izhaar zindagi tere siva sochun qayamat hai mujhe haasil-e-kun kii qasam teri hi chaahat hai mujhe saath ik umr guzaari hai magar tu hi bataa jaan-e-jaan kaise bataaun ke mohabbat hai mujhe tere saa.e men meri jaan raha karte hain tab kahiin ja ke yahaañ phool khila karte hain tu jo angadaai bhi le le to fazaa bahke hai teri palkon pe ye mahtaab hua karte hain gar nazar bhar ke tujhe dekh le duniya waale jaan-e-man teri hi yaadon men jiya karte hain teraa hi naam li.e jaane kii aadat hai mujhe jaan-e-jaan kaise bataaun ke mohabbat hai mujhe tere zulfon kii hañsi chaanv tale baitha hooñ teri KHushboo se main tasveer banaa leta hooñ teri paayal kii khanak qismaton kii chaabi hai meri qismat tere saa.e men jiya karta hooñ tu agar saath rahe daaman-e-gulshan ke li.e hont shabnam se laga kar main pila saktaa hooñ tu gumaan kar le jo vo baat haqeeqat hai mujhe jaan-e-jaan kaise bataaun ke mohabbat hai mujhe vaqt phoolon ka nigahbaan banaa baitha tha main bhi gulshan se hawaon kii tarah guzra tha teri muskaan ke sadqe hi meri duniya thii tere honton pe dua ban ke raha karta tha tere gesu tere rukhsaar ka qaai dii tha main umr bhar haath teraa thaam ke main zinda tha kya tujhe dil se lagaane kii sahoolat hai mujhe jaan-e-jaan kaise bataaun ke mohabbat hai mujhe zindagi tere ta'aqub kii kahaanii hai meri teri dhadkan se hi ghazalon men ravaani hai meri teraa kaajal teri paayal teri choo dii teraa nath umr-e-aakhir men saji ain-jawaani hai meri ye kitaabon sa badan aankh kii syaahi se likhoon ya kahooñ tujhko mohabbat hi badhaani hai meri kuchh bhi tujhse na tere husn se vehshat hai mujhe jaan-e-jaan kaise bataaun ke mohabbat hai mujhe
Related Nazm
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat teraa gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai tu jo mil jaa.e to taqdeer nigoon ho jaa.e yuñ na tha main ne faqat chaaha tha yuñ ho jaa.e aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism resham o atlas o kamkhaab men bunwaaye hue jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-baazaar men jism KHaak men luthde hue KHoon men nahlaaye hue jism nikle hue amraaz ke tannooron se peep bahti hui galte hue naasooron se laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang
Faiz Ahmad Faiz
73 likes
murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar
Afkar Alvi
78 likes
mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain
Tehzeeb Hafi
161 likes
uski khushiyaan saari jheelein sookh gaii hain uski aañkhen sookh gaii hain pedon par panchi bhi chup hain us..ko koi dukh hai shaayad raaste soone soone hain sab usne tahlna chhod diya hai saari ghazlein bemaani hain usne padhna chhod diya hai vo bhi hansna bhool chuki hai gulon ne khilna chhod diya hai saawan ka mausam jaarii hai yaanii uskaa gham jaarii hai baaki mausam taal diye hain sukh kuein men daal diye hain chaand ko chhutti de dii gaii hai taaron ko madhham rakha hai aatish-daan men fenk dii khushiyaan dil men bas ik gham rakha hai khaana peena chhod diya hai sabse rishta tod diya hai haaye qayamat aane ko hai usne jeena chhod diya hai har dil KHush har chehra KHush ho vo ho KHush to duniya KHush ho vo achchhii to sab achha hai aur duniya men kya rakha hai ye sab sunkar KHuda ne bola bol teri ab KHvaahish kya hai maine bola meri KHvaahish meri KHvaahish uski khushiyaan KHuda ne bola teri KHvaahish main phir bola uski khushiyaan iske alaava pooch raha hooñ maine bola uski khushiyaan apne li.e kuchh maang le pagle maang liya na uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan
