nazmKuch Alfaaz

talaash-e-haq talaash-e-haq hai gar tujhko nazar ko teeron ke rukh par laga de tu hadaf ko dekh duniya ke use pahchaan us ki justajoo men raat-din lag ja tujhe haq bhi milega us talak jaane ka rastaa bhi magar vo raasta chun le to phir to zakham khaane ko jigar bhi saath le aanaa sitam par muskuraane ka hunar bhi saath le aanaa yahii hai intiha us ki yahii anjaam hota hai ki is raaste pe chalne ka yahii inaam hota hai magar is raaste par zakham khaane ka maza kuchh aur hai sun le yahaañ par jaañ dene ki jazaa kuchh aur hai sun le agar tu azm kar le bas zara sa hausla kar le to phir kal kya pata jab phir koi haq ka ho joinda nishaan raaste lahu ke tere koi naqsh-e-pa kar le ki ye duniya to faani hai ye jaañ to yuñ bhi jaani hai talaash-e-haq hai gar tujhko nazar ko teeron ke rukh par laga de tu

Related Nazm

hallucination main apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar par nazrein jamaaye manaazir ke ajoobe dekhta hooñ usii deewaar men koi khala hai mujhe jo ghaar jaisa lag raha hai vahaañ makdi ne jaal bun liya hai aur ab apne hi jaal men fansi hai wahin par ek murda chipkili hai kaii sadiyon se jo saakit padi hai ab us par kaai jamti ja rahi hai aur us men ek jungle dik raha hai darakhton se parinde gir rahe hain kulhaadi shaakh par latki hui hai lakadhaare pe geedad hañs rahe musalsal tez baarish ho rahi hai kisi patte se gir kar ek qatra achaanak ek samundar ban gaya hai samundar naav se ladne laga hai machhera machliyon men ghir gaya hai aur ab patwaar seene se laga kar vo neele aasmaañ ko dekhta hai jo yak-dam zard padta ja raha hai vo kaise ret banta ja raha hai mujhe ab sirf sehra dik raha hai aur us men dhoom ki chadar bichi hai magar vo ek jagah se phat rahi hai vahaañ par ek saaya naachta hai jahaan bhi pair dharta hai vahaañ par sunhare phool khilte ja rahe hai ye sehra baagh banta ja raha hai aur us men titliyan dikhti hain paron men jin ke neeli raushni hai vo har pal tez hoti ja rahi hai so meri aankh men chubhne lagii hai so main ne haath aankhoñ par rakhe hain aur ab ungli hata kar dekhta hooñ ki apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar ke aage khada hooñ

Ammar Iqbal

13 likes

hausla hausla rakh raaste dikhne lagenge yah andhere subh tak chhatne lagenge qafile par qafile guzre yahaañ se dekhna kuchh naqsh-e-paa aage milenge lad-khadaate hauslon ko phir utha kar subh hote hi safar par chal padenge thokron se kah do ke dam-kham laga den ham girengे phir uthenge par chalenge

MAHESH CHAUHAN NARNAULI

15 likes

baatein main aur meri qalam akshar baat karte hain ye chaand suraj kya lagte hain ye dono uski aañkhen hain to phir ye taare kya hain sab taare uski baali hain to baadal kya lagte hain phir ye baadal uski zulfen hain to indradhanush kya lagta hai ye indradhanush hai nath uski ye mausam kya lagte hain phir sab mausam uske nakhray hain to phir hawa kya lagti hai hawa to uskaa aanchal hai ye nadiyaan to phir rah gayeen ye nadiyaan uskaa kangan hain to phir samandar kya hua ye samandar paayal hai uski phir prakriti kya lagti hai ye prakriti uski saadi hai ye poori dharti rah gaii ye dharti uski god hai in sab men phir tum kya ho mujh...ko uskaa dil samajh lo tumhaara dil phir kya hua uske dil men phool samajh lo uske dil men ugta hai uske dil men khilta hai us men hi phir milta hai roz subah se raat tak dekhne mujh...ko aata hai saath vo har pal chaltaa hai kangan paayal khanakata hai chhatk kar apni zulfen vo jal mujh par barsaata hai nath pehanta hai vo KHud kaajal vo mujhe lagata hai god men rakh kar sir meraa aanchal se laad ladaata hai baat nahin karta hai vo par roz milne aata hai uskaa meraa jo bhi hai bahut puraana naata hai paas vo harpal rehta hai par yaad bahut vo aata hai bas yaad bahut vo aata hai main aur meri qalam akshar ye baat karte hain

Divya 'Kumar Sahab'

