kabhi dekha nahin jisne badan ke aage kuchh bhi bhala vo kyuuñ muhabbat jaavedaana dhoondhta hai
Related Sher
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
kuchh baat hai ki hasti mitati nahin hamaari sadiyon raha hai dushman daur e zamaan hamaara
Allama Iqbal
354 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
333 likes
shaakhon se toot jaayen vo patte nahin hain ham aandhi se koi kah de ki auqaat men rahe
Rahat Indori
435 likes
More from Chandan Sharma
uljh ke rehta hogaa bas hisaabon men vo jo hai na KHuda sota nahin hogaa
Chandan Sharma
0 likes
watan ka dulaara gaya aasmaañ ko ki kitnon ka pyaara gaya aasmaañ ko zameen ne sitaare lutaaye falak pe zameen se sanwaara gaya aasmaañ ko
Chandan Sharma
0 likes
tere baad bhi aayein aur gaiin kitnii hi haseenaayein jaan maine lekin hijr ke gham ka vo bhaukaal banaaye rakkha tere laut aane ka is dil ko arson tak vaham raha dost so barson maine bhi apni daadhi baal banaaye rakkha
Chandan Sharma
0 likes
ye mirii zindagi ye kuchh bhi nahin bojh hai mujh ko dho raha hooñ main
Chandan Sharma
0 likes
mere hi saath rahna tha tum ko mujh se hi door ja rahi ho tum raat dariyaa ye chaand tanhaaii jaañ bahut yaad aa rahi ho tum
Chandan Sharma
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Chandan Sharma.
Similar Moods
More moods that pair well with Chandan Sharma's sher.