Varun Anand
30 likes
More from Aves Sayyad
deewani baatein mere kamre men akshar hi ye yaaden raqs karti hai kabhi dostaan bul aa.e gar to main ghar se nikal aaun machaaoon shor baahar aa sunaau tujh ko haal-e-dil jo kahtaa moond le aañkhen dikhaaun KHvaab phir tum ko kahii sannaate men baitha hai tamasha hañs ke dekhen hainna karna zehan ki baateinna samjhe kuchh na jaane hain mere khyaalon ke ye bacche sabhi paagal deewane hain jhapak li palken us par gar jee ko kaise sambhaalenge mere gaalon pe laali hai tere honto ki KHvaahish men jo ye meraa muqaddar hai gumaan hai ya haqeeqat hai mohalla dil ka hai veeraan teri par yaad mahke hain isee mahki si syaahi se likhi deewani qismat hai meri aañkhen bojhal hain kuchh badi naashaad palken hain mere maathe ki silvat men tu kya taqdeer dhoondhein hain hai iska KHvaab itnaa sa tu seene se aa lag jaa.e mere kaandhe se lag kar ro meri aankhoñ men dekhe phir jo ye KHvaabon ke manzar hain samete dard aahon men sambhaale za KHam maazi ke teri yaadon ke paikar men hain tasveerein puraani kuchh meraa paagal sa dil hai ik dhadak kar shor karta hai gharo ki khidki maano jun hawa se naachen g aa.e hain kisi jungle ka koi ped jun bijli choom kar aa.e musaafir jo bhatk jaa.e nayi ik raah ko paa.e tu aañsu dekh aankhoñ ke mach aa.e shor peeda men ye bahte aañsu ke dariyaa kisi saahil pe baitheen hain teri mahtaab soorat ko sanwaare apne shaane par main bhi patthar ki moorat ban kinaare par aa baitha hooñ tujhe dekhooñ main chat par se teraa hi aks dariyaa men isee ummeed ko baandhe main apne ghar ki chaukhat par jam aa.e aankh baitha hooñ deewana hooñ deewana main deewane jaisi baatein hainna jaane zehan men kya kya deewane KHvaab bunta hoonna sun lena meri nazmen sabhi bachkaani baatein hain bahut uljha sa ladka hooñ bahut uljhi si baatein hain KHamoshii zehan ki odhe main kuchh bhi bakta rehta hooñ ye bas apna fasana hai ye bas apni haqeeqat haina hai tujh se gilaa koi abna ab tujh se shikaayat hai main paagal jaisa ladka hooñ yuñ hi masti men rehta hooñ jo bhi main kahtaa hooñ tumsena is par dhyaan dena tum haan to kuchh baat aisi hai mujhe tum se mohabbat hai
Aves Sayyad
2 likes
“Talash”
Aves Sayyad
2 likes
badnaseebi kii tanhaaii kya tumhein neend aati hai kya tumhein KHvaab aate hai kya tum raaton ko so jaati ho main nahin main aisa nahin kar saktaa meri to neend tumhaari hai naamere to KHvaab bhi tumhaare hai KHair ab in badnaseebi men ek tanhaaii hai tanhaaii hmmm achha tanhaaii kya hai tum nahin jaanti haan tum to KHvaab dekhne waali ho naatumne mere kamra bhi to nahin dekha ye bistar ye deewarein kitaaben adhuri jali cigarette chaai ke chheenton se bhare cup ye bewajah shor karta hua fen ye tik tik tik tik tik tik tik tik tik tik tik tik tik tik tik tik ye tik tik karti gha dii jo maut ke aane kii khabar deti hai ye bistar ke chaaron