27 likes

saudaai ajab dil haina jeeta hai na marta haina seene men theharta haina baahar hi nikalta hai ajab jaañ hai tarasti hai ki tu aa.e jhijhakti hai ki tu aa.e to na-maaloom kya hogaa pareshaan hai ki duniya kya kahegi pashemaan hai ki apne ba-hami rishte men vo dam hai na vo KHam hai magar phir bhi bilkhati hai ki tanhaaii ne aisa maar rakkha haina tu aayi to miraa kya banega ajab tu haina apnon men na ghairon meinna gham-andoz khilwat men na jaan-afroz jalvat men mujhe dar hai ki tujhse mel hogaa to kahaan hogaa kisi sar-sabz waa dii men ke is veeraan kutiya men isi duniya men ya phir sarhadon ke paar uqba men ajab main hooñ mufakkir bhi muhqqiq bhi musannif bhi magar afsos 'aashiq bhi gaya-guzra sa shaair bhi baid-az-aql bhi aur rasm-e-duniya se bhi be-gaana jo anjaane men tujhse dher saara pyaar kar baitha b-har-soorat agar kuchh waqiya hai to faqat ye hai miraa dil tujh pe shaida hai mirii jaañ tujh pe waari hai magar phir bhi ye hasrat hai ki koii marham-e-dil dil ko samjh aa.e koii girvida-e-jaan jaañ ko batl aa.e ki tu ik paikar-e-dilkash nahin hai ek naagan hai jo apnon hi ko dasne ke li.e betaab rahtii hai ye sab kuchh jaañ kar bhi main tire in gesuon ke pech-o-kham ka sir-fira qaai dii tadpata rehta hooñ main is li.e shaayad ke tu aa.e tu aa kar mujh...ko pahle kii tarah dobara das jaa.e

Dharmesh bashar

11 likes

bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum

Tahir Faraz

54 likes

More from Dharmesh bashar

tasveer-kashi jaañ ab tiri tasveer men jo aane lagii hai gul-posh haseen shaam ko bahkaane lagii hai tasveer tiri dil mira bahaalne lagii hai ujde hue gulzaar ko mehkaane lagii hai main baat jo karta tha to ho jaati thii naaraz ab aankh jhuka letii hai sharmane lagii hai jo mujh se lagaataar bachaati rahi nazarein ab mujh pe nazar daal ke muskaane lagii hai jo haath lagaane pe raha karti thii KHaamosh ab she'r sunaati hai ghazal gaane lagii hai main is kii adaaon pe raha mast hamesha ab ye mire ash'aar pe lehraane lagii hai jo pyaar ke lamhaat tire saath guzaare tasveer tiri baarha dohraane lagii hai kal tak jo banii rahtii thii deewaar kii zeenat ab dil ke har ik goshe ko garmaane lagii hai aankhoñ men mirii dekh ke tasveer KHud apni kya jaaniye kis baat pe itraane lagii hai seene ko dhake rakhta tha jo reshmi aanchal do chaar dinon se use sarkaane lagii hai ik roz ise yuñ hi kahiin chhed diya tha ye mujh ko usii roz se ukasaane lagii hai ab ispe bhi kuchh rang tira chadhne laga to bal kha ke mire saamne ithlaane lagii hai ghalti se jo hai dekh li tasveer koii aur murjha ke ab is tarah vo gham khaane lagii hai kal raat bashar hamne jo shaane ko hilaaya kehne lagii so jaao ki neend aane lagii hai

Dharmesh bashar

5 likes

gadaagar kal sadak par ik gadaagar daf'atan jo dik gaya chand sikke bheek dekar maine usse ye kaha bhai tum marzi ke apni maalik-o-mukhtaari ho ik guzarish hai magar jo sunne ko taiyaar ho daur-e-piri hai magar a'zaa to chalte hain abhii bheek men zillat hai dhoondho kaam dhanda tum koii haath phailaana kisi ke saamne achha nahin tumse saalim shaKHs par pesha ye kuchh janchta nahin ek thandi aah bhar kar muskuraya vo zaraa chand lamhe soch kar kuchh usne bola sahiba kis ko hai marzi pe apni is jahaan men ikhtiyaar maine kab chaaha tha ho paamaal yuñ miraa vaqaar main hunar rakhta tha saahib main bhi ik fankaar tha aur fan miraa funoos-e-khaas ka sardaar tha she'r kahtaa tha ghazab ke naam tha har soo miraa sunne waalon pe chala karta tha kya jaadu miraa shohrat-o-izzat bhi thii aur zar bhi tha haasil mujhe zindagi lagti thii misl-e-neemat-e-kaamil mujhe phir hua kuchh yuñ ki ye duniya masheeni ho gaii aur sher-o-naghma kii raftaar dheemi ho gaii ab nahin sajtein kahiin she'r-o-sukhan kii mahfilein ab kahaan vo log jo ghazlein sune naz men sune shaa'irii men ab kisi insaan ko dilchaspi kahaan ab to ye fan ho chuka hai ek bhooli dastaan meri mushkil hai ki maine aur kuchh seekha nahin umr ke is daur men vaise bhi kuchh hota nahin ya'ni mujh jaise to ab ke vaqt men bekar hain maangte hain bheek haan behad zaleel-o-khwaar hain

