nazmKuch Alfaaz

maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii mujh ko raaton ki siyaahi ke siva kuchh na mila main vo naghma hoon jise pyaar ki mehfil na mili vo musaafir hoon jise koi bhi manzil na mili zakham paa.e hain bahaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii kisi gesu kisi aanchal ka sahaara bhi nahin raaste men koi dhundla sa sitaara bhi nahin meri nazaron ne nazaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii dil men naakaam umeedon ke basere paa.e raushni lene ko niklaa to andhere paa.e rang aur noor ke dhaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii meri raahon se juda ho gaiin raahen un ki aaj badli nazar aati hain nigaahen un ki jin se is dil ne sahaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii pyaar maanga to siskate hue armaan mile chain chaaha to umdate hue toofaan mile doobte dil ne kinaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii

Related Nazm

main cigarette to nahin peeta magar har aane waale se pooch leta hooñ ki maachis hai bahut kuchh hai jise main phoonk dena chahta hooñ

Gulzar

107 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

daulat na ata karna maula shohrat na ata karna maula bas itnaa ata karna chahe jannat na ata karna maula shamma-e-watan ki lau par jab qurbaan patanga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho bas ek sadaa hi sunen sadaa barfeeli mast hawaon men bas ek dua hi uthe sadaa jalte-tapte sehraaon men jeete-ji iska maan rakhen mar kar maryada yaad rahe ham rahen kabhi na rahen magar iski saj-dhaj aabaad rahe jan-man men uchchal desh prem ka jaladhi taranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho geeta ka gyaan sune na sunen is dharti ka yashgaan sunen ham sabad-keertan sun na saken bharat maa ka jaygaan sunen परवरदिगार,मैं tere dwaar par le pukaar ye aaya hoon chahe azaan na sunen kaan par jay-jay hindustan sunen jan-man men uchchal desh prem ka jaladhi taranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho

Kumar Vishwas

66 likes

bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum

Tahir Faraz

54 likes

mahbooba ke naam tu apni chitthiyon men meer ke ashaar likhti hai mohabbat ke bina hai zindagi bekar likhti hai tere khat to ibaarat hain wafadari ki qasmoñ se jinhen main padhte dartaa hooñ vahii har baar likhti hai tu pairokaar leila ki hai sheerin ki pujaaran hai magar tu jispe baithi hai vo sone ka singhaasan hai teri palkon ke maskaare tere honthon ki ye laali ye tere reshmi kapde ye tere kaan ki baali gale ka ye chamakta haar haathon ke tere kangan ye sab ke sab hai mere dil mere ehsaas ke dushman ki inke saamne kuchh bhi nahin hai pyaar ki qeemat wafa ka mol kya kya hai aitbaar ki qeemat shikasta kashtiyon tooti hui patwaar ki qeemat hai meri jeet se badhkar to teri haar ki qeemat haqeeqat KHoon ke aañsu tujhe rulvaayegi jaanaan tu apne faisley par baad men pachtaayegi jaanaan mere kaandhe pe chhote bhaaiyon ki zimmedaari hai mere maa baap boodhe hai behn bhi to kunvaari hai barhana mausamon ke vaar ko tu sah na paayegi haveli chhod kar tu jhopdi men rah na paayegi ameeri teri meri muflisi ko chhal nahin sakti tu nange paanv to kaaleen par chal nahin sakti

Abrar Kashif

50 likes

More from Sahir Ludhianvi

Wo subah kabhi to aaegi

Sahir Ludhianvi

0 likes

saathiyo main ne barson tumhaare li.e chaand taaron bahaaron ke sapne bune husn aur ishq ke geet gaata raha aarzooon ke aivaan sajaata raha main tumhaara mughanni tumhaare li.e jab bhi aaya naye geet laata raha aaj lekin mire daaman-e-chaak men gard-e-raah-e-safar ke siva kuchh nahin mire barbat ke seene men nagmon ka dam ghut gaya taanein cheekh'on ke ambaar men dab gaii hain aur geeton ke sur hichakiyaañ ban ga.e hain main tumhaara mughanni hooñ naghma nahin hooñ aur nag men ki takhleeq ka saaz-o-samaan saathiyo aaj tum ne bhasm kar diya hai aur main apna toota hua saaz thaa men sard laashon ke ambaar ko tak raha hooñ mire chaaron taraf maut ki vahshatein naachti hain aur insaan ki haiwaaniyat jaag uthi hai barbariyat ke khun-khaar ifreet apne naapaak jabdon ko khole KHoon pee pee ke gurra rahe hain bacche maon ki godon men sah men hue hain ismatein sar-barhana pareshaan hain har taraf shor-e-aah-o-buka hai aur main is tabaahi ke toofaan men aag aur khun ke haijaan men sar-nigoon aur shikasta makaanon ke malbe se pur raaston par apne nagmon ki jholi pasaare dar-b-dar phir raha hooñ mujh ko amn aur tahzeeb ki bheek do mire geeton ki lay meraa sur meri nay mire majrooh honton ko phir saunp do saathiyo main ne barson tumhaare li.e inqilaab aur baghaavat ke nag men alaape ajnabi raaj ke zulm ki chaanv men sarfaroshi ke khwaabida jazbe ubhaare aur us subh ki raah dekhi jis men is mulk ki rooh azaad ho aaj zanjeer-e-mehkoomiyat kat chuki hai aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar ajnabi qaum ke zulmat-afshan farere ki manhoos chaanv se azaad hain khet sona ugalne ko bechain hain vaadiyaan lahlahaane ko betaab hain kohsaaron ke seene men haijaan hai sang aur khisht be-khwab wa bedaar hain un ki aankhoñ men taameer ke KHvaab hain un ke KHvaabon ko takmeel ka roop do mulk ki vaadiyaan ghaatiyan khetiyan auratein bacchiyan haath phailaaye khairaat ki muntazir hain in ko amn aur tahzeeb ki bheek do maon ko un ke honton ki shaadaabiyan nanhe bacchon ko un ki khushi bakhsh do mulk ki rooh ko zindagi bakhsh do mujh ko meraa hunar meri lay bakhsh do aaj saari fazaa hai bhikaari aur main is bhikaari fazaa men apne nagmon ki jholi pasaare dar-b-dar phir raha hooñ mujh ko phir meraa khoya hua saaz do main tumhaara mughanni tumhaare li.e jab bhi aaya naye geet laata rahoonga

