dekh kaise dhul ga.e hai giryaa-o-zaari ke baad aasmaañ baarish ke baad aur main azaadari ke baad isse badh kar to tujhe koi hunar aata nahin sochta hooñ kya karega dil azaari ke baad
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
tum mohabbat ko khel kahte ho ham ne barbaad zindagi kar li
Bashir Badr
132 likes
dekho ham koi wahshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hain
Varun Anand
300 likes
tumhaare baad ye dukh bhi to sahna pad raha hai kisi ke saath majboori men rahna pad raha hai
Ali Zaryoun
131 likes
More from Abbas Tabish
kya tamasha hai ki sab mujh...ko bura kahte hain aur sab chahte hain meri tarah ka hona
Abbas Tabish
27 likes
mujh ko us kii aankhoñ men koodne kii aadat hai main tumhein bataaunga khud-kushi ke baare men
Abbas Tabish
0 likes
main apne aap men gahra utar gaya shaayad mire safar se alag ho gaii ravaani mirii
Abbas Tabish
29 likes
afsos ho raha hai teri shakl dekh kar kya koi teraa chaahne vaala nahin raha
Abbas Tabish
43 likes
isi li.e to kisi ko bataane vaala nahin ki teraa meraa talluq zamaane vaala nahin palat ke aa hi ga.e ho to itnaa dhyaan rahe tumhaara dost hooñ lekin purane vaala nahin
Abbas Tabish
38 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abbas Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Abbas Tabish's sher.







