mere kaandhe pe baitha koi padhta rehta hai injil o quraan o ved makkhiyaan kaan men bhinbhinaati hain zakhmi hain kaan apni awaaz kaise sunoon raana hindu tha akbar musalmaan tha sanjay vo pehla insaan tha hastinapur men jis ne qibla-e-masiha television banaya aur ghar baithe ik andhe raja ko yuddh ka tamasha dikhaaya aadmi chaand par aaj utara to kya ye tarqqi nahin ab se pahle bahut pahle jab zarra toota na tha chashma jauhar ka foota na tha farsh se arsh tak ja chuka hai koi ye aur aisi bahut si jahaalat ki baatein mere kaandhe pe hoti hain kaandhe jhuke ja rahe hain qad mira raat din ghat raha hai sar kahii paanv se mil na jaa.e
Related Nazm
chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e
Amir Ameer
295 likes
ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka
Jaun Elia
216 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men
Muneer Niyazi
108 likes
tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai
Tehzeeb Hafi
180 likes
More from Kaifi Azmi
nuqoosh-e-hasrat mita ke uthna khushi ka parcham uda ke uthna mila ke sar baithna mubarak tarana-e-fath ga ke uthna ye guftugoo guftugoo nahin hai bigarne banne ka marhala hai dhadak raha hai fazaa ka seena ki zindagi ka muaamla hai khizaan rahe ya bahaar aa.e tumhaare haathon men faisla haina chain be-taab bijliyon ko na mutmain kaarwaan-e-shabnam kabhi shagoofoon ke garm tevar kabhi gulon ka mizaaj barham shagoofa o gul ke is tasaadum men gulsitaan ban gaya jahannam saja len sab apni apni jannat ab aise khaake banaa ke uthna khazana-e-rang-o-noor tareek rahguzaron men loot raha hai uroos-e-gul ka ghuroor-e-ismat siyahkaaron men loot raha hai tamaam sarmaaya-e-latafat zaleel khaaron men loot raha hai ghuti ghuti hain numoo ki saansen chhuti chhuti nabz-e-gulistaan hai hain gursana phool tishna gunche rukhon pe zardee labon pe jaañ hai aseer hain ham-safeer jab se khizaan chaman men ravaan-davaan hai is intishaar-e-chaman ki saugand baab-e-zindaa hila ke uthna hayaat-e-geeti ki aaj badli hui nigaahen hain inqilaabi ufuq se kirnen utar rahi hain bikherthi noor-e-kaamyaabi nayi sehar chahti hai KHvaabon ki bazm men izn-e-baaryaabi ye teergii ka hujoom kab tak ye yaas ka azdahaam kab tak nifaq o ghaflat ki aad le kar jiyega murda nizaam kab tak rahenge hin dii aseer kab tak rahega bharat ghulaam kab tak gale ka tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilimila ke uthna
Kaifi Azmi
0 likes
ai hama-rang hama-noor hama-soz-o-gudaaz bazm-e-mehtaab se aane ki zaroorat kya thii tu jahaan thii usii jannat men nikhrta tira roop is jahannam ko basaane ki zaroorat kya thii ye khud-o-khaal ye KHvaabon se tarasha hua jism aur dil jis pe khud-o-khaal ki narmi bhi nisaar khaar hi khaar sharaare hi sharaare hain yahaañ aur tham tham ke utha paanv bahaaron ki bahaar tishnagi zahar bhi pee jaati hai amrit ki tarah jaane kis jaam pe ruk jaa.e nigaah-e-maasoom doobte dekha hai jin aankhoñ men may-khaana bhi pyaas un aankhoñ ki bujhe ya na bujhe kya maaloom hain sabhi husn-parast ahl-e-nazar saahib-e-dil koi ghar men koi mehfil men sajaayega tujhe tu faqat jism nahin she'r bhi hai geet bhi hai kaun ashkon ki ghani chaanv men gaayega tujhe tujh se ik dard ka rishta bhi hai bas pyaar nahin apne aanchal pe mujhe ashk baha lene de tu jahaan jaati hai ja rokne vaala main kaun apne raaste men magar shama' jala lene de
Kaifi Azmi
0 likes
main ye soch kar us ke dar se utha tha ki vo rok legi manaa legi mujh ko hawaon men lehraata aata tha daaman ki daaman pakad kar bitha legi mujh ko qadam aise andaaz se uth rahe the ki awaaz de kar bula legi mujh ko magar us ne roka na mujh ko manaayana daaman hi pakda na mujh ko bithaayana awaaz hi dii na mujh ko bulaayaa main aahista aahista badhta hi aaya yahaañ tak ki us se juda ho gaya main
Kaifi Azmi
5 likes
ye barsaat ye mausam-e-shaadmaani khas-o-khaar par phat padi hai jawaani bhadakta hai rah rah ke soz-e-mohabbat jhamaajham barsta hai pur-shor paani fazaa jhoomti hai ghatta jhoomti hai darakhton ko zau barq ki choomti hai thirakte hue abr ka jazb tauba ki daaman uthaaye zameen ghoomti hai karkati hai bijli chamakti hain boonden lapkata hai kaunda damkati hain boonden rag-e-jaan pe rah rah ke lagti hain choten chhama-chham khala men khanakti hain boonden falak ga raha hai zameen ga rahi hai kaleje men har lay chubhi ja rahi hai mujhe pa ke is mast shab men akela ye rangeen ghatta teer barsa rahi hai chamakta hai bujhta hai tharraa raha hai bhatkne ki jugnoo saza pa raha hai abhii zehan men tha ye raushan takhayyul fazaa men jo udta chala ja raha hai lachak kar sambhalte hain jab abr-paare barsate hain daaman se dum-daar taare machalti hai rah rah ke baalon men bijli gulaabi hue ja rahe hain kinaare fazaa jhoom kar rang barsa rahi hai har ik saans shola banii ja rahi hai k abhii is tarah yaad aati nahin thii vo jis tarah is vaqt yaad aa rahi hai bhala lutf kya manzar-e-pur-asar de ki ashkon ne aankhoñ pe dale hain parde kahii aur ja kar baras mast baadal KHuda teraa daaman jawaahir se bhar de
Kaifi Azmi
0 likes
aziz maa mirii hansmukh mirii bahadur maa tamaam jauhar-e-fitrat jaga diye tu ne mohabbat apne chaman se gulon se khaaron se mohabbaton ke khazaane luta diye tu ne banaa banaa ke mitaaye ga.e naqoosh-e-amal tire baghair mukammal na ho saki tasveer vo KHvaab jhaansi ki raani ko jis ne chaunkaaya tira jihad-e-musalsal usii ki hai ta'beer use hayaat ka sola singaar kahte hain tiri jabeen pe hain kuchh silvatein bhi teeka bhi nazar men jazb-e-yaqeen dil men soz-e-aazaa dii dahakta phool bhi hai tu mahakta shola bhi zaraa zameen ko mehwar pe ghoom lene de samaaj tujh se tira soz-o-saaz maangegi jamaal seekhega khud-e'timadiyaan tujh se hayaat-e-nau tire dil ka gudaaz maangegi
Kaifi Azmi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaifi Azmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaifi Azmi's nazm.







