saKHt mushkil hai ye safar meraa kaise hogaa guzar-basar meraa waqt ne bhi sitam kiya mujhpar cheenkar ke azeez-tar meraa chaanv deta tha jo mujhe vo bhi hai khizaan deeda ab shajar meraa ho ijaazat jahaan se jaane ki tha yahiin tak miyaan safar meraa jinse aage nikal gaya main vo kaatna chahte hain par meraa saanvare mujh...ko bhool mat jaana teraa dar hi hai ab to ghar meraa kaise kah doon kumar main tumse haay jeevan hai mukhtasar meraa
Related Sher
bharam rakha hai tere hijr ka varna kya hota hai main rone pe aa jaaun to jharna kya hota hai meraa chhodo main nain thakta meraa kaam yahii hai lekin tumne itne pyaar ka karna kya hota hai
Tehzeeb Hafi
272 likes
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
sochta hooñ ki uski aakhiri call aakhiri hi hui to kya hogaa
Fahmi Badayuni
82 likes
dar hai ghar men kaise bola jaayega chhodo jo bhi hogaa dekha jaayega main bas uskaa chehra padhkar jaaunga meraa paper sabse achha jaayega
Vishal Singh Tabish
84 likes
faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha saamne baitha tha mere aur vo meraa na tha
Adeem Hashmi
94 likes
More from Kumar Aryan
vo agar chahe to mujh...ko chhod saktaa hai magar aakhiri dam tak use main chhodne vaala nahin
Kumar Aryan
0 likes
yaar ghut-ghut ke marna nahin chahta maarna hi hai to jaan se maar de
Kumar Aryan
0 likes
prem vishwas hai prem dhokha nahin prem khulkar karo koi roka nahin
Kumar Aryan
0 likes
sochna hi band kar do kya kahega ye zamaana
Kumar Aryan
0 likes
kisi ki yaad men dil musalsal jal raha hai
Kumar Aryan
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kumar Aryan.
Similar Moods
More moods that pair well with Kumar Aryan's sher.







