agar aaj bhi boli-tholi na hogii to holi thikaane ki holi na hogii
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
mar chuka hai dil magar zinda hooñ main zahar jaisi kuchh dawaayein chahiye poochhte hain aap aap achchhe to hain jee main achha hooñ duaaein chahiye
Jaun Elia
302 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
agar hai ishq saccha to nigaahon se bayaañ hogaa zabaan se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
Bhaskar Shukla
130 likes
main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mere paanv dabane lag jaa.e
Mehshar Afridi
136 likes
More from Nazeer Banarasi
mil jaaunga dariyaa men to ho jaaunga dariyaa sirf isliye qatra hooñ ki main dariyaa se juda hooñ
Nazeer Banarasi
33 likes
aankhoñ ki neend dono tarah se haraam haius be-vafa ko yaad karen ya bhulaayein ham
Nazeer Banarasi
41 likes
umr bhar ki baat bigdi ik zaraa si baat men ek lamha zindagi bhar ki kamaai kha gaya
Nazeer Banarasi
30 likes
kahii pade na mohabbat ki maar holi men ada se prem karo dil se pyaar holi men
Nazeer Banarasi
41 likes
bad-gumaani ko badha kar tum ne ye kya kar diya KHud bhi tanhaa ho ga.e mujh ko bhi tanhaa kar diya
Nazeer Banarasi
45 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nazeer Banarasi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nazeer Banarasi's sher.







