ghaneemat hai nagar waalon luteron se lute ho tum ha men to gaanv men akshar daroga loot jaata hai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
More from Aalok Shrivastav
yahii to ek tamannaa hai is musaafir ki jo tum nahin to safar men tumhaara pyaar chale
Aalok Shrivastav
24 likes
main apni duniya ka aisa suraj hooñ jis suraj ka gehna mushkil hota hai
Aalok Shrivastav
28 likes
ab to KHud apne KHoon ne bhi saaf kah diya main aapka rahunga magar umr bhar nahin
Aalok Shrivastav
27 likes
ghar men jheene rishte maine laakhon baar udhadte dekhe chupke chupke kar deti hai jaane kab turpaai amma
Aalok Shrivastav
21 likes
dilon ki baatein dilon ke andar zaraa si zid se dabii hui hain vo sunna chahein zubaan se sab kuchh main karna chaahoon nazar se batiyaan ye ishq kya hai ye ishq kya hai ye ishq kya hai ye ishq kya hai sulagti saansen tarasti aañkhen machalti roohen dhadkati chhatiyaan
Aalok Shrivastav
30 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aalok Shrivastav.
Similar Moods
More moods that pair well with Aalok Shrivastav's sher.







