KHuda bhi to tujhpe fida hai mirii jaañ tujhi se mohabbat karega yaqeen hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai tujhe kaam sab chhod kar dekhte hain bina baat ke phool bhi fenkte hain ki mumtaaz bhi tere jaisi nahin hai yahaañ ek tu hi jeet hai bahut khoobsurat hai zohra-jabeen hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai

Related Nazm

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka

Jaun Elia

216 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

More from Prashant Kumar

heart attack tu laavegi jo top pahan ke aayegi to qahr qasam se dhaayegi yuñ tang qaba men aavegi phir bijli khoob giraayegi aur heart attack bhi laayegi jhuk ke roomaal uthaaegi ekaadh ko tu tapkaayegi jo aise pet dikhaayegi to dil kii neev hilaayegi aur heart attack bhi laayegi yuñ dekhke tu muskaayegi to jhagda sab men karaayegi tu hamko bhi marwaayegi tu hamko bhi marwaayegi aur heart attack bhi laayegi jo hamse haath milaaegi to dil ke taar bhidhaayegi tu tan men aag lagaaegi hamko tu maar giraayegi aur heart attack bhi laayegi

Prashant Kumar

1 likes

tu vahii ladki hai main bhi vahii ladka hooñ kya yaad hai gori bachpan men dil tune rakha tha achkan men dil tujhse maine maanga tha phir thennga tune dikhaaya tha tu sach men vo hi ladki hai main sach men vo hi ladka hooñ tu mujhse mohabbat karti hai main tujhse mohabbat karta hooñ dil dhadkan ek minute men sab aapas men jitni baar mile ham dono bhi ik dooje se ik din men utni baar mile jab mujhse ghalti hoti thii tu paagal kah ke chidhaati thii peechhe se dobaara aati thii tu chhed ke mujh...ko jaati thii par jab lagti thii chot mujhe tu door se rone lagti thii jal dii se bhaag ke aati thii seene se mujh...ko lagati thii kahti thii sorry kaan pakad tu daaru davaa sab karti thii tu saath men mire kheli hai main saath men tere khela hooñ tu ladki high-fi hai aur main ladka albeela hooñ tu sach men vo hi ladki hai main sach men vo hi ladka hooñ tu mujhse mohabbat karti hai main tujhse mohabbat karta hooñ main roz tire ghar aata tha tu roz mire ghar aati thii school ko dono jaate the tu mujh...ko roz bulaati thii tu mujh...ko ghar pe padhaati thii aur haathon se likhvaati thii kitnii shaitani karta tha tu kaan pakad ke rakhti thii main aankh se ojhal hota tha phir tu bhi darne lagti thii tu mujh...ko dhoondhti thii sab men tu mujh...ko dekhti thii sab men tu jaan bataati thii mujh...ko haathon se khilaati thii mujh...ko main shaam savere jaan-e-man teri go dii men soya hooñ tu sach men vo hi ladki hai main sach men vo hi ladka hooñ tu mujhse mohabbat karti hai main tujhse mohabbat karta hooñ

Prashant Kumar

2 likes

dil kii kitaabon men mira naam nahin hai ab ishq mohabbat se koii kaam nahin hai kyun dil kii kitaabon men mira naam nahin hai hothon pe mire pyaar ka paighaam nahin hai kyun dil kii kitaabon men mira naam nahin hai ye rog jawaani men sabhi ko hi laga hai bin ishq mohabbat ke bhala kiska hua hai aisa hai yahaañ kaun jo badnaam nahin hai ab ishq mohabbat se koii kaam nahin hai kyun dil kii kitaabon men mira naam nahin hai matlab kii mohabbat se pareshaan raha hooñ main kyunki yahaañ banke ik insaan raha hooñ kaisa bhi kahiin dil ko ab aaraam nahin hai ab ishq mohabbat se koii kaam nahin hai kyun dil kii kitaabon men mira naam nahin hai logon ne mohabbat ka yahaañ dhong rachaaya vaade sabhi jhoote ki.e ilzaam lagaaya mujh sa koii 'aashiq kahiin badnaam nahin hai ab ishq mohabbat se koii kaam nahin hai kyun dil kii kitaabon men mira naam nahin hai main jaaun jidhar log hañsi meri udaate paagal bhi bataate hain mujhe phir bhi sataate maalik tiri duniya men mira kaam nahin hai ab ishq mohabbat se koii kaam nahin hai kyun dil kii kitaabon men mira naam nahin hai

Prashant Kumar

2 likes

insaan kii duniya to hai insaan nahin hai insaan kii duniya to hai insaan nahin hai kaisa bhi mire dil men ab armaan nahin hai haiwaan hain yaa sab koii insaan nahin hai kaisa bhi mire dil men ab armaan nahin jo kuchh bhi banaa hooñ main vo mehnat se banaa hooñ daulat se banaa hooñ na siyaasat se banaa hooñ haan mujh pe kisi ka koii ehsaan nahin hai insaan kii duniya to hai insaan nahin hai pahchaan bina koii tujhe kaam na dega dega bhi koii kaam to aaraam na dega apni to kahiin bhi koii pahchaan nahin hai insaan kii duniya to hai insaan nahin hai jo baat hai haq kii ye vahii baat chhupaate ye ek hi chehre men kaii chehre lagaate inki to taraf-dari men bhagwaan nahin hai insaan kii duniya to hai insaan nahin hai munh pe tire teri mire munh pe mirii kahte baahar se hi apne lage andar se ye jalte tujhko abhii insaan kii pahchaan nahin hai insaan kii duniya to hai insaan nahin hai

Prashant Kumar

1 likes

daur-e-jawaani isi umr men jo bhi karna hai kar lo isi umr men tum ki saj lo sanwar lo nahin umr phir laut kar aayegi ye yahii hai samajh lo KHuda ka ishaara milegi nahin zindagi phir dobaara isi umr men aish-o-aaraam kar lo isi umr men chaaho tum naam kar lo bahut qeemti hai jawaani ka mausam isi men hai barsaat patjhad ka mausam bahut qeemti hai ye daur-e-jawaanina aayegi phir laut kar ye jawaani main phir kah raha hooñ sabhi se tibaara milegi nahin zindagi phir dobaara isi umr men saare bacche bigadte isi umr men saare bacche sudharte agar isko chaaho to sona banaa lo agar isko chaaho khilauna banaa lo ye parvat ye nadiyaan sabhi ped paudhe sabhi apne path par chale ja rahe hain zameen aasmaañ kah rahe chaand taare yahii kah raha hai nadi ka kinaara milegi nahin zindagi phir dobaara

Prashant Kumar

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Prashant Kumar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Prashant Kumar's nazm.