kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae tumhare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae
Related Sher
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
shaakhon se toot jaayen vo patte nahin hain ham aandhi se koi kah de ki auqaat men rahe
Rahat Indori
435 likes
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
daulat shuhrat biwi bacche achha ghar aur achchhe dost kuchh to hai jo in ke baad bhi haasil karna baaki hai kabhi-kabhi to dil karta hai chalti rail se kood padhoon phir kahtaa hoon...paagal ab to thoda rastaa baaki hai
Zia Mazkoor
91 likes
eed ka chaand tum ne dekh liya chaand ki eed ho gaii hogii
Idris Azad
87 likes
More from Bashir Badr
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai
Bashir Badr
20 likes
saath sanduqon men bhar kar dafn kar do nafratein aaj insaan ko mohabbat kii zaroorat hai bahut
Bashir Badr
17 likes
suna hai badr sahab mehfilon ki jaan hote the bahut din se vo patthar hain na hanste hain na rote hain
Bashir Badr
34 likes
dil ki bastii puraani dilli hai jo bhi guzra hai usne lootaa hai
Bashir Badr
32 likes
doosri koi ladki zindagi men aayegi kitnii der lagti hai us ko bhool jaane men
Bashir Badr
34 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