taraf faila sannaata ye khindakiyon se jhaankta dhoop ka khaalipan ye mobile jo aadhe waqt ab band hi rehta hai tere baad kisi se baat nahin kii maine ab koii mujhe bhi call nahin karta ye mobile laash ke jaise bistar par pada hai kisi roz iska bhi janaaza uthaayenge KHair chhodo ye sab ye kyuuñ kisi kii aankhoñ men KHvaab nahin hai kyuuñ kisi ke badnaseebi men bas aañkhen hai are tum bhi naachhodo ye sab main tumhein kya bataa raha tha vaise haan tanhaaii tanhaaii sukoon se banii vo betarteeb shah hai jo kun kii yaktaai ka maujzaa hai badnaseebi ka sannaata suna haius sannaate ko samet kar ek pekar men daalo tab ja kar tanhaaii banti hai chaai se bhare thande cup dekhe hai haan vo thand tanhaaii hai tumne suna hai parindon kii chahchahaahat unke paron ka farfar aanaa kya tumne baadal aate dekhen hain kya tumne dekha hai kese koii boond apne jism kii rooh ko chhod kar zameen kii taraf dau dii chali aati hai kya tumne dekha hai kese vo boond zameen par gir kar usii kii ho kar rah jaati hai tum KHvaab dekhti ho naachalo to phir batao kya kya dekhti hon kya dekha hai tumne kisi rooh se uske dil ka nikal j aanaa kya dekha hai tumne raks karta hua hizr kya dekha hai tumne qais ko samandar par chalte kya dekha hai tumne kun ke baad kisi ka na banna kya dekha hai tumne un haqeeqaton ko jo haqeeqat se door hai kya dekha hai tumne tooti pattiyon ka phir se shaakhon par chale j aanaa kya dekha hai tumne aañsuon se aankhoñ ka bahna kya dekha hai tumne un guldaston ko jo maazi ko samet kar banaaye ga.e kya dekha hai tumne taaron ko aasmaañ se khaali hote kya dekha hai tumne kese hanste hanste koii dard chhupata hai kya dekha hai tumne phoolon ko kitaabon men laal hote kya dekha hai tumne laal lahu ka safed hona kya dekha hai tumne sadak par dupatta lete hue dar ko chalte kya dekha hai tumne ek jism ka doosre jism ka shikaar hote kya dekha hai tumne sadak kinaare us teen feet kii jinda moorti ko jiski aañkhen band kar dii gaii hain kya dekha hai tumne unke haath kaat diye ga.e hain aur pair na jaane kis naale men bah rahe hain kya dekha hai tumne ek patthar ka KHuda ho j aanaa kya dekha hai tumne ek KHuda ka patthar ho j aanaa kya dekha hai tumne sadak kinaare jhapakte bigadta ke neeche desh ka muqaddar palte kya dekha hai tumne paanch sitaara hotel men bhari plate chhod aanaa kya dekha hai tumne sadak par ek roti par do KHoon ka bahna kya dekha hai tumne siyaasat ko mazhab se hata kar kya dekha hai tumne mohabbat ko siyaasat se hata kar kya dekha hai tumne lage hue podho ka sukh j aanaa kya dekha hai tumne maut zindagi se zyaada khoobsurat hai kya kya kya ye sab nahin dekha matlab tum KHvaab nahin dekhti tumhein nahin pata badnaseebi ka dard kaisa hai ye taptee ret par nange paanv chalne ka dard ye baarishon men ek jagah khade rahne ka dard ye dhoop men jalte shajar ye shajar se lipti parindon kii laash ye samandar kinaare pyaas se mar jaane ka dukh ye samandar kii hifaazat karte kinaare ye kinaaron par tainaat darkhat or phir unke sar chad kar naachti dhoop agar ye sab nahin dekhti to picture dekhti ho tum sach maano KHvaab nahin dekhti ho tum are ruko ruko haan yahiin bas yahiin ruko ruko ruko bas yahiin ruko aur dekho vo door se aata zindagi ka gham vo gham ab tumhein bhi sone nahin dega KHair main tumse kuchh pooch raha tha haan main ye pooch raha tha ke kya tumhein neend aati hai kya tumhein KHvaab aate hai kya tum raaton ko so jaati ho main nahin main aisa nahin kar saktaa maine bataaya naameri to neend tumhaari hai mere KHvaab bhi tumhaare hai KHair ab in KHvaabon men ek tanhaaii hai tanhaaii tanhaaii tanhaaii tanhaaii hamm KHair chhodo ye sab aur batao kaisi ho tum
