ahl-e-sarwat ne bigaara hai zamaane ka chalan ham faqeeron ne zamaane ko mohabbat dii hai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
na poochho husn ki taa'riif ham se mohabbat jis se ho bas vo haseen hai
Adil Farooqui
80 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
karunga kya jo mohabbat men ho gaya naakaam mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata
Ghulam Mohammad Qasir
63 likes
More from Rekhta Pataulvi
mere sukhun se latife taraashe logon ne ki zahar bhi to hañsi men ugal rahe hain log isee men rekhta ab KHair hai ki khaar bano vo dekho phoolon ko kaise masal rahe hain log
Rekhta Pataulvi
1 likes
mere qusoor vahaañ baat baat par nikle vo kaisi bazm thii gaddaar mo'tabar nikle
Rekhta Pataulvi
1 likes
rekhta haath men zameen bhi nahin baat karte ho aasmaanon ki
Rekhta Pataulvi
1 likes
dhoka khaane ke ham aadi hai kis qadarabke bhi unke dhoke men ham aa ga.e
Rekhta Pataulvi
1 likes
dastoor ban rahe hain badi dhoomdhaam se saazish bhi ho rahi hai bade ehtimaam se
Rekhta Pataulvi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rekhta Pataulvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Rekhta Pataulvi's sher.







