tujhe bhool jaane ki koshishein kabhi kaamyaab na ho sakeen tiri yaad shaakh-e-gulaab hai jo hawa chali to lachak gaii
Related Sher
kya galat-fahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin
Tehzeeb Hafi
306 likes
muddatein guzar gayi hisaab nahin kiyana jaane ab kiske kitne rah ga.e ham
Kumar Vishwas
271 likes
jaanta hooñ ki tujhe saath to rakhte hain kaii poochna tha ki teraa dhyaan bhi rakhta hai koi
Umair Najmi
109 likes
ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne dona jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaa.e
Bashir Badr
111 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
More from Bashir Badr
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
saath sanduqon men bhar kar dafn kar do nafratein aaj insaan ko mohabbat kii zaroorat hai bahut
Bashir Badr
17 likes
ye duniya hai yahaan koi jagah khaali nahin rahtii kisi ke aane-jaane se kabhi kuchh kam nahin hota
Bashir Badr
39 likes
suna hai badr sahab mehfilon ki jaan hote the bahut din se vo patthar hain na hanste hain na rote hain
Bashir Badr
34 likes
isee li.e to yahaañ ab bhi ajnabi hooñ main tamaam log farishte hain aadmi hooñ main
Bashir Badr
31 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







