nazmKuch Alfaaz

suno main ghar waapas aa raha hooñ achha tumhein ek khabar suna raha hooñ suno main ghar waapas aa raha hooñ poore nau dinon kii chuttiyaan mili hain magar chuttiyaan to mahaj ek bahaana hai asl men to tumse milnaa chahta hooñ tumhein roo-b-roo dekhna chahta hooñ ik dafa phir baahon men bharna chahta hooñ asl men main thoda-sa thak gaya hooñ tumhaari god men kuchh der sona chahta hooñ safar kii dhoop men bahut jal chuka hooñ zaraa zulfon kii panaah men rahna chahta hooñ anjaan raahon pe badaa bhatak liya hooñ tumhaare dil ke makaan men theharna chahta hooñ bas nau hi din mile hain mujhe mariyam har pal tumhaare saath guzaarna chahta hooñ aur chahta hooñ ki meraa intizaar karna theek vaise hi un haseen shaamon kii tarah usii safed salwaar aur kurtee men sanwarna aur gale men lehraata vahii surkh dupatta apni chhat kii munder par tum khadi rahna guzarunga jab main gali se tumhaari to rokna na KHud ko tum muskuraane se magar is baar fer loonga nazarein main tumse tum bhi rok lena KHud ko qadam badhaane se hai qasam ham dono ko us rishte kii jiska vujood koii naam koii haisiyat nahin maine khat men u uupar likkha hai jo kuchh bhi un baaton kii mariyam ab koii ahmiyat nahin socho phir tumhein vo baatein kyun bataa raha hooñ suno main ghar waapas aa raha hooñ

Rehaan4 Likes

Related Nazm

uski khushiyaan saari jheelein sookh gaii hain uski aañkhen sookh gaii hain pedon par panchi bhi chup hain us..ko koi dukh hai shaayad raaste soone soone hain sab usne tahlna chhod diya hai saari ghazlein bemaani hain usne padhna chhod diya hai vo bhi hansna bhool chuki hai gulon ne khilna chhod diya hai saawan ka mausam jaarii hai yaanii uskaa gham jaarii hai baaki mausam taal diye hain sukh kuein men daal diye hain chaand ko chhutti de dii gaii hai taaron ko madhham rakha hai aatish-daan men fenk dii khushiyaan dil men bas ik gham rakha hai khaana peena chhod diya hai sabse rishta tod diya hai haaye qayamat aane ko hai usne jeena chhod diya hai har dil KHush har chehra KHush ho vo ho KHush to duniya KHush ho vo achchhii to sab achha hai aur duniya men kya rakha hai ye sab sunkar KHuda ne bola bol teri ab KHvaahish kya hai maine bola meri KHvaahish meri KHvaahish uski khushiyaan KHuda ne bola teri KHvaahish main phir bola uski khushiyaan iske alaava pooch raha hooñ maine bola uski khushiyaan apne li.e kuchh maang le pagle maang liya na uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan

Varun Anand

30 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

kyuuñ hai tum nahin ho yahaañ par phir bhi tumhaare hone ka ehsaas kyuuñ hai kuchh hai nahin mere haath men phir bhi kuchh hone ki ye aas kyuuñ hai badi hairaani hai mujhe ki vo door hokar bhi itnaa paas kyuuñ hai sabne kaha ki vo to paraaya hai vo paraaya hokar bhi itnaa khaas kyuuñ hai j itnaa vo door hai mujhse vo utna hi mujh...ko raas kyuuñ hai baitha hooñ bilkul ekaant men main phir bhi kaanon men uski aawaaz kyuuñ hai khul ke nahin kahti vo kuchh bhi uski aankhoñ men itne raaz kyuuñ hain basi hai dil men vo mere ye meraa dil uskaa aavaas kyuuñ hai us..ko nahin bhula saka main ye uske naam ki har shvaas kyuuñ hai poori kaaynaat uski yaad dilaati hai ye tan-man men uskaa vaas kyuuñ hai vo meri hui nahin hai abhii us..ko khone ke dar se man itnaa badhavaas kyuuñ hai dooriyaan likhi hain jaise darmiyaan meraa naseeb mujhse itnaa naaraaz kyuuñ hai aise shabd kahaan se laaun ki vo samjhe jo gar na samjha paa.e to phir aise alfaaz kyuuñ hain rah to raha hooñ apne nivaas men uske bin lagta ye vanvaas kyuuñ hai gar mil bhi jaa.e sampatti saari duniya ki magar vo saath nahin to phir ye bhogvilaas kyuuñ hai sote hi uske khwaabon men aur jaagte hi uske khyaalon men kaise bhi uskaa ho jaane ki itni pyaas kyuuñ hai jaltee hain ye nazren ab meri in nainon ko har waqt teri talash kyuuñ hai haalaat kah rahe hain ki ye mumkin nahin phir bhi tum pukaarogi ek din mujhe itnaa vishwas kyuuñ hai ab bhi nahin samjhi kyuuñ hai tumhaari bahut yaad aati hai tum bin raha nahin jaata bas baat kuchh yoon hai tumse bepanaah mohabbat thii hai aur rahegi ye satya jyon ka tyon hai kyuuñ hai

Divya 'Kumar Sahab'

