nazmKuch Alfaaz

mujhse pahle mujhse pahle tujhe jis shaKHs ne chaaha usne shaayad ab bhi tira gham dil se laga rakkha ho ek be-naam sii ummeed pe ab bhi shaayad apne KHvaabon ke jazeeron ko saja rakkha ho maine maana ki vo begana-e-paiman-e-wafa kho chuka hai jo kisi aur kii raa'naai men shaayad ab laut ke aa.e na tiri mehfil men aur koii dukh na rul aa.e tujhe tanhaaii men maine maana ki shab-o-roz ke hangaamon men vaqt har gham ko bhula deta hai rafta rafta chahe ummeed kii shamaein hon ki yaadon ke charaaghh mustaqil bod bujha deta hai rafta rafta phir bhi maazi ka khayal aata hai gahe-gahe muddatein dard kii lau kam to nahin kar saktin zaKHm bhar jaayen magar daagh to rah jaata hai dooriyon se kabhi yaaden to nahin mar saktin ye bhi mumkin hai ki ik din vo pasheemaan ho kar tere paas aa.e zamaane se kinaara kar le tu ki maasoom bhi hai zood-faramosh bhi hai uski paimaan-shikni ko bhi gawara kar le aur main jisne tujhe apna maseeha samjha ek zaKHm aur bhi pahle kii tarah sah jaaun jis pe pahle bhi kaii ahad-e-wafaa toote hain isi do-raahe pe chup-chaap khada rah jaaun

Ahmad Faraz10 Likes

Related Nazm

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka

Jaun Elia

216 likes

mujh...ko itne se kaam pe rakh lo jab bhi seene men jhoolta locket ulta ho jaaye to main haathon se seedha karta rahoon us..ko jab bhi aweza uljhe baalon men muskuraa ke bas itna-sa kah do aah chubhta hai yah alag kar do jab gharaare men paanv fans jaaye ya dupatta kisi kiwaad se atke ik nazar dekh lo to kaafi hai please kah do to achha hai lekin muskuraane ki shart pakki hai muskuraahat muawza hai meraa mujh...ko itne se kaam pe rakh lo

Gulzar

68 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

More from Ahmad Faraz

Dosti ka haath

Ahmad Faraz

1 likes

"hitch-hiker" main ki do roz ka mehmaan tire shahar men tha ab chala hooñ to koi faisla kar bhi na sakaa zindagi ki ye ghadi tootaa pul ho jaise ki thehar bhi na sakoon aur guzar bhi na sakoon mehrbaan hain tiri aañkhen magar ai moonis-e-jaan in se har zakhm-e-tamanna to nahin bhar sakaa aisi be-naam masafat ho to manzil kaisi koi bastii ho basera hi nahin kar sakaa ek muddat hui laila-e-watan se bichhde ab bhi rishte hain magar zakham purane mire jab se sarsar mire gulshan men chali hai tab se barg-e-aawara ki maanind thikaane mire aaj is shahar kal us shahar ka rastaa lena haaye kya cheez ghareeb-ul-watani hoti hai ye safar itnaa musalsal hai ki thak haar ke bhi baith jaata hooñ jahaan chaanv ghani hoti hai tu bhi aisa hi dil-aaraam shajar hai jis ne mujh ko is dasht-e-qayaamat se bachaaye rakha ek aashufta-sar o aabla-pa ki khaatir kabhi zulfon kabhi palkon ko bichhaaye rakha dukh to har vaqt ta'aqub men raha karte hain yoon panahon men kahaan tak koi rah sakaa hai kab talak ret ki deewaar sambhaale koi vo thakan hai ki meraa jism bhi dhah sakaa hai ajnabi log naye log paraai galiyaan zindagi aise qaraein men kategi kaise teri chaahat bhi muqaddas teri qurbat bhi behisht des pradesh ki tafriq ghathegi kaise na-guzeer aaj hua jaise bichadna apna kal kisi roz mulaqaat bhi imkaan men hai main ye pairahan-e-jaan kaise badal sakaa hooñ ki tira haath mire dil ke garebaan men hai

Ahmad Faraz

4 likes

bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

Ahmad Faraz

111 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's nazm.