sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahal hai apne bas ka kaam kar leta hooñ aasaan dekh kar
Related Sher
mohabbat se mohabbat mil gaii jaise ki sehra men kali ik khil gaii jaise na jaane kaise tum bin jee raha tha main samajh lo har ghadi mushkil gaii jaise
Krishnakant Kabk
60 likes
apni manzil pe pahunchana bhi khade rahna bhi kitna mushkil hai bade ho ke bade rahna bhi
Shakeel Azmi
66 likes
jo kahtaa hai vaise karna padta hai itnaa pyaara hai ki darna padta hai aañkhen kaali kar deta hai uskaa dukh sabko ye jurmaana bharna padta hai
Kafeel Rana
53 likes
had se zyaada bhi pyaar mat karna jee har ik pe nisaar mat karna kya khabar kis jagah pe ruk jaa.e saans ka etibaar mat karna
Qamar Ejaz
57 likes
safar men mushkilein aayen to jurat aur badhti hai koi jab raasta roke to himmat aur badhti hai
Nawaz Deobandi
60 likes
More from Yagana Changezi
hañs ke kahtaa hai ki ghar apna qafs ko samjho sabq ulta meraa sayyaad padhaata hai mujhe
Yagana Changezi
0 likes
duniya se alag ja ke kahiin sar phodo ya jeete hi jee murdon se naata jodo kyun thokren khaane ko pade ho bekar badhna hai badho nahin to rastaa chhodo
Yagana Changezi
9 likes
museebat ka pahaad aaKHir kisi din kat hi jaayega mujhe sar maar kar teshe se mar jaana nahin aata
Yagana Changezi
7 likes
dard ho to davaa bhi mumkin hai vaham kii kya davaa kare koii
Yagana Changezi
14 likes
kyun kisi se vafaa kare koii dil na maane to kya kare koii
Yagana Changezi
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Yagana Changezi.
Similar Moods
More moods that pair well with Yagana Changezi's sher.







