nazmKuch Alfaaz

to likhta hooñ baahar aanaa chahe peed puraani jab zinda hoti tasveeron kii sun loon jab ik ehsaan ke neeche kuchle jaaun jab to likhta hooñ seedhe bol na paau uljhi baatein jab paine daanton ko chhata karna ho jab kaate se na kate furqat kii raatein jab to likhta hooñ gahri shab men sote hon jab yaar sabhi yaaden bharka den khwaabida preet kabhi dhadkan zer-e-lab gaati hain geet kabhi to likhta hooñ raah dikhaata taara chhipta jaa.e jab panchhi-ped bhi kuchh batlaate jaun jab saaya bisra sa gardish kar jaa.e jab to likhta hooñ rang-e-dil men surkhi phir se laani ho girvi dil ka koii hissa karna ho chaspaan dil men koii qissa karna ho to likhta hooñ khush-chehra muskaate jaa.e man men jab kuchh armaan jagaae taaza baatein jab beghar sii fikr jo laage is dil men jab to likhta hooñ apne se kab kuchh likhta hooñ jo hai so in baaton ka zor hai rah-rah kar likhna jaane kya hi milta hai likh kar shaayad samjhaata hooñ samajh leta hooñ KHud ko tab

Related Nazm

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men

Muneer Niyazi

108 likes

mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain

Tehzeeb Hafi

161 likes

More from kapil verma

aasmaani qarz ambar tum itne aalaa ho lekin tum bhi hamaare jaise be-had qarz men kyun jeete ho dharti se na milo hargiz tum par khaasi yaari rakhte ho uski behad daulat par kyun aankh gad aa.e tum rahte ho ab yah tum hi jaano kaise ye ifraat udhaari lekar tum bunte ho taare unse do-sh aalaa apna seete ho sunte aa.e hain bachpan se sadiyon se aisa karte ho achha vo sab theek hai lekin ambar bas itnaa batla do dharti ka ye qarz chukaane kii parwaah kabhi karte ho

kapil verma

0 likes

"Tadbeer" Aajkal zindagii mujhe kyun ye

kapil verma

0 likes

daastaan-e-ishq duniya ne taang dii hai tasveer-e-ishq khul kar taale sii jad rahegi dariyaa kinaare rul kar go fenk dii khala men sab chaabiyaan hain iski lekin misaal duniya hi degi shor-ghul kar

kapil verma

0 likes

tasalsul is anjaan safar men dar hai door bahut nikal aaya hooñ main door bhi itnaa maine hosh-o-hawas kii had tak paar kii hai jaate lamhon waali train men dekhooñ jab gum-sum se baithe KHud ko to daud laga kar khidki se hi dhaadhas kii ik chaai ke saath kaagaz par likh kar kuchh nazmen de aata hooñ akshar KHud ko vaise train kii is bogi men kuchh but jaise lagne waale log bhi baithe rahte hain insey jab poochho ki kahaan tak pahunchen hain to bhi kuchh na bataate hain ye bade ajeeb se hain ye sab log vo to chhodo gahe-gahe log ye jaane kyun ik dam se shakl tumhaari le lete hain ek ajab sii raah men hooñ main ab to samajhne kii koshish bhi chhod chuka hooñ itnaa sa hi samajh aata hai door bahut nikal aaya hooñ main door bhi itnaa zehan se gum yah ho jaata hai train bhala hai kaunsi aaKHir train khayalon waali hai yah badnaseebi kii hai ya lamhon kii KHair mujhe parwaah nahin hai jo bhi ho maine to bas itnaa hi j aanaa hai ik din sarpat dhuaan sa in saanson ka bharti hui yah train yakaayak ruk jaayegi jaise bematlab hi kisi ne iski chain ko kheench diya ho us din se pahle tum aanaa hawa ka jhonka sa bankar aur tab meri yah neend udaakar train tumhaare lamhon kii hai jo us men apne saath bitha lena darasl aisa hai mujh...ko is anjaan safar men dar hai door bahut nikal aaya hooñ main door bhi itnaa maine hosh-o-hawas kii had tak paar kii hai

kapil verma

0 likes

laazmi ahsaas khush-chehre hi apne nahin apnon ko bhi haseen maano dilkash sapnon ka saahil aankhoñ tak kaamil jaano udti titli hi sundar machalo na qaid karne ko yaar ka hi daaman thaamo jaanib-e-manzil chalne ko kya gham uskaa jab khoya vo jis..ko paaya hi nahin yuñ murjhao nahin jaise sar par koii saaya nahin tere rahbar vahii hain jo rishte aa.e viraasat men bas daulat ye saath li.e chal tu KHud kii hiraasat men zakhmi karta jaa.e jous se kyun marham kii aas jaan jo waara karta tha rakh us..ko sirhaane paas KHvaahish ke shole nam karne aankhoñ ko mat kar khaali teri jholi men ik din aziz gul dega maali

kapil verma

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on kapil verma.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with kapil verma's nazm.