ai mohabbat tire anjam pe rona aaya jaane kyuun aaj tire naam pe rona aaya love your sad conclusion makes me weep wonder why your mention makes me weep
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain mohabbat ki isee miTTi ko hindustan kahte hain
Rahat Indori
212 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shakeel Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Shakeel Badayuni's sher.







