garmi ka jo mausam aaya jalne lagii pedon ki chaaya sookh gaii thii daali daali aur patton se bhi thii khaali nange ped pe baitha kawwa haap raha tha jo pyaasa tha paani ko vo dhoondhta niklaa ghar ke ik chhajje par baitha har soo kaal tha paani ka jo gaav men bhi tha sookha pyaaro aangan men thii ek suraahius men tha thoda sa paani kawwa suraahi tak ja pahuncha lekin paani tah men hi tha chonch ko apni andar daala paani tak vo pahunch na paaya ho gaya dekh ke ye KHush kawwa baazu dher tha kankariyon ka laaya ik ik ko ye chun kar daalta jaata tha yuñ kankarus men dale itne kankar paani ubhar kar aaya u uupar phir kawwe ne pyaas bujhaaius ki jaan men jaan ab aayi ud gaya furtee se ab kawwa chunne laga phir daana dunka aql ka kholo tum darwaaza hal mushkil ka KHud niklega
Related Nazm
yaar yaar tha main tumhaara ya mahaj koi seedhi manzil tak pahoonch ga.e peeche dekha tak nahin jo seekh kisi ne nahin vo seekh pedon ne dii chhaaon lete rahe magar tumhaari aari ruki nahin bachpan men khela karte saath ham saanp seedhi utara ye zindagi men kab bhank tak lagii nahin sapne bhi saath bune the bahut umeedein bhi thii kaii baadlon ki sair par nikal ga.e tum par main nahin agar rukhsat ki hoti khabar zaraa si bhi tab maa se do roti zyaada banwaata nahin arpit maine ghoom phir kar yahii baat hai maani kaii milenge inke jaise ye zalim akelaa nahin
Arpit Sharma
13 likes
hallucination main apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar par nazrein jamaaye manaazir ke ajoobe dekhta hooñ usii deewaar men koi khala hai mujhe jo ghaar jaisa lag raha hai vahaañ makdi ne jaal bun liya hai aur ab apne hi jaal men fansi hai wahin par ek murda chipkili hai kaii sadiyon se jo saakit padi hai ab us par kaai jamti ja rahi hai aur us men ek jungle dik raha hai darakhton se parinde gir rahe hain kulhaadi shaakh par latki hui hai lakadhaare pe geedad hañs rahe musalsal tez baarish ho rahi hai kisi patte se gir kar ek qatra achaanak ek samundar ban gaya hai samundar naav se ladne laga hai machhera machliyon men ghir gaya hai aur ab patwaar seene se laga kar vo neele aasmaañ ko dekhta hai jo yak-dam zard padta ja raha hai vo kaise ret banta ja raha hai mujhe ab sirf sehra dik raha hai aur us men dhoom ki chadar bichi hai magar vo ek jagah se phat rahi hai vahaañ par ek saaya naachta hai jahaan bhi pair dharta hai vahaañ par sunhare phool khilte ja rahe hai ye sehra baagh banta ja raha hai aur us men titliyan dikhti hain paron men jin ke neeli raushni hai vo har pal tez hoti ja rahi hai so meri aankh men chubhne lagii hai so main ne haath aankhoñ par rakhe hain aur ab ungli hata kar dekhta hooñ ki apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar ke aage khada hooñ
Ammar Iqbal
13 likes
KHuda ab mujhe chain milta nahin hai na aaraam ab mujh...ko ik pal bhi yaaron mujhe yaad aaya tha vo kal bhi yaaron vo yaaron mere saath kyun kar gaya ye koii to davaa ho jo aaraam de de main daftar ke pahiye men pisne laga hooñ hain haathon men patthar main KHud aaina hooñ vo taaron se aage main dharti ke andar banaa hai vo paagal jo kal tha sikandar vo kal tha jahaan par vo ab bhi wahin hai KHuda ab mujhe chain milta nahin hai main barson se dar dar bhatkata raha hooñ main bechain bhi hooñ main be-aasra hooñ naye zaKHm phir se hai laayi mohabbat ki jab se hui hai paraayi mohabbat mohabbat ka mujh...ko sila ye mila hai deewano ka ab saath men qaafila hai sukoon dhundhte dhundhte thak gaya hooñ main duniya se aage falak tak gaya hooñ ye dil hai kahiin aur dhadkan kahiin hai KHuda ab mujhe chain milta nahin hai
Amaan Pathan
7 likes
Ab ki paas aaye ho khushboo ke saaye
Rakesh Mahadiuree
15 likes
tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se
Zubair Ali Tabish
117 likes
More from Amjad Husain Hafiz Karnataki
