jab bhi maanguun teri khushi maanguun aur duaaein KHuda talak jaayen KHvaab aayen to neend yuñ mahke aankh se khushbuen chhalk jaayen
Related Sher
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai
Faiz Ahmad Faiz
401 likes
khu dii ko kar buland itnaa ki har taqdeer se pahle KHuda bande se KHud pooche bataa teri raza kya hai
Allama Iqbal
471 likes
mar chuka hai dil magar zinda hooñ main zahar jaisi kuchh dawaayein chahiye poochhte hain aap aap achchhe to hain jee main achha hooñ duaaein chahiye
Jaun Elia
302 likes
teraa banta tha ki tu dushman ho apne haathon se khilaaya tha tujhe teri gaali se mujhe yaad aaya kitne taano se bachaaya tha tujhe
Ali Zaryoun
114 likes
More from Ritesh Rajwada
zyaada meetha ho to cheenta lag jaata hai sacche ishq ko akshar batta lag jaata hai hamne apni jaan ganwaai tab jaana bhaav mile to kuchh bhi satta lag jaata hai
Ritesh Rajwada
27 likes
chhua hai tumne bhi ikroz hamko ye KHushboo der tak mahka karegi tumhaare haath saalon tak ye duniya hamaare naam pe chooma karegi
Ritesh Rajwada
26 likes
kaha tha kya aur kya bane ho ajab sa ik mas'ala bane ho hamaari marzi kahaan thii shaamil tum apne man se KHuda bane ho
Ritesh Rajwada
34 likes
yaar maanga tha mohabbat ki dua maangi thii aur is dil ke hifaazat ki dua maangi thii ab to kuchh uskaa bigaara bhi nahin ja saka maine KHud uske salaamat ki dua maangi thii
Ritesh Rajwada
35 likes
vo aañkhen chup theen lekin hañs rahi theen meraa jee kar raha tha choom luun ab
Ritesh Rajwada
35 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ritesh Rajwada.
Similar Moods
More moods that pair well with Ritesh Rajwada's sher.







