tanqeed na taqraar badi der se chup hain hairat hai mere yaar badi der se chup hain goongon ko takalluq ke mawaaqe hain muyassar ham maahir-e-guftaar badi der se chup hain
Related Sher
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
tariqe aur bhi hain is tarah parkha nahin jaata charaaghon ko hawa ke saamne rakha nahin jaata mohabbat faisla karti hai pahle chand lamhon men jahaan par ishq hota hai vahaañ socha nahin jaata
Abrar Kashif
130 likes
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
More from Ahmad Abdullah
is soch ka qabza mere idraak pe hona aflaak pe hone ke li.e khaak pe hona duniya mujhe pooche ki ye khushboo hai kidhar ki aur meraa khyaal aapki poshaak pe hona
Ahmad Abdullah
29 likes
baat yuñ hai ki zamaane men bahaaron ka bharam aapke naam se hai aap mere naam se ho itni raushan to koi cheez nahin hoti hai aap shaayad kisi sayyaara-e-gumnaam se ho
Ahmad Abdullah
28 likes
pata karo ki mere saath kaun utara tha zameen pe koi akela nahin utarta hai
Ahmad Abdullah
52 likes
mere tohfon ne mohabbat ka bharam tod diya choodiyaan tang nikal aayi hain aur haar khule
Ahmad Abdullah
41 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Abdullah.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Abdullah's sher.







