bhole ban kar haal na pooch bahte hain ashk to bahne do jis se badhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do
Related Sher
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
bansi sab sur tyaage hai ek hi sur men baaje hai haal na poochho mohan ka sab kuchh radhe radhe hai
Zubair Ali Tabish
325 likes
dekho ham koi wahshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hain
Varun Anand
300 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
More from Arzoo Lakhnavi
had se takraati hai jo shay vo palatti hai zaroor KHud bhi roenge gharibon ko rulaane waale
Arzoo Lakhnavi
6 likes
kis kaam ki aisi sachchaai jo tod de ummeedein dil ki thodii si tasalli ho to gaii maana ki vo bol ke jhooth gaya
Arzoo Lakhnavi
16 likes
kis ne bheege hue baalon se ye jhatka paani jhoom ke aayi ghatta toot ke barsa paani
Arzoo Lakhnavi
17 likes
phir chahe to na aanaa o aan baan waale jhoota hi wa'ada kar le sacchi zabaan waale
Arzoo Lakhnavi
23 likes
mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair-mumkin hai badhi jab be-khu dii phir kaun dartaa hai gunaahon se
Arzoo Lakhnavi
24 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Arzoo Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Arzoo Lakhnavi's sher.