Aves Sayyad
6 likes
nazm reel jab main apni zindagi ki reel ko palat kar dekhta hooñ to paata hooñ kuchh manzar hain jo maine kho diye hain vo log jo meri zaat se mansoob the meri zaat se aage nikal ga.e hain vo log jinko maine likhna sikhaaya vo apni kahaanii se mujh...ko mita chuke hain jinke kaase bhare maine duaon se vo navaaze ga.e to mujh hi ko khairaat karne lage har vo shaKHs jis..ko palkon par baithaaya maine mizgaan pe aate hi meri aañkhen band kar dii jab main apni zindagi ki reel ko palat kar dekhta hooñ to paata hooñ vo ek shaKHs jisse maine beintiha mohabbat ki use log kisi aur ke tavassut se jaante hain vo ek shaam jo main kisi par udhaar chhod aaya tha uskaa sood ab koi aur kha raha hai vo ek pareezaad jiske hone par naaz tha mujh...ko vo do aañkhen jin men ye zeest basar karne thii vo dono mere tamaam saanehaa ki nazeerin thii vo jiske maathe ko choom kar main laut aaya tha jiski zulfon ke pecho-kham men apne yaaden chhod aaya hooñ apne kapdon men jiski mahak jiske honton ki nishaani le aaya hooñ vo ek shaKHs jise sirf meraa hona tha main use na jaane kin uljhnon men chhod aaya jab main apni zindagi ki reel ko palat kar dekhta hooñ to paata hooñ kuchh saal pahle tak kuchh dost the mere mehakshon ki toli thii akad kar chalte the ek doosron ke gham ke saa thii the vo guldasta ab bikhar chuka hai har ek phool murjha ga.e hain vo hanste gaate chehre goonge pade hain vo taar jin men kabhi sargam thii taar taar ho kar bikhar chuke hain vo aañkhen jin men aane waale manzar the maazi ke pannon tale dafan pade hain jab main apni zindagi ki reel ko palat kar dekhta hooñ to paata hooñ ki har jagah bas main hi main tha in mehfilon men tha veeraaniyon ka saa thii main tha maine hi seharaaon men geet gaaye hain main hi nahaaya pattharon ki baarish men chaand ki tanhaaii ka saa thii sitaaron ko mehfil men raushan suraj ki aag ko hawa deta barfeele pahaadon ko thaa men hue in samundaron ko apni jagah roke hue in na dii daryaon ko milta hua sab ko manzil par pahunchta hua tanhaaiyaan sabki mitaata hua main hi to tha har jagah bas main hi to tha maine hi cheera neel ko bhi main hi zinda tha machhlii men aab-e-zamzam meraa muqaddar main hi latka sooli par karbala men main hi kata maine hi chaand ko kaata main hi tha sabse pahle jannat thii meri jaageer kuchh nahin bacha kuchh nahin raha ye film bhi ab khatm ho rahi hai reel bhi poori ho chuki hai saans bhi ab ruk gaii hai magar main phir bhi palat palat kar dekh raha hooñ apni zindagi ki reel ko aur main paata hooñ ki maine bahut kuchh kho diya hai maine sab kuchh kho diya hai
Aves Sayyad
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aves Sayyad.
Similar Moods
More moods that pair well with Aves Sayyad's nazm.







