nazmKuch Alfaaz

tum KHushi ho meri main bola tere lab par hain hañsi meri vo boli mat badhaao bechaini meri main bola shahzaa dii mol kya meraa vo boli shehzaada zindagi meri main bola teergii har-soo zyaada hain vo boli failaane do raushni meri main bola hizr men kaise jiyooge tum vo boli ruk jaayegi saans meri main bola khwaab kiske dekhte ho vo boli aankh dekho qabhi meri main bola k yuñ bechain rahten to tum vo boli kehar hai dil ki lagii meri main bola tum sukhan hi shahzaa dii ho vo boli tum shayari ho meri main bola zindagi par gham ke saa.e hain vo boli tum har KHushi ho meri

Related Nazm

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka

Jaun Elia

216 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

More from Muskan Singh

aurat ki zindagi kabhi kabhi dil ki baat bhi bataa nahin paate sabki sunne men apni hi suna nahin paate sajaakar rakhte hain jis ghar ki deewaron kous ghar men hi khulkar muskuraa nahin paate ajeeb zindagi hai aurat ki bhi maa baap ke ghar men apni jagah banaa nahin paate jis ghar ko chuna hai takdeer ne hamaare liyeus ghar men jaakar ghoonghat utha nahin paate ab kaun dekhta hai chehre pe gham hai ya khushi sabke saamne aañsu bhi ab baha nahin paate

Muskan Singh

4 likes

itni si izazat tere dard ko apna banaa luun itni si izazat do tere zakhmo par marham laga doon itni si izazat do tere khaabo ko aankhoñ men saza luun tere yaadon ko dil men basa luun itni si izazat do teri raaton ko apni raat banaa luun tujhe aakhri mulaqaat banaa luun itni si izazat do tujhe aankhoñ ka kaazal banaa luun tujhe ghunghroo waali paayal banaa luun itni si izazat do tujhe dhadkan ki taar banaa luun tujhe zindagi ka saar banaa luun itni si izazat do tujhe safar ka manzil banaa luun tujhe kandhe ka til banaa luun itni si izazat do tujhe hontho ka muskaan banaa luun tujhe apni pahchaan banaa luun itni si izazat do tujhe apni zindagi ka hissa banaa luun tujhe apni kitaab ka kissa banaa luun itni si izazat do

Muskan Singh

6 likes

online ki duniya ajnabi to ham bhi the lekin jamaane ke li.e use sirf apna samjha apna banaane ke li.e baat baat men rooth kar khafa ho jaata tha wa mujhse maine bahut koshish ki roothe yaar ko manaane ke li.e aur yahaañ samajhta koi nahin sacchi mohabbat ko dil kholkar rakh दिया,उसे haal-e-dil sunaane ke li.e phir bhi nahin samajh paaya vo mere dil men zazbaat ko maine bhi ab use chhod diya zamaane ki thokar khaane ke li.e mohabbat men thoda sa झुकना,thoda tootna zaroori hai lekin har baar nahin gir sakti sirf ek ko uthaane ke li.e bahut milenge raah men musafir safar abhii to shuroo hua bahut aayenge bahut jaayenge mujhe bhi aazmaane ke li.e k abhii bhi gir kar pyaar mat karna kisi se ai dosto yahaañ log bharosa bhi todte hai sirf havas mitaane ke li.e agar mohabbat sacchi ho to door tak paakizagi nazar aayegi varna fareb ishq karte hai log sirf waqt nikaalne ke li.e gar fas jaao k abhii aise janjaal men to phir qadam peeche kar lena aapki zindagi bachaane ke li.e bahut milte hai mehbbat karne waale log yahaañ online ki duniya men k abhii inki baaton men mat aanaa baad men pachtaane ke li.e

Muskan Singh

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Muskan Singh.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Muskan Singh's nazm.