badhaai may jo mohabbat se aaj saaqi ne ye kaanpe haath ki saaghar bhi ham utha na sake
Related Sher
use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use rulaati thii
Ali Zaryoun
361 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
mujhe pahle pehal lagta tha zaati mas'ala hai main phir samjha mohabbat qaaynaati mas'ala hai parinde qaid hain tum chahchahaahat chahte ho tumhein to achha khaasa nafsyaati mas'ala hai
Umair Najmi
86 likes
ab in jale hue jismoon pe KHud hi saaya karo tumhein kaha tha bataa kar qareeb aaya karo main uske baad mahinon udaas rehta hooñ mazaak men bhi mujhe haath mat lagaaya karo
Tehzeeb Hafi
295 likes
More from Majrooh Sultanpuri
bahaane aur bhi hote jo zindagi ke li.e ham ek baar teri aarzoo bhi kho dete
Majrooh Sultanpuri
3 likes
rok saka ha men zindaan-e-bala kya majrooh ham to awaaz hain deewaar se chan jaate hain
Majrooh Sultanpuri
16 likes
mujhe ye fikr sab ki pyaas apni pyaas hai saaqi tujhe ye zid ki khaali hai mira paimaana barson se
Majrooh Sultanpuri
19 likes
Sunte hain ki kante se gul tak hain raah mein laakho veerane
Majrooh Sultanpuri
0 likes
shab-e-intizaar ki kashmakash men na pooch kaise sehar hui kabhi ik charaaghh jala diya kabhi ik charaaghh bujha diya
Majrooh Sultanpuri
24 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Majrooh Sultanpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Majrooh Sultanpuri's sher.