hai kathin baccho ye jeevan ka safar hai nihaayat pur-khatr ik ik dagar raahbar ke bhes men hain raahzan is safar ki hain fazaayein pur-fitn aandhiyaan gham ki uthengi har qadam rakhna apne hauslon ka tum bharam gham ko saanche men khushi ke dhaalna har bala ko muskuraa kar taalna kaarwaan ko bhi paraaya maaniye is safar men KHud ko tanhaa jaaniye thak ga.e hon to zaraa sustaaiye manzilon ki samt phir badh jaaie chahiye tum ko khu dii ki raushni hai musalsal ik safar ye zindagi rahiye duniya men musaafir ki tarah dekhiye duniya ko naazir ki tarah tum musaafir hi agar duniya men ho qadr baccho vaqt ki karte raho hote hain baccho safar men tajarbe log milte hain musaafir ko naye ik wasila hai safar tafreeh ka goonjti hai har taraf us ki sadaa ma'aloomaat afzaa na ho kyun kar safar ho musaafir ki magar gahri nazar hai musaafir-khaana ye duniya suno ham musaafir hain sabhi ai dosto qaul tum apne buzurgon ka suno is ke aamil ai mire baccho bano subh jal dii se safar par chal paro shab se pahle ghar ko tum laut aaiyo halka kuchh saamaan safar men chahiye deed ka armaan safar men chahiye zindagi men hai safar ka apna rol badhta hai logon se baccho mel-jol in dinon apna safar aasaan hai aur tayyaaron pe apna dhyaan hai tez hai apni uraano ka asar minaton men melon ka tay hogaa safar har musaafir ko safar se pyaar hai azm kaamil ho to beda paar hai rehta hai haafiz safar men roz-o-shab vo safar ka karta hai dil se adab
Amjad Husain Hafiz Karnataki
0 likes
ahmad babloo baabu salma ek jamaat ke ye bacche akhlaaqi ghante men dekho jama hue hain ik ik kar ke nazm-o-zabt jamaat men tha uf nahin karta tha koi bachcha ye jo kahaanii ka tha ghanta sab ko shauq kahaanii ka tha dekho class men ustaad aa.e uth ke khade hue saare bacche sab ne kiya salaam ab un ko bacche the sab man ke achchhe ham awaaz tha har ik bachcha ham hain kahaanii ke sab shaida sab ne mil kar kiya taqaza ham ko sunaaiye achha qissa sun kar bacchon se ye baatein ho ga.e KHush ustaad isee dam munnu chunnoo mannū KHush the qaabil-e-deed hai shauq ka aalam teacher ne jo chhe dii kahaanii bacche hama-tan gosh hue sab khaamoshi thii har chehre par sab se kaha ye teacher ne ab ek pahaa dii ke daaman men qaryaa ik shaadaab tha baccho gaav men ik charvaha bhi tha haan vo bahut naadaan tha pyaaro roz pahaa dii par vo jaata bakriyaan apni KHud hi charaata din bhar haanktaa vo gale ko shaam dhale ghar waapas aata ik din us ko soojhi sharaarat rah rah kar us ne chillaaya logon aao mujh ko bachao she'r ne bola hai ab dhaava latthe bhaale barchiyaan le kar bhaage aa.e log barabar paaya salaamat charvahe ko kehne laga charvaha hañs kar she'r yahaañ aaya nahin koi yuñ hi sharaarat main ne ki thii shukriya aap yahaañ sab aa.e aap ki hamdar dii hai sacchi main ne sab ko yuñ hi parkha imtihaan aap ki chaahat ka tha KHush hooñ aap ki hamdar dii par main ne pyaar sabhon ka paaya tha ye kartab charvahe kaus ne ullu sab ko banaya maayusi ke saath vo laute jhoota charvahe ko paaya izzat charvahe ne ganwaai ab ke munh ki us ne khaai charvahe ki nadaani par dii qarye waalon ne dahaai hariyaali ka mausam aaya ghalle ne bhi chaara paaya tha masroor bahut charvahaus ne khushi ka naghma gaayaus ne ab manzar ye dekha she'r hai ghalle men aa dhamka ghabra kar phir vo chillaaya dekho she'r ne kar diya hamla gaav men cheekhen suni logon ne ek mazaak use sab samjhe aaya na koi us ki madad ko pad ga.e jaan ke laale dekho she'r ka ban gaya baccho nivaala charvahe ka saara gilaa phir charvahe par hua jo hamla khaatma ho gaya charvahe ka shab ka hua gahra sannaata charvaha ab ghar nahin aayaus ki maa bahnen theen pareshaan badh gaya un par khauf ka saaya doosre din ka suraj niklaa gaav men charvahe ka tha charcha sab ne pahaa dii par ja dekha gham tha pata ab charvahe ka qissa khatm hua ye baccho tum ho kyun gamgeen ye bolo charvahe ki fikr ko chhodo charvahe se sabq ye seekho jhooth se jaan gaii thii us ki baat hamesha kehna sacchi maano jhooth bala hai bacchous se hamesha bach kar rahiyo jhooth se jaan bhi ja sakti hai jhooth to ik andhi shakti hai jhooth gunaah hai jaano baccho dozakh milti hai jhooton ko pyaaro chhodo sharaarat saari chhodo sachchaai ko bas apnao