37 likes

More from Rehaan

bas phir se sadak par daud chali hai bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar ko aa raha hooñ main kam ho rahi har ek meel kii doori pe apne dil kii dhadkanein badha raha hooñ main din guzra hai aaj phir waisa hi thakaan bhara par KHud ko abhii bahut amlaan pa raha haan main chaaya hai aakaash men andhera ghana amaavas ka khayaalon men tere roop-sa chaand basaa raha hooñ main maankar saakshi peechhe chhootte har ek gaav ko ateet kii s abhii ranjishon se kasak mita raha hooñ main raat kuchh kat chuki hai kuchh dhalni ab bhi baaki hai savera jald hone kii ummeed laga raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar ko aa raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar se khaali haath ja raha hooñ main badh rahi har ek meel kii doori pe tere ki.e vo s abhii vaayde bhula raha hooñ main raat tere KHvaabon se neend mukammal shaadaab hui jaane phir kyun KHud ko itnaa klaant pa raha hooñ main maaloom hai chaand ko ab mohabbat nahin chakor se phir bhi baadlon ko hi doshi thehra raha hooñ main koshishon men koii kamii shaayad mujhse hi rah gaii hogii tujhse naaraz is dil ko har baar yahii samjha raha hooñ main chubhne lage hain ab ye fuzool ke ujaale aankhoñ men andhera jald hone kii ardaas laga raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar se khaali haath ja raha hooñ main

Rehaan

1 likes

aisa kyun hota hai aisa kyun hota hai jaata hai koii to laut ke phir na vo aata dobaara aisa kyun hota hai chanda ke jaane se lagta falak ye soona saara duniya ye pyaar kii dushman isse na paar paata hai dil aisa kyun hota hai maula apnon se haar jaata hai dil aisa kyun hota hai dil jo bichhadte hain din na guzarte hain shaamen na kattee hain raatein na chhatti hain lagta nahin kahiin dil ye bechaara aisa kyun hota hai rahtii hain aañkhen nam ho nahin paata hai guzaara vaade ki.e the usne jo vaade the uske saare jhoothe jitna use tha kal chaaha KHud se hain aaj utne roothe aisa kyun hota hai bhoolna chaahoon to dil ko manaauun to dil na samajhta hai mujhse ulajhta hai karta hai uspe hi bas ye ishaara aisa kyun hota hai jab bhi yuñ hota hai dil ye ho jaata be-sahaara

Rehaan

1 likes

do jaanib ek main hooñ ek tu hai dono bade naadaan hain tu mujhse aur main KHud se dono hi anjaan hain teri galiyaan swarg hain jaise meraa shahar shamshaan hai main shama' kab se bujha hua tujh par patange qurbaan hain khushiyaan tere qadam choomtiin gham mere mehmaan hain tujh par KHuda fida hai mujhse gharwaale tak pareshaan hain mujhe ki bas ik KHvaahish teri tujhe ki saikron armaan hain meri qismat men tu hi nahin tujh par qismat mehrbaan hai main tere li.e kuchh bhi nahin tu mere li.e bhagwaan hai tere dil men bhale rehaan na ho teri zindagi phir bhi rehaan hai

Rehaan

2 likes

Afsos 2

Rehaan

0 likes

aashiqi(khawaab haqeeqat aur KHuda koii soorat nazar ko lubha jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii KHushboo saanson ko bha jaa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi sargam labon pe chhaa jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii KHvaab dil men samaa jaa.e to usii ka naam aashiqi hai meraa KHvaab tha ki tujhe bhaaya karoon tere sapnon men main aaya karoon bachakar chaand-sitaaron kii nazar se tujhe falak kii sair pe le jaaya karoon is qadar tu mujhse pyaar kare mere fareb pe bhi aitbaar kare kabhi radha banke to kabhi meera banke har janam bas meraa hi intzaar kare tu mushkilon men meraa saaya bane mujhe dhoop lage to chaaya bane jab haar jaaun main ummeedein sabhi tu eeshwar kii koii maaya bane koii maaya eeshwar bhi piro na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii dil ghar chain se so na paa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi aañkhen khul ke ro na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii KHvaab haqeeqat ho na paa.e to usii ka naam aashiqi hai ik haqeeqat jisne bas sitam kiya har baar aankhoñ ko nam kiya tujhe kitna maine chaaha magar tune na mujhpar koii karam kiya tere intzaar men sadiyaan beetii meri har khushi zindagi se roothi meri ummeedein sab simat kar rah gaii bas tamannaaen kuchh yuñ tooti meri adhoora khwahish-e-gulaab rah gaya meraa KHvaab bas ik KHvaab rah gayana ho sakaa vo mukammal kabhi bin chakor ke hi mehtaab rah gaya koii chaand chakor bin rah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii kaafir naz men kah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi aankh se paani bah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii bin bole sab sah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii kitna sahe ye bataa de KHuda meraa ishq mujhe ab lautaa de KHuda chhat jaa.e andhera har khushi se meri koii aisi raushni tu dikha de KHuda meri mannaton ka tu lihaaz kar mere paagalpan ka ilaaj kar main karta phiroon shukriya teraa kuchh aisa meraa mizaaj kar mujhe fir koii gham na sata sake vo mujhse nazarein na hata sake jud jaa.e dhadkanein kuchh is tarahus dil se na kabhi koii mita sake koii dhadkan dil se bichhad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii galatiyon pe bhi jhagad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi KHuda bhi zid pe ad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii rishta yugon tak ujad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai

Rehaan

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rehaan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rehaan's nazm.