nazmKuch Alfaaz

tum se be-panaah mohabbat mere noor-e-nazar aa bhi ja tu nazar kab sunaayega mujh...ko tu achchhii khabar teraa 'aashiq bechaara pareshaan hai tujh se naaraz hai aur hairaan hai qaasid-e-motabar le ja meri khabar teri nazaron se milti hain khaamoshiyaan dil men kyuuñ rakhta hai itni sargoshiyaan khol de ab zabaan ai mere hamsafar mere dil ki tamannaa yahiin hain sanam main rahoon saathiya ban ke saaton janam baat ho jaa.e sach tu jo kah de agar toot kar meraa dil ye bikhar jaayega tu na hogaa to daanish ye mar jaayega sookh jaayega ye zindagi ka shajar

Related Nazm

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

Ahmad Faraz

111 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar

Afkar Alvi

78 likes

More from Danish Balliavi

"ख़ूबसूरत अजनबी" मिला है सफ़र में मुझे एक चेहरा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत ख़ुदा ने बनाया है जो उसका मुखड़ा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत मुसलसल उसी को फ़क़त तक रहा हूँ उसी पर मैं इक नज़्म भी कह रहा हूँ वो रक्खी है जो अपने सर पर दुपट्टा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत बहुत क़ातिलाना है उसकी निगाहें बहुत जानलेवा है उसकी अदाएँ लगाई है जो उसने आँखों पे चश्मा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत उसे हूर कह के पुकारा है मैंने ज़रा गुफ़्तुगू करके देखा है मैंने उसे बात करने का जो है तरीक़ा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत है मालूम 'दानिश' वो इक अजनबी है मगर उसमें हरगिज़ न कोई कमी है जो गुज़रा है उसका मेरे साथ लम्हा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत

Danish Balliavi

12 likes

sadaqat-e-ishq ishq ki tum haqeeqat samajh lo isko gham se guzarna padega unki yaadon men masroof ho tum unki yaadon men rahna padega dard-e-dil apna tujhko sunaau jee to karta hai tujhko sunaau teri aankhoñ se kah denge aañsu ab mujhe bhi nikalna padega apne bhi rooth jaayenge tere rishte bhi chhoot jaayenge tere log tujhko kaheinge nikamma aisa lamha bhi sahna padega tu bharosa bhi karta hai jis pe be-wajah hogaa naaraz tujh se hota akshar yahaañ aisa ''aashiq ishq se haan mukarna padega vo tujhe bhool jaayenge aise jaane zinda rahega tu kaise mashwara bas yahii dega daanish alvida tujhko kehna padega

Danish Balliavi

12 likes

hamaari be-wafa ham safar besabab pyaar karte hain tujh se hamne ye bhi jataaya nahin hai kab se tune nikala hai dil se tune ab tak bataaya nahin hai apne chehre se chilman hata le hamne jee bhar ke dekha nahin hai pyaar hogaa mukammal ye kaise saath tune nibhaaya nahin hai ham tere hain tere hi rahenge tune apna hi samjha nahin hai ham to majnoon hue teri khaatir tujhko hamne sataaya nahin hai pyaar ke tohfe hamne jo dii hain tune us..ko bhi rakha nahin hai ranjishon men hi chhoda hai tune hamne maatam manaaya nahin hai be-wafa tu hai daanish ke dil men tere dil men kyuuñ daanish nahin hai teri khaatir ye jaañ bhi hai haazir tujhko jumla sunaaya nahin hai

Danish Balliavi

11 likes

bachpan ki muhabbat tu tha mere dil ka rahbar tu kitne din yaad aayega tu chhod gaya hai mujh...ko par tu kitne din yaad aayega haan pyaar hua tha bachpan men iqraar hua tha bachpan men sun bachpan ka mere dilbar tu kitna KHush hai mere bina ye dil rota hai tere bina tu tha manzil ka raah-guzar ab pyaar muhabbat hai hi nahin rone ke siva ab kuchh bhi nahin bas ashkon se daaman hai tar teri yaaden dikhen hai ulfat men aag lagati hai kab lega tu daanish ki khabar

Danish Balliavi

11 likes

yaad-e-bevafaa bevafaa bevafaa bevafaa bevafaa bevafaa bevafaa ai meri be vafaa yaad aayengi mujh...ko teri har jafaa kya se kya ho gaya main tere pyaar men dil lagaaya tha tujhse yuñ bekar men pyaar karna bhi ik zurm hai aur khata pyaar zyaada main karta hooñ tujhse faqat maine nafrat na ki tujhse jaañ aaj tak vo sabab tu bataa kyuuñ kiya alvida sar jhuka kar ke maanga tha tujhko sanam tu na mujh...ko mila ho gaii aañkhen nam tujhko aabaad rakhe meraa vo KHuda teri yaadon ko dil men basaaunga main ye to mumkin nahin bhool jaaunga main yaad karta hai daanish ye tujhko sadaa

Danish Balliavi

11 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Danish Balliavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Danish Balliavi's nazm.