mast karna hai to khud munh se laga de saaqi tu pilaega kahan tak mujhe paimane se if you want me merry let me sip on your lips divine for how long, in goblets pray, will you serve me wine
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
KHud se bhi mil na sako itne paas mat hona ishq to karna magar devdaas mat hona dekhna chaahna phir maangna ya kho dena ye saare khel hain in men udaas mat hona
Kumar Vishwas
117 likes
ab in jale hue jismoon pe KHud hi saaya karo tumhein kaha tha bataa kar qareeb aaya karo main uske baad mahinon udaas rehta hooñ mazaak men bhi mujhe haath mat lagaaya karo
Tehzeeb Hafi
295 likes
kya bola mujhe KHud ko tumhaara nahin kehna ye baat kabhi mujhse dobara nahin kehna ye hukm bhi us jaan se pyaare ne diya hai kuchh bhi ho mujhe jaan se pyaara nahin kehna
Ali Zaryoun
116 likes
More from Jaleel Manikpuri
aata hai jee men saaqi-e-mah-wash pe baar baar lab choom luun tira lab-e-paimaana chhod kar
Jaleel Manikpuri
25 likes
lutate hain vo daulat husn ki baawar nahin aata ha men to ek bosa bhi badi mushkil se milta hai
Jaleel Manikpuri
19 likes
shab ko may khoob si pee subh ko tauba kar li rind ke rind rahe haath se jannat na gaii
Jaleel Manikpuri
23 likes
mohabbat rang de jaati hai jab dil dil se milta hai magar mushkil to ye hai dil badi mushkil se milta hai
Jaleel Manikpuri
27 likes
aap pahluu men jo baitheen to sambhal kar baitheen dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki
Jaleel Manikpuri
33 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaleel Manikpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaleel Manikpuri's sher.







