nazmKuch Alfaaz

zabaan-daraaz main apni beemaarii bataane se ma'zoor hooñ mujhe zabaan ki ajeeb beemaarii ho gaii hai so guftugoo se parhez karne par majboor hooñ meraa lahjaa karkht aur awaaz bhari ho gaii hai zabaan men fee lafz ek inch izafa ho raha hai pahle bhi to ye kaandhon par padi thii tumhein meri mushkil ka andaaza ho raha hai tum jo mujh se baat karne par adi theen aakhiri takraar ke baad main ne zabaan samet li hai ab main ek lafz bhi mazid nahin boloonunga kheench-taan kar zabaan apne badan par lapet li hai dua nahin karunga girah nahin khooloonunga har pasli doosri pasli men dhansati ja rahi hai meri zabaan mere badan par kasti ja rahi hai

Related Nazm

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

main cigarette to nahin peeta magar har aane waale se pooch leta hooñ ki maachis hai bahut kuchh hai jise main phoonk dena chahta hooñ

Gulzar

107 likes

daulat na ata karna maula shohrat na ata karna maula bas itnaa ata karna chahe jannat na ata karna maula shamma-e-watan ki lau par jab qurbaan patanga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho bas ek sadaa hi sunen sadaa barfeeli mast hawaon men bas ek dua hi uthe sadaa jalte-tapte sehraaon men jeete-ji iska maan rakhen mar kar maryada yaad rahe ham rahen kabhi na rahen magar iski saj-dhaj aabaad rahe jan-man men uchchal desh prem ka jaladhi taranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho geeta ka gyaan sune na sunen is dharti ka yashgaan sunen ham sabad-keertan sun na saken bharat maa ka jaygaan sunen परवरदिगार,मैं tere dwaar par le pukaar ye aaya hoon chahe azaan na sunen kaan par jay-jay hindustan sunen jan-man men uchchal desh prem ka jaladhi taranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho

Kumar Vishwas

66 likes

bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum

Tahir Faraz

54 likes

mahbooba ke naam tu apni chitthiyon men meer ke ashaar likhti hai mohabbat ke bina hai zindagi bekar likhti hai tere khat to ibaarat hain wafadari ki qasmoñ se jinhen main padhte dartaa hooñ vahii har baar likhti hai tu pairokaar leila ki hai sheerin ki pujaaran hai magar tu jispe baithi hai vo sone ka singhaasan hai teri palkon ke maskaare tere honthon ki ye laali ye tere reshmi kapde ye tere kaan ki baali gale ka ye chamakta haar haathon ke tere kangan ye sab ke sab hai mere dil mere ehsaas ke dushman ki inke saamne kuchh bhi nahin hai pyaar ki qeemat wafa ka mol kya kya hai aitbaar ki qeemat shikasta kashtiyon tooti hui patwaar ki qeemat hai meri jeet se badhkar to teri haar ki qeemat haqeeqat KHoon ke aañsu tujhe rulvaayegi jaanaan tu apne faisley par baad men pachtaayegi jaanaan mere kaandhe pe chhote bhaaiyon ki zimmedaari hai mere maa baap boodhe hai behn bhi to kunvaari hai barhana mausamon ke vaar ko tu sah na paayegi haveli chhod kar tu jhopdi men rah na paayegi ameeri teri meri muflisi ko chhal nahin sakti tu nange paanv to kaaleen par chal nahin sakti

Abrar Kashif

50 likes

More from Ammar Iqbal

andhera sar pe chadhta ja raha hai guzarti umr dhalti ja rahi hai zameen paanv nigalti ja rahi hai andhera sar pe chadhta ja raha hai pari aage nikalti ja rahi hai sitaare baari-baari bujh rahe hain hawa moattar hoti ja rahi hai chamakti ja rahi hai koi machhlii samandar barf karti ja rahi hai main apni naav men bekas pada hooñ ufakti nabz doobi ja rahi hai andhera sar pe chadhta ja raha hai andhera hi samandar ka KHuda hai KHuda machhlii pakadna chahta hai

Ammar Iqbal

13 likes

meraa rang ud raha hai mere baal jhad rahe hain meraa rang ud raha hai mere baal jhad rahe hain mere pech khul chuke hain mere KHam bigad rahe hain kahii chupke chupke chupke meri baat chal rahi hai kahii kuchh aziz mere mere paav pad rahe hain meraa kaam kar chuka hai meraa KHvaab mar chuka hai meri khushk khushk aankhoñ men saraab gad rahe hain meri pasliyaan chatk kar mere munh ko aa gaii hain gham-e-tishnagi ke maare mere daant jhad rahe hain meri aasteen fati hai mujhe chot lag rahi hai meri dhajjiyaan udri hain mere taar udhad rahe hain mere KHoon ki safe dii tumhein kya bataa rahi hai ye mujhe jata rahi hai mere za KHam sad rahe hain mere sar pe chadh ke ab tak vahii khauf naachta hai ki tu kab ka ja chuka hai ki tu kab ka ja chuka hai

Ammar Iqbal

17 likes

hallucination main apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar par nazrein jamaaye manaazir ke ajoobe dekhta hooñ usii deewaar men koi khala hai mujhe jo ghaar jaisa lag raha hai vahaañ makdi ne jaal bun liya hai aur ab apne hi jaal men fansi hai wahin par ek murda chipkili hai kaii sadiyon se jo saakit padi hai ab us par kaai jamti ja rahi hai aur us men ek jungle dik raha hai darakhton se parinde gir rahe hain kulhaadi shaakh par latki hui hai lakadhaare pe geedad hañs rahe musalsal tez baarish ho rahi hai kisi patte se gir kar ek qatra achaanak ek samundar ban gaya hai samundar naav se ladne laga hai machhera machliyon men ghir gaya hai aur ab patwaar seene se laga kar vo neele aasmaañ ko dekhta hai jo yak-dam zard padta ja raha hai vo kaise ret banta ja raha hai mujhe ab sirf sehra dik raha hai aur us men dhoom ki chadar bichi hai magar vo ek jagah se phat rahi hai vahaañ par ek saaya naachta hai jahaan bhi pair dharta hai vahaañ par sunhare phool khilte ja rahe hai ye sehra baagh banta ja raha hai aur us men titliyan dikhti hain paron men jin ke neeli raushni hai vo har pal tez hoti ja rahi hai so meri aankh men chubhne lagii hai so main ne haath aankhoñ par rakhe hain aur ab ungli hata kar dekhta hooñ ki apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar ke aage khada hooñ

Ammar Iqbal

13 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ammar Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ammar Iqbal's nazm.