musafir hi musafir har taraf hain magar har shakhs tanha ja raha hai
Related Sher
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
ye alag baat ki KHaamosh khade rahte hain phir bhi jo log bade hain vo bade rahte hain
Rahat Indori
484 likes
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
More from Ahmad Nadeem Qasmi
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamannaa karta lafz soojha to maani ne baghaavat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
0 likes
main to us waqt se dartaa hooñ ki vo pooch na le ye agar zabt ka aañsu hai to tapka kaise
Ahmad Nadeem Qasmi
41 likes
us vaqt ka hisaab kya doon jo tere baghair kat gaya hai
Ahmad Nadeem Qasmi
32 likes
gali ke mod pe bachchon ke ek jamghat men kisi ne dard-bhare lay men maahiya gaaya mujhe kisi se mohabbat nahin magar ai dil ye kya hua ki tu be-ikhtiyaar bhar aaya
Ahmad Nadeem Qasmi
4 likes
jo dil dukha hai to ye azm bhi mila hai ha men tamaam umr kisi ka na dil dukhaaenge ham
Ahmad Nadeem Qasmi
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Nadeem Qasmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Nadeem Qasmi's sher.







