parind ped se parvaz karte jaate hain ki bastiyon ka muqaddar badalta jaata hai
Related Sher
tumhaare paanv qasam se bahut hi pyaare hain KHuda kare mere bacchon ki in men jannat ho
Rafi Raza
107 likes
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
More from Asad Badayuni
ye taaeron ki qataarein kidhar ko jaati hainna koi daam bichha hai kahii na daana hai
Asad Badayuni
20 likes
parind ped se parvaaz karte jaate hain ki bastiyon ka muqaddar badalta jaata hai
Asad Badayuni
21 likes
dekhne ke li.e saara aalam bhi kam chaahne ke li.e ek chehra bahut
Asad Badayuni
49 likes
parind kyun mirii shaakhon se khauf khaate hain ki ik darakht hooñ aur saaya-daar main bhi hooñ
Asad Badayuni
23 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Asad Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Asad Badayuni's sher.