Amjad Husain Hafiz Karnataki
0 likes
nazm kya hai shaayri ki do simfen hain nazm-o-ghazal urdu men in ki shohrat hai baccho atal nazm paaband hai nazm azaad bhi ye kabhi nasr hai aur mu'arra kabhi nazm-e-paaband men vazn hogaa myaan aur azaad men bhi hai is ka nishaan nazm-e-paaband ka tarz hai jo lateef is men paoge tum qaafiya-o-radif nasri nazmon men bas nasr hi nasr hai vazn aur qaafiya hai na hi bahar hai vazn aur qaafiye jin ko mushkil hue nasri naz men umooman vo kahte lage vazn nazm-e-mu'arra men hai dosto is ko tum be-radeef-o-qafaai kaho masnavi ho qaseeda ho ya rakh nazm ka milta hai baccho ham ko pata nazm men silsila hai khayaalaat ka ek dariyaa sa hai dekho jazbaat ka vo mukhammas ho ya ho musaddas koi ye bhi ik shakl hai nazm-e-paaband ki vo ghazal ho ki ho nazm baccho suno dono yaksaan hain shohrat men bas jaan lo josh ki naz men mashhoor hain har jagah hain ghazal ke jigar Vaaqaii baadshah nazm men jo kahaanii kahii jaayegi shauq se ai miyaan vo sooni jaayegi naz men seemaab-o-iqbaal ne bhi likheen jo nihaayat hi mashhoor saabit hui karta hooñ bacchon ke vaaste main dua naz men bacchon ki likhta hooñ haafiz sadaa
Amjad Husain Hafiz Karnataki
13 likes
gaav men she'r ka ik shikaari bhi tha khaata tha dasht ki vo hamesha hawa she'r ko us ne qabze men ik din kiya shaam hoti gaii badh gaya dhundlaka bakariyon ko bhi vo paalta tha sadaa ghaas bhi dasht se saath vo laata tha ghaas aur bakri bhi us ke hamraah the she'r ke saath dekho ye dono chale raah men un ki pul ek haa'il hua dhundlaka gahra hone laga shaam ka pul ke rakhwaale ne us ko roka kaha paar tum pul ko kar sakte ho barmala sirf ik cheez ko saath le jaaoge apni manzil ko phir dekh lo paoge tum jo chaaho to waapas bhi aa sakte ho ek shay saath apne bhi la sakte ho soch men pad gaya ab shikaari bahut shart thii Vaaqaii aaj bhari bahut ghaas ko saath le jaana mushkil hi tha kyun ki KHud she'r bakri ko kha jaayega haan agar she'r ko saath le jaaunga bakri chaara banaa daalegi ghaas ka kashmakash men shikaari abhii pad gaya kaise hal hogaa hai ye badaa mas'ala ab use kuchh samajh men to aaya nahin sochte sochte jhuk gaii thii jabeen ek tarkeeb aaKHir ko soojhi use pul se guzra vo ab baccho bakri li.e paar bakri ne ai baccho pul jo kiya ghaas ko she'r bas soongh kar rah gaya aaya waapas palat kar shikaari abhius ki aankhoñ men baccho chamak jaag u thii is taraf she'r aur us taraf bakri thii ghaas le jaane ki baari ab aa gaii ghaas ka gattha saath apne vo le gaya she'r bas munh shikaari ka takta raha ghaas ko bakri ke paas us ne rakha aur bakri ko KHud us ne waapas liya is taraf ghaas ka sirf gatha raha kyun ki khatra milan she'r o bakri ka tha is li.e she'r ko saath le kar chala she'r ko ghaas ke paas chhodaa gaya sochie ghaas ko she'r khayega kya ghaas ko she'r bas soongh kar rah gaya ab shikaari chala bakri laane ko saath ab ke bakri ki rassi pe tha us ka haath ab vo bakri ke hamraah aa hi gaya she'r dil men hi KHud ghurraata raha ek jaanib thii bakri to ik samt she'r ki nahin ab shikaari ne jaane men der ghaas ka gatha sar par shikaari ke tha gaav ka apne ab us ne rastaa liya yuñ shikaari ne gut thii ko suljhaa liya un ke jaane ka bhi mas'ala hal hua
Amjad Husain Hafiz Karnataki
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Amjad Husain Hafiz Karnataki.
Similar Moods
More moods that pair well with Amjad Husain Hafiz Karnataki's nazm.







