muflisi thii aur ham the ghar ke iklaute charaaghh varna aisi raushni karte ki duniya dekhti
Related Sher
tariqe aur bhi hain is tarah parkha nahin jaata charaaghon ko hawa ke saamne rakha nahin jaata mohabbat faisla karti hai pahle chand lamhon men jahaan par ishq hota hai vahaañ socha nahin jaata
Abrar Kashif
130 likes
uski zulfen udaas ho jaa.e is-qadar roshni bhi theek nahin tumne naaraz hona chhod diya itni naarazgi bhi theek nahin
Fahmi Badayuni
128 likes
us ladki se bas ab itnaa rishta hai mil jaa.e to baat wagaira karti hai baarish mere rab ki aisi nemat hai rone men aasaani paida karti hai
Tehzeeb Hafi
285 likes
ye uski mohabbat hai ki rukta hai tere paas varna teri daulat ke siva kya hai tere paas
Zia Mazkoor
88 likes
bharam rakha hai tere hijr ka varna kya hota hai main rone pe aa jaaun to jharna kya hota hai meraa chhodo main nain thakta meraa kaam yahii hai lekin tumne itne pyaar ka karna kya hota hai
Tehzeeb Hafi
272 likes
More from Kashif Sayyed
ik doosre ko chhod ke jaane ki baat hai apni nahin ye saare zamaane ki baat hai bas yuñ samajh lo unse meraa kad baland hai jinke labon pe mujh...ko girane ki baat hai
Kashif Sayyed
44 likes
shikasta naav samajh kar dubone waale logna pa sake mujhe saahil pe khone waale log zaraa sa vaqt jo badla to ham pe hansne lage hamaare kaandhe pe sar rakh ke rone waale log
Kashif Sayyed
44 likes
log hamse seekhte hain gham chhupaane ka hunar aao tumko bhi sikha den muskuraane ka hunar kya ghazab hai tajarbe ki bhent tum hi chadh ga.e tum se hi seekha tha hamne dil dukhaane ka hunar
Kashif Sayyed
60 likes
zaraa sa vaqt jo badla to ham pe hansne lage hamaare kaandhe pe sar rakh ke rone waale log
Kashif Sayyed
56 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kashif Sayyed.
Similar Moods
More moods that pair well with Kashif Sayyed's sher.