Dharmesh bashar

3 likes

aasmaani KHvaab ye bhi ik nematon men nemat hai aadmi KHvaab dekh saktaa hai yaanii duniya ke ranj se thak kar neend ke makhmali se bistar par apni duniya se meelon door kahiin nayi duniya farol saktaa hai haan magar KHvaab hain kaii saare KHvaab jhoote bhi KHvaab sacche bhi KHvaab badtar hain KHvaab achchhe bhi kuchh to hain KHvaab kacchi neendon ke kuchh hain gahraaiyon men doobe hue un men kuchh hain fuzool be-buniyaad aur kuchh qeemati hain heero se kuchh men ummeed saaf dikhti hai yaar kii deed saaf dikhti hai kuchh dhundlakon men doobe hain jaise kisi deerina ishq ke bil-aks loot jaane ka dars dete hain phir na aane ka dars dete hain main sunaata hooñ ik nishaani KHvaab KHvaab tha ek aasmaani KHvaab maine dekha ki mar gaya hooñ main aur phir se uthaya ja chuka hooñ ek maidaan hai adaalat ka main katihare men laaya ja chuka hooñ muztarib hooñ magar dara hua sa khauf se jism hai maraa hua sa saamne zindagi ka KHaaka hai isi asnaa men aasmaañ se kahiin ek aawaaz goonjti hai vahaañ ye fulaan hai na aur ibn-e-fulaan is se poochho kahaan se aaya hai kaun sii cheez saath laaya hai maine rote men gidgidhaate men itnaa sa kah diya ki mere rab tu nahin tha to maine duniya men tere bandon se bas muhabbat kii phir se aawaaz goonjti hai vahaañ meraa banda hai ye jo ibn-e-fulaan is se kah do ki us..ko bakhsh diya

Dharmesh bashar

5 likes

duhaai KHuda kare ki shab-e-wasl raas aa.e tujhe hamaari tarah gale se koii lag aa.e tujhe tiri nigaah se chhup kar tire hi kaanon men jo baat hamne kahii thii vahii sun aa.e tujhe mazaa to jab hai ki vo be-khu dii ke aalam men hamaare she'r parhe aur gudgud aa.e tujhe hamaare tarz-e-takallum kii chaashni le kar sama'aton ko tiri choo men aur lubh aa.e tujhe isi mizaaj se le kar shuoor-e-ishq kabhi hamaare saanche men dhal jaa.e aur rijh aa.e tujhe tu rooth jaa.e to uske dil-o-jigar kaapen rundhi zubaan se qasmen bhare manaae tujhe tu uski aankh men jhaanke to ham hi aayen nazar phir aise vaqt men kya kuchh na yaad aa.e tujhe magar jo zikr hamaara chhide to chup rahna jatan vo laakh kare par pakad na paa.e tujhe mile kabhi to bashar be-samajh ko samjhaana junoon-e-ishq bhula kar vo bhool jaa.e tujhe

Dharmesh bashar

9 likes

khilauna tum ko is dil se shikaayat thii ki bekar hai ye har haseena kii muhabbat ka giraftaar hai ye husn ke faiz ka har vaqt talab-gaar hai ye daudte firta hai par asl men beemaar hai ye hamko achchhii nazar aati nahin haalat iski jaao aur jald kara laao marammat iski sun ke ye hukm sar-e-shauq jhukaaya maine dil-e-beemaar tabeebon ko dikhaaya maine haal-e-na-saz b-tafseel sunaaya maine uske farmaanon ko seene se lagaaya maine bole is dil se tumhein haath na dhone denge ik jawaan-saal ko marhoom na hone denge dekhte dekhte takhte pe litaaya mujh...ko phir hadf apni jaraahat ka banaya mujh...ko aalam-e-khwaab men kya kya na sataaya mujh...ko hosh aa jaane pe mujda ye sunaaya mujh...ko aapke pahluu men ab ek dil-e-kaamil hai jiske ausaaf-e-hameeda ka bayaañ mushkil hai saaz kahiye to har ik taar hai umdaa iska aaina kahiye to har aks hai ujla iska hai khilauna to har ik khel anokha iska goya har rang zamaane se niraala iska khanda-peshaani se tum saath ise le jaao jin ko shikwa tha unhen khol ke dil dikhlaao jaan-e-man ye raha vo dil zaraa dekho isko koii shak ho to bade shauq se parkho isko hai nayi cheez naye dhang se jaancho isko jee ko bha jaa.e to phir pyaar se thaamo isko aapke haath se naagaah agar chhoot gaya ik khilauna hi to hai toot gaya toot gaya

Dharmesh bashar

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dharmesh bashar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dharmesh bashar's nazm.