hamen piine se matlab hai jagah ki qaid kya 'bekhud' usi ka naam jannat rakh diya botal jahan rakh di
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
hamne ab tak gaal bacha ke rakhe hain kya tumne bhi gulaal bacha ke rakhe hain
Anand Raj Singh
107 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
paron ko khol zamaana udaan dekhta hai zameen pe baith ke kya aasmaan dekhta hai
Shakeel Azmi
283 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bekhud Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Bekhud Dehlvi's sher.







