had se zyaada KHaraab lagti hai ye mohabbat azaab lagti hai uski aankhoñ ke baare kya kehna uski aañkhen sharaab lagti hai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
hazaar ishq karo lekin itnaa dhyaan rahe ki tum ko pahli mohabbat ki baddua na lage
Abbas Tabish
179 likes
na poochho husn ki taa'riif ham se mohabbat jis se ho bas vo haseen hai
Adil Farooqui
80 likes
More from Arohi Tripathi
shahzaade pata nahin tum ko tum pe kitnii kaneez marti hain
Arohi Tripathi
0 likes
yaar usne ab nishaana tay kiya jaañ magar pahle deewana tay kiya vo safar se laut kar jo aa gaya yaar pahle hi thikaana tay kiya
Arohi Tripathi
3 likes
raam likhne lagii main kaaghaz par kaam aasaan ho ga.e mere
Arohi Tripathi
3 likes
ya to nafrat KHaraab hai jaani ya mohabbat KHaraab hai jaani aaj aaghosh men gire uske phir tabeeyat KHaraab hai jaani
Arohi Tripathi
5 likes
yaad karke vo ro raha hogaa shakl aañsu se dho raha hogaa
Arohi Tripathi
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Arohi Tripathi.
Similar Moods
More moods that pair well with Arohi Tripathi's sher.







