mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai khamoshi bhi hai ye avaz bhi hai
Related Sher
kisi se chhoti si ek ummeed baandh leejie mohabbaton ka agar janaaza nikaalna hai
Shakeel Jamali
71 likes
ye uski mohabbat hai ki rukta hai tere paas varna teri daulat ke siva kya hai tere paas
Zia Mazkoor
88 likes
mujhe pahle pehal lagta tha zaati mas'ala hai main phir samjha mohabbat qaaynaati mas'ala hai parinde qaid hain tum chahchahaahat chahte ho tumhein to achha khaasa nafsyaati mas'ala hai
Umair Najmi
86 likes
tum mohabbat ko khel kahte ho ham ne barbaad zindagi kar li
Bashir Badr
132 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Arsh Malsiyani.
Similar Moods
More moods that pair well with Arsh Malsiyani's sher.







