chaand jo agar dekhooñ tum hi yaad aate ho chaandni tarasti hai chaand bhool jaata hai
Related Sher
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
More from Ravi 'VEER'
KHvaabon ko dekhne se mila kuchh nahin mujhe lekin shab-e-zulmat se gilaa kuchh nahin mujhe
Ravi 'VEER'
0 likes
ishq par jab she'r likhne baithta hooñ aajkal muskuraate lab mere hain aankh roti hai meri
Ravi 'VEER'
0 likes
chaar din kii zindagi jis men yahaañ rah ga.e hain do hi din mere li.e
Ravi 'VEER'
0 likes
zameen par aap ho to kaun chahe bina matlab udaanen aasmaañ kii
Ravi 'VEER'
1 likes
kare milne milaane ki hi ab jaddoj ahd bhi kyuuñ nibhaaye jo na jaa.e to karen aise ahd bhi kyuuñ mile khairaat men gar ishq to manzoor nafrat hai dilon men hai zehar to phir zubaan par hai sh ahd bhi kyuuñ
Ravi 'VEER'
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ravi 'VEER'.
Similar Moods
More moods that pair well with Ravi 'VEER''s sher.