Sahir Ludhianvi

2 likes

hiraas tere honton pe tabassum ki vo halki si lakeer mire takhyyul men rah rah ke jhalak uthatii hai yoon achaanak tire aariz ka khayal aata hai jaise zulmat men koi shamaan bhadak uthatii hai tere pairahan-e-rangeen ki junoon-khez mahak KHvaab ban ban ke mire zehan men lehraati hai raat ki sard KHamoshii men har ik jhonke se tere anfaas tire jism ki aanch aati hai main sulagte hue raazon ko ayaan to kar doon lekin un raazon ki tashheer se jee dartaa hai raat ke KHvaab ujaale men bayaañ to kar doon un haseen KHvaabon ki taabeer se jee dartaa hai teri saanson ki thakan teri nigaahon ka sukoot dar-haqeeqat koi rangeen sharaarat hi na ho main jise pyaar ka andaaz samajh baitha hoon vo tabassum vo takallum tiri aadat hi na ho sochta hoon ki tujhe mil ke main jis soch men hoon pahle us soch ka maqsoom samajh loon to kahoon main tire shahar men anjaan hoon pardesi hoon tere altaaf ka mafhoom samajh loon to kahoon kahii aisa na ho paanv mire tharraa jaayein aur tiri marmariin baanhon ka sahaara na mile ashk bahte rahen KHaamosh siyah raaton men aur tire reshmi aanchal ka kinaara na mile

Sahir Ludhianvi

6 likes

ye kooche ye neelaamghar dilkashi ke ye lutte hue kaarvaan zindagi ke kahaan hain kahaan hai muhafiz khu dii ke jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain ye purpeech galiyaan ye badnaam bazaar ye gumnaam raahi ye sikko ki jhankaar ye ismat ke saude ye saudo'n pe takraar jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain ye sadiyon se bekhwaab sahmi si galiyaan ye masli hui adhkhili zard kaliyaan ye bikti hui khokhli rang-ralliyaan jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain vo ujle dareechon men paayal ki chhan-chhan thaki-haari saanson pe table ki dhan-dhan ye berooh kamron men khansi ki than-than jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain ye phoolon ke gajre ye peeko'n ke chheente ye bebaak nazren ye gustaakh fikre ye dhalke badan aur ye beemaar chehre jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain yahaan peer bhi aa chuke hain jawaan bhi tanomand bete bhi abbaa miyaan bhi ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain madad chahti hai ye hawwa ki beti yashoda ki hamjins radha ki beti payambar ki ummat zulaykhaan ki beti jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain zara mulk ke rahbaro'n ko bulao ye kuche ye galiyaan ye manzar dikhaao jinhen naaz hai hind par unko laao jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

Sahir Ludhianvi

2 likes

main pal-do-pal ka shayar hooñ pal-do-pal meri kahaanii hai pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai mujh se pahle kitne shayar aa.e aur aa kar chale ga.e kuchh aahen bhar kar laut ga.e kuchh nag men ga kar chale ga.e ve bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hooñ kal tum se juda ho jaaunga go aaj tumhaara hissa hooñ main pal-do-pal ka shayar hooñ pal-do-pal meri kahaanii hai pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai kal aur aayenge nagmon ki khilti kaliyaan chunne waale mujhse behtar kehne waale tumse behtar sunne waale kal koi mujh ko yaad kare kyuuñ koi mujh ko yaad kare masroof zamaana mere li.e kyuuñ vaqt apna barbaad kare main pal-do-pal ka shayar hooñ pal-do-pal meri kahaanii hai pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai main har ik pal ka shayar hooñ har ik pal meri kahaanii hai har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai rishton ka roop badalta hai buni yaaden khatm nahin hoti KHvaabon aur umangon ki mi yaaden khatm nahin hoti ik phool men teraa roop basa ik phool men meri jawaani hai ik chehra teri nishaani hai ik chehra meri nishaani hai main har ik pal ka shayar hooñ har ik pal meri kahaanii hai har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai tujhko mujh...ko jeevan amrit ab in haathon se peena hai inki dhadkan men basna hai inki saanson men jeena hai tu apni adaayein baksh inhen main apni wafaayein deta hooñ jo apne li.e socheen thii kabhi vo saari duaayein deta hooñ main har ik pal ka shayar hooñ har ik pal meri kahaanii hai har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai

Sahir Ludhianvi

52 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's nazm.