qasam deta hai bacchon ki bahaane se bulaata hai dhuaan chimni ka hamko kaarkhaane se bulaata hai
Related Sher
ye soch ke maa baap ki khidmat men laga hooñ is ped ka saaya mire bacchon ko milega
Munawwar Rana
77 likes
tumhaare paanv qasam se bahut hi pyaare hain KHuda kare mere bacchon ki in men jannat ho
Rafi Raza
107 likes
apne bacchon se bahut dartaa hooñ main bilkul apne baap ke jaisa hooñ main
Zubair Ali Tabish
76 likes
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhoothi qasam se aapka eimaan to gaya
Dagh Dehlvi
74 likes
muskuraa baithe hain tujhko muskurata dekh kar varna teri muskurahat ki qasam ghusse men hain
Ameer Imam
72 likes
More from Munawwar Rana
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
na jaane kaisi mahak aa rahi hai bastii se vahii jo doodh ubalne ke baad aati hai
Munawwar Rana
19 likes
woh chahe majnoon ho farhaad ho ki raanjha ho har ek shaKHs meraa ham sabq nikalta hai
Munawwar Rana
29 likes
ye sach hai nafraton ki aag ne sab kuchh jala daala magar ummeed ki thandi hawaaein roz aati hain
Munawwar Rana
23 likes
ab aapki marji hai sambhalen na sambhalen khushboo ki tarah aap ke roomaal men ham hain
Munawwar Rana
26 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







