main tere baad koi tere jaisa dhoondhta hooñ jo be-vafaaii kare aur be-vafa na lage
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
gulaab KHvaab davaa zahar jaam kya kya hai main aa gaya hooñ bataa intizaam kya kya hai
Rahat Indori
263 likes
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
More from Abbas Tabish
kya tamasha hai ki sab mujh...ko bura kahte hain aur sab chahte hain meri tarah ka hona
Abbas Tabish
27 likes
dekh kaise dhul ga.e hai giryaa-o-zaari ke baad aasmaañ baarish ke baad aur main azaadari ke baad isse badh kar to tujhe koi hunar aata nahin sochta hooñ kya karega dil azaari ke baad
Abbas Tabish
37 likes
ghar pahunchta hai koi aur hamaare jaisa ham tere shahar se jaate hue mar jaate hain
Abbas Tabish
41 likes
tohmat utaar phenki labaada badal liya KHud ko zaruraton se ziyaada badal liya
Abbas Tabish
40 likes
aadatan uske li.e phool khareede varna nahin maaloom vo is baar yahaañ hai ki nahin
Abbas Tabish
37 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abbas Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Abbas Tabish's sher.







