bo deta hai khwaahish phir rota hai saaton din apna man hi har gham ka gahvaara hota hai
Related Sher
mere honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki is ke baa'd bhi duniya men kuchh paana zaroori hai
Waseem Barelvi
126 likes
sair kar duniya ki ghaafil zindagaani phir kahaan zindagi gar kuchh rahi to ye jawaani phir kahaan
Khwaja Meer Dard
127 likes
main bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha tha tum bhi ik roz isee khel men haaroge mujhe eed ke din ki tarah tumne mujhe zaayaa' kiya main samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe
Ali Zaryoun
129 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
More from nakul kumar
jee bhar gaya hai ab to jee bhar chaahne waalon se bhaag raha hooñ main bhi mujhse bhaagne waalon se
nakul kumar
1 likes
inheen pichhle dinon se kuchh mujhe is baat ka gham hai agar main ro raha hooñ to tiri kyun aankh puranam hai tiri tasveer hai ye raat hai baarish hai baadal bhi magar phir bhi na jaane kyun yahaañ kuchh to abhii kam hai
nakul kumar
1 likes
tumhein jab waqt mil jaa.e chale aanaa kabhi milne ubhar aayi hain kuchh baatein vahii sab baat karne hain tiri aankhoñ men rahkar phir naye kuchh din ugaane hain tiri agar tale vo kuchh puraani raat karne hain
nakul kumar
1 likes
tanhaa rehta hooñ akshar hi har ek ka phir ho jaata hooñ ho jaata hooñ jaise duniya phir KHud men hi kho jaata hooñ chupchaap pada hooñ kone men gham dard judaai saath li.e jab neend kabhi aa jaa.e to KHvaabon ko bichha so jaata hooñ
nakul kumar
5 likes
rakh liya hathiyaar ik taiyaar kar ke maar denge par mujhe beemaar kar ke kashtiyon kii bastiyon men kya ruke ham doobne waale hain dariyaa paar kar ke
nakul kumar
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on nakul kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with nakul kumar's sher.







