subh savere nange paanv ghaas pe chalna aisa hai jaise baap ka pehla bosa qurbat jaise maaoon ki
Related Sher
main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mere paanv dabane lag jaa.e
Mehshar Afridi
136 likes
subh-e-magroor ko vo shaam bhi kar deta hai shohraten cheen ke gumnaam bhi kar deta hai vaqt se aankh milaane ki himaakat na karo vaqt insaan ko neelaam bhi kar deta hai
Nadeem Farrukh
62 likes
lahjaa ki jaise subh ki khushboo azaan de jee chahta hai main tiri awaaz choom luun
Bashir Badr
52 likes
tujh ko meri na mujhe teri khabar jaayegi eed ab ke bhi dabey paanv guzar jaayegi
Zafar Iqbal
37 likes
yaaraan vo jo hai meraa maseeha-e-jaan-o-dil be-had aziz hai mujhe achha ki.e baghair main bistar-e-khayaal pe leta hooñ us ke paas subh-e-azl se koi taqaza ki.e baghair
Jaun Elia
67 likes
More from Hammad Niyazi
main apne baap ke seene se phool chunta hooñ so jab bhi saans thami baagh men tahal aaya
Hammad Niyazi
20 likes
vo ped jis ki chaanv men kati thii umr gaav men main choom choom thak gaya magar ye dil bhara nahin
Hammad Niyazi
18 likes
aakhiri baar main kab us se mila yaad nahin bas yahii yaad hai ik shaam bahut bhari thii
Hammad Niyazi
36 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hammad Niyazi.
Similar Moods
More moods that pair well with Hammad Niyazi's sher.







