isi liye to yahan ab bhi ajnabi huun main tamam log farishte hain aadmi huun main
Related Sher
maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
296 likes
muddaton baad ik shaKHs se milne ke li.e aaina dekha gaya baal sanwaare ga.e
Jaun Elia
314 likes
ye dukkh alag hai ki usse main door ho raha hooñ ye gham juda hai vo KHud mujhe door kar raha hai tere bichhurne par likh raha hooñ main taza ghazlen ye teraa gham hai jo mujh...ko mashhoor kar raha hai
Tehzeeb Hafi
394 likes
use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use rulaati thii
Ali Zaryoun
361 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
More from Bashir Badr
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai
Bashir Badr
20 likes
tujhe bhool jaane ki koshishein kabhi kaamyaab na ho sakeen tiri yaad shaakh-e-gulaab hai jo hawa chali to lachak gaii
Bashir Badr
32 likes
saath sanduqon men bhar kar dafn kar do nafratein aaj insaan ko mohabbat kii zaroorat hai bahut
Bashir Badr
17 likes
charaaghon ko aankhoñ men mahfooz rakhna badi door tak raat hi raat hogii
Bashir Badr
29 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







