shikva koi dariya ki ravani se nahin hai rishta hi miri pyaas ka paani se nahin hai
Related Sher
shaakhon se toot jaayen vo patte nahin hain ham aandhi se koi kah de ki auqaat men rahe
Rahat Indori
435 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare
Tehzeeb Hafi
206 likes
More from Shahryar
tamaam umr ka hisaab maangti hai zindagi ye meraa dil kahe to kya ki khud se sharmasaar hai
Shahryar
0 likes
jahaan men hone ko ai dost yuuñ to sab hogaa tere labon pe mere lab hon aisa kab hogaa
Shahryar
0 likes
ajeeb saanehaa mujh par guzar gaya yaaro main apne saa.e se kal raat dar gaya yaaro
Shahryar
30 likes
shadeed pyaas thii phir bhi chhua na paani ko main dekhta raha dariyaa tiri ravaani ko
Shahryar
26 likes
na khush-gumaan ho is par tu ai dil-e-saada sabhi ko dekh ke vo shaKHs muskurata hai
Shahryar
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's sher.







