har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaa.e kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaa.e
Related Sher
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham
Sahir Ludhianvi
174 likes
More from Nida Fazli
itnaa sach bol ki honton ka tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andhera hogaa
Nida Fazli
27 likes
koi hindu koi muslim koi eesaai hai sab ne insaan na banne ki qasam khaai hai
Nida Fazli
30 likes
ghee misri bhi bhej kabhi akhbaaron men kaii dinon se chaai hai kadvi ya allah
Nida Fazli
24 likes
zindagi ka muqaddar safar-dar-safar aakhiri saans tak be-qaraar aadmi
Nida Fazli
16 likes
girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya
Nida Fazli
32 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's sher.